
Pictures Courtesy: *Original Uploaders

Their journey from revenge to sacrifice, from hatred to true love...


yadi hamari paristhithi kuch aur hothi
yadi hamari kahani humari kadha,
hamare ithihas kuch aur hotha,
yadi mein chandra na hotha
yadi tum nandini na hothi,
yadi tum meri sabse badi shathru ki puthri na hothi
yadi mein woh rajkumar nahin hotha jisne apna jeevan,
tumhare pitah ke kaaran ek charvahe ke bandhi bithaya
yadi mera janm tumhare pitah ke hathya karne keliye nahin hotha
yadi hamara vivah tumhare pitah tak pahunchne ka saadhan nahin hotha
yadi mein yeh, yeh purush nahin hotha , yadi tum yeh, yeh sthree nahin hothi
yadi tum koi aur hi hothi, toh mein avashya tumhara sammaan kartha
tab kadhachith hamari kahani kuch aur hi hothi||
Kyun ki Nandini tum mein woh saare gunn hein jo ek sampurn sthree mein honi chahiye|
Tum apne pitah ka sammaan karthi ho, usse aseem sneh karthi ho, apne badhon ka aadar karthi ho
saahsi ho, nidar hokar tumne apne shathruon ka saamna kiya|
yadi hamare bhagya main ek dusre keliye prathishodh na hotha,
tab avashya hamara prarambh kuch aur hi hotha||
Kinthu ab inn sab bathon ka koi ardh nahin hein kyun ki,
mein chandra hun aur tum nandini ho
mera janm hi hua hein ki tumhare pitah ki hathya keliye;
jinse tum sneh rakhthi ho|
kinthu yadi tum nandini na hothi,
yadi mein chandra na hotha,
yadi tumhara janm nand vansh mein na hotha,
tab mein avashya tumhari sadhaana karthi|
kyunki jis banthi tumne apne parivar keliye sahas dikhaya,
jis banthi tumne apne pitah apne bhayiyon ka saath diya,
yudh bhoomi main, aur apne shathruon ka saamna kiya,
woh dekhne yogya hein|
yeh saare ek achche raja ke gunn hein|
yadi tum nandini nahin hothe, koi aur hi hothi,
toh mein avashya iss nyaay ka daas ban jaatha, isse chahtha,iske sevak ban jatha, iska sammaan kartha|
kinthu shayad iss jeevan kal main woh sambhav nahin hein||
aur sathya yahin hein ki mein chandra hun
aur sathya yahin hein ki tum nandini ho
satya yahin hein ki hamare bhagya main ek dusre ko kasht pahunchana likha hein,
satya yahin hein ki hum ek dusre ki shathru hein, dhe, aur rahenge|
satya yaih hein ki hamare bhagya koi nahin badal saktha hein||