CRASHED HOPES getting DESTINY
All back to their homes...
Vasant sitting idlely with heartbroken face in Ghotalanagari. Varsha & Sharad cum & see Vasant. They r surprised.
Varsha: Sharad yeh dekh, tere bhaiya ko. Apna muhh to aisa banaya jaise logo ne aaj inki pitai ki ho.
Sharad: Tries to call Vasant through his superpower as after a day he got back this & he misses talking on this with his brother. But before he could say anything he heard sobs. He was surprised. Shocked.
Sharad : Bhabhi bhaiya to Mann hi Mann me to rahe h.
Varsha : Sharad kahan to rahe h vasant dekh unki aankhen gilli nai h. To...
Sharad : Bhabhi bhaiya Mann me to rahe h.. Jaise humare grah pe dukhi hote h tab akele hi dard sehneke liye Mann me rote h waise. Aur Hume aanson kaha aate h.. Aur yeh to bhaiya h inhe kab aanson aaye h aaj tak.
Varsha : Chal dekhte h.
Varsha & Sharad go towards Vasant.
Varsha : Vasant kya hua?(keeping hand on shoulder) Aap aise kyu baithe h?
Vasant : Kuch nai Varsha bus aise hi thak gaya huu..
Sharad : Bhaiya thak gaye h to so jayiye na. Yahan kyu baithe ho.
Varsha : Achha kamre tak Jane ki takat nai hogi na.. Subah se Surya Kiran bhi to nai li. Ojha uncle se superpower wapas lene ke chakkar me. Subah se unke pochhe hi to bhag rahe the jaise me Bhavana Aunty ke pochhe thi. Mujhe to Bhairavi ke bhole pan ki wajah se mere superpower mil gaya par Vasant ko to Tera superpower nai mila tha na wapas. Hai na Vasant.
No reply from Vasant made her worried. She thought to try once more.
Sharad : Bhabhi aap lambi ho jayiye aur bhaiya ko uthakar me kamre me chod ayiye to woh so jayenge. Hai na bhaiya. Warna chaliye hum dono mil kar bhaiya ko ghod me uthakar chodke aate h.(meanwhile seeing if Hemant is around coz if he is then he wil just pick Vasant & dump in bed like he did to Manav)
Still no reply. This made both devar bhabhi worried.
Varsha signs Sharad to read Vasants mind again.
This time Sharad not able to read anything & his signals wer returning back rejected. This shocked him & angry to as just like Hemant Vasant also closed his mind only difference he did it silently.
Sharad : Bhaiya bus haan bahut ho gaya. Ek to aap Hume bata nai rahe ki aap to kyu rahe h aur ab apna dimag bhi band kar diya.
Varsha bangs her head. As her possessive devar turned on his possessiveness for his brother & became angry on not getting reply. & her husband still doesn't speak.
Varsha thought let her try emotionally.
Varsha : Vasant aapko pata h jab bhavana Aunty ne kaha ki Hume colonywalo ko party deni hogi to mujhe laga woh log humse puchenge ki Hume kaise pata chala humara 2015 yahan h, hum yahan kaise aye, humne yeh chehre kyu chunne, humara 2015 kaisa dikhta h, yahan kab aaya, kyu aaya, aur Hume kab aisa laga tha ki Hume humara beta mil jayega, kisko dekh ke. Par in logo ne to humare superpowers ko game samaj ke mangliya aur khelne lage. Aur lautane ke liye bhi mana kar diya. Jab hum mangne gaye to he tana bhi Mara. Hume inhe superpowers dene se mana kar dena chahiye tha. Aap ne hjme transformer power kyu diya ki hum apne superpower unko transfer kar PAYE. Boliye na Vasant . aap ne to vada kiya tha na ki ab hum in insaano ki har baat pe madad nai karenge. Phir aapne kyun phirse inki baato pe bhavuk hoke inhe superpowers diye. Hearing this Vasant looks long.
Sharad : Bhaiya aapko sunai diya bhabhi ne kya puchha. Aap bata rahe h ya me Hemant ko bulau aur kahu ki aapko rone me company de..(again seeing around) Ye Hemant kahan h. Rukiye abhi bulata huu & starts to call Hemant through his superpower. & finally Vasant speaks.
Vasant : Koi jarurat nai h Hemant ko bulane ki. Bata hu .. Varsha jab Bhavana Aunty ne party ke liye kaha to mujhe laga ki jarur ye humse Kuch mangne ya superpowers ke zariye Kuch karvane ayenge. Mujhe andaaza nai tha ki Is tarah se sab superpowers mangenge. Par jab unhone manga to mujhe laga ki ho sakta h in logo ko superpower dene ke baad jab yeh istemal karenge to ehsaas karenge ki hum aliens kaisa mehsoos karte h. Taki jab koi aur inke saamne superpower istemal kare to inhe samaj aaye yeh bhi humari tarah alien h. Aur dhyan de ki woh kaun h, kahan rehta h. Par yeh log khelne lage. Phir isse apne fayade ke liye istemal karne wale the. Jab Maine dekha ki paise kamane ka zariya bana rahe h to mujhe achha nai laga me apne wajan uthane ke superpower se tino ko sabak sikhane hi wala tha par phir ek khayal aaya Mann me aur ruk gaya aur unke is kaam me saath diya. Bus ussi khayal ki wajah se to rha hoon.
