My poem:-
Aaj ka din tha bada kamaal,
Chalo sunaaye tumhein aaj ka haal,
Achchha laga mujhe iska pehla episode,
Kyonki main nahi hui bilkul bore,
Sabse pehle dikhaya gaya hamein ek manchitra(map),
Jo dikha raha tha anek Rajyon ke chitra,
Phir dikha humein ek bada sa mahal,
Jisse pata chala ki hum ho rahein hain ARYANAGAR riyasat mein dakhil,
Nagar ki jatiyan nahi thi do se aadhik,
Ek thi Aryavrat aur doosri Shramik,
Shramikon par dhaya ja raha tha bahut aatyachaar,
Aur unhein tha aapne Masihe ka intezaar,
Janam hua Masihe ka Pari ke ghar(name of his mother),
Aur peer(Guru of Raja) gaya is janam se darr,
Bulaya Raja ko aur bataya aane wale kal ka haal,
Ki janma Masiha hai unka kaal,
Raja ko diya apne bete Dharam ke liye yagya karane ka aadesh,
Aur Jaivardhan(brother of Raja) gaya sabhi naye janme bachchon ko bhejne mrityu desh,
Charon aur hahakaar dekhkar Masihe ki Ma ka dil gaya darr,
Aur usne rakh diya bachche ko tokri ke undar,
Itna hi tha aaj ka haal,
Dekho kal kya hota hai DV mein dhamaal.
Plz do comments.