Such me dhal jaate hai kisse,
Dil se jud jaane ke baad.
Ishq pe hoga yakeen,
Ishq ho jaane ke baad
Insaan artist kab banta hai?
Jab dard uske bardasht me bahar ho tab jakar wo kabhi Shayari kabhi Tasweer to kabhi boot banke chalakta hai. Jo dard dilo ko pyaara hota hai wo dard dilo me rehta hai. Keemat hai us aansu ki jo aankho me hai.
Jinke dard gehre hote hai unki zid bhi gehri hoti hai.
Dard ki to aadat ho gayi hai. Ab to dard tab pareshan karta hai jab... jab hota hai.
Zakham Sabko dikhte hai per dard kisi ko nahi dikhta.
UPDATE
Ek din teri zindagi kisi or ki ho Jayegi or tujhe pata bhi nahi chalega. Royegi wo o aansu tere bahenge. Chot use lagegi per dard tujhe hoga. Hasi uski rukegi per dam...dam tera ghutega. Or us din duniya ki koi bhi takat koi bhi paisa koi bhi naam tere kaam nahi aayega.
Shabdo ke ghaw talwar ke war se bhi jyada gehre hote hai. Jaldi jaldi nahi bharte.
Nafrat kabhi bhi akele itni gehri nahi hoti.
Jo cheeje andar se tooti hui ho unhe bahar se to nahi joda ja sakta
Jo khud andar se toota hua ho wahi dusro ko jodna chahta hai
Ishq Lamhe karte hai yaadein barso ko mil jati hai