Sharad : Aisa ka socha tha aapne Bhaiya. Boliye na.
In Bhatt Bhoot bunglow, There wer shoutings of sumones cries & sumones scoldings.
Yes Bhavana Aunty was once again with a stick in hand beating Bhadresh black & blue. Bhairavi cums running sumthing in her hand hidden.
Bhavana: Nalayak, tu ruk, aaj to tujhe aisi saja dungi ki zondagi bhar yaad rahegi tujhe, iss saja ka nishan leke ghumega tu zondagi bhar. Sav nakamo che, khud to koi kaam karta nai h dusro ko bhadkaya rehta h, tab tak to thik tha kyunki kisika nuksan nai huya usse par yeh. Aaj to mujhe shar aatj h yeh kehte huye tu mera baba h aur me Teri Baa huu... Diwali se pehle jab tine woh naukari ki thi jisme tune kitno ko dhoka diya tha aaram se saare palang par soke. Tab bhi maine tukh se kaha tha tu aaj ke baad kisi ko dhoka nai dega. Tune waada bhi kia tha na. To aab wada karke mukad gaya. Apne baap jaisa dhoke baaz h tu.
Bhadresh : Baa, aisa mat bol. Me manta huu me bhatak gaya tha. Paise kamane ka aasan tarika mila to sachai, jooth, dhoka Kuch nai dekha bus nikal pada... Baa par mera dil sachha h. Baa me Tera hi baba huu, uss shaksh ka nai. Bus iss baar mujhe maaf karde dubara issa nai karunga.
Bhavana : Emm, aisa nai karega Kuch aur karega, chori, dakeiti, ya kuchh aur.. Yeh bhi to soch tere do chotte bachhe h. Unhe tu yeh parwarish de rha h, aisa sikha rha h. Pritesh to pehle hi Teri tarah dusro ke bhole pan ka fayada uthta h. Ab yahi sikhna baki h uske liye.
Bhairavi : Baa, baa ye lijiye, isse saja dijiye apne baba ko. Ek tamatar bhi nai late. Bola tha Maine Jo tamatar sab Kaka murli pe pehke unme se achhe wale chhat kar le aana. Woh bhi nai laye.
Bhavana : Chakudi, ye hunter kya de rahi h mujhe, mere pass ye lakdi h na. Kafi h...
Bhairavi : Haan baa, lakdi to h par woh to phir Tut jayegi jab aap not se marengi yeh hunter nai tutega baa Maine koshish ki h isse todne ki . nai tutta. Yeh lijiye baa is taraf se iss lapde se pakadiye.
Bhavana : kapde se kyun??
Bhairavi : Baa aap bhi kitni bholo h.. Yeh garam hunter ko to kapde se Hi pakadana padega na. Nai to aapke haath jal jayenge.
Bhadresh : Bhairu, meri kutub minar, tu yeh hunter lai hi kyu aur lai to garam karke kyu lai...??
Bhairavi : Baa hi boli thi Mitesh pritesh ke papa ki woh aap ko aise maregi ki aapko zondagi bhar yaad rahega. To hunter ki maar to zondagi bhar yaad rehti h kyunki uske nishan bhi zondagi bhar rehte h na. Aur garam to karna hi padega na kyun ki nishan aise gadhe bone chahiye ki aapko aapko Galati ka ehsaas dilaye..
Bhadresh : Bhairu, tu yeh kya... Baa yeh dekh ..
Bhavana : Chakudi, mari dikari kitni achhi h tu, ahiya aav mari dikri, kitna achha kiya yeh hunter le ayi, aaj to baba ko aisi saja dungi ki zindagi bhar kisoko dhoka dene ke bare me kabhi soch bhi na paye.
Bhadresh falls on Bhavana's leg.. Baa mujhe maaf karde. Me aisa dubara kabhi nai karunga. Baa tu Jo bolegi woh karunga baa , mujhe maaf karde... & cries..
Bhavana's heart cries seeing her son crying & decides to let go him frm beating but not before punishment.. Baba uthh, tujhe meri maafi chahiye na to ja aur Jake Ghotala bhai ko ye unka superpower gayab hone wala wapas karke aa. Nalayak jab sab murli bhai ko maar rahe the tab tu apne superpower se gayab hoke nikal gaya. Aur...
They all hear eee sound & wonder yeh hemant ki aawaz kahan se ayi...
Bhairavi : Hemant mere bhai aa ja sabke saamne.
