Adhoore se aasmaan main rang bharta hai koi... samay ke dhaagon se kya kya bunta hai koi... boond ki aas main zameen ko tarasta hai koi... phir baras ke aankhon se birha mitata hai koi...
sawalon ka jor, jawabon ka shor... kyun akhir kyun itna toofan uthata hai koi..samay ke dhagon se kya kya bunta hai koi..
jab dard ke badal chaye the, man pe raat ke kale saye the, pane khone ke fer main jab duniya lagi thi, us waqt tum kahaan the ? Kudrat ne kaha tha, wada liya tha, jab lahu ke ek dhage se bandha tha, jab lahu pani ban raha tha, tab tum kahan the ?