Hemant : Bhairavi didi aapko kaise pata chala me yaha huu..
Bhairavi : Hemant mere bhai mujhe to pata h tu kab ka yahin h. Mitesh pritesh ke papa jab waha se gayab hoke thodi der baad yahan aaye tab tu bhi to unke pichhe aaya tha na..
Hemant : Haa Bhairavi didi me bhadresh uncle ke pichhe yaha aaya tha kyunki mujhe pata h ja me bhi invisible hota huu na tab mere aas pass hava ruk jati h aur jab me dudta huu to hava aur tej ho jati h. To jab bhadresh bhaiya aaye yaha to me samaj gaya aur unke pichhe aaya.
Bhadresh : haa aur jab me yaha aaya ye sochke ki koi nai h to me dikhne lagu air chhup jau to me wapas aaya aur pichhe muda to yeh lamba Ghotala mere samne tha. Aur me itna gabra gaya ki turant isse bola Tera superpower lele aur kisoko bolna mat me yaha chhupa huu.. To baa dekh Maine superpower lauta diye aab to mujhe maaf karde.
Bhavana : Nalayak, sirf superpower lautane se Kuch nai hoga tune inke superpower se logo ko dhoka dene ki koshish ki h, superpower ka galat istemal kiya h toh tu khud chalke jayega Ghotala nagari aur apne mu se khud apne kiye ki maafi maangega ghotalo se. Iss baar kisi aur ka Naam diya ya kisi aur ko pasa ne ki koshish ki to me tujhe se kabhi baat nai karungi. Jaa abb
Bhadresh : Bhale baa..
In Army's Tent ie; ojha house...
Lajjo Aunty de dhana dhan tane maar rahi h ojha uncle ko aur Manav unko guide kar rha h aur tane Marne me..
Ojha uncle : lajjo, dekh mare ko laga h jata malam le aa. Lajjo.
Lajjo : Haan haa maharaj abhi lai.. Baba lalan ji aapko seva me aur kuchh upastit karu, malam to ghar pe nai h, aap to antaryami h na apni shakti se prakat kijiye na. Ya to apni uss Toffe se kahiye sidhe factory se Hi order deke mangwa degi aapke liye.. Aap to uske janu h na.
Ojha : Hin, lajjo tu mare ko tana Mar rahi h, mare jaise tej, Bahadur, alankari, marvadi ko. Yeh sab iss Nalayak vibhishan ka kiya h.. Pata nai kis janam ka badla le rha h yeh mare se.
Manav : Papa, aap khud ghunah karte h, mushkil se sweety Singh ko pata kar aapko jail Jane se roka h warna aapko 7 saal ki jail paki thi logo ko andhwishwas me daal ke fayada uthane ke jurm me. Aur maa tum kya yeh toffee bua ko leke baith gai.. Woh to purani h... Aab to nai ayi h .. Rambha bua. Apne Happy home soceity wali, ussi ka to mann padhke uske saamne achha banane ke liye yeh superpower liya tha. Par usne apne Mann me inke liye aisi baat boli ki papa ne uspe apna superpower na istemal karke yaha lagaya. Mujhe to pehle se Hi pata tha ki aap log ghotalo ke superpower ka galat istemal karke unhe musibat me dalenge.. Itne mahan bankar unhe aapnane ka dhong to kia par unke superpower se Hi unhe aur badiusobat me phasane chale the aap... Aisa kaise kar sakti h aap.. Papa aap hi the jinhone mujhe sikhaya tha ki Hume aapno desh ki seva karni chahiye sache man se, kisi bhi umid k bina, sirf apne aap ko kurbaan kar dena. Aur aap khud aapne desh ko barnaad karne chale the aise andhwishwas ko badhava deke usse aur phelane se. Kya hogaya h aapko papa.
Ojha uncle : mujhe maaf karde beta me bhatak gaya tha, apni hi Di hui Sikh aur sanskaar bhul gaya. Mara beta itna bada aur samajdar ho gaya h ki mare ko galat raste se sahi raaste pe le aaya...
Manav : Maafi mujhse nai Ghotalo se mangiye jinhe bahut badi musibat me phasane chale the aap.
Ojha uncle : thik h.
Ojha uncle & Bhadresh both go to Ghotala house... Manav & bhavana aunty following them to make sure they ask forgiveness wholeheartedly & not taunt them... as usual Ghotalanagari door is unlocked...
Vasant : Maine socha tha ki agar yeh baat phel gaiki ek baba h jo antaryami h.. sabki mann ki baat bina kahe hi sun lete h.. aur aisi baatein to yaha pruthvi par hava ki tarah phel jati h.. to socha agar yeh baat 2015 ke kaano me padi to who sochega kahin humare grah se to koi nai h.. jo apne superpower istemal karta h.. to jab ojha uncle sabke mann padhenge to shayad uski baat sunke samaj jayenge who humara 2015 h aur hume humara beta 2015 wapas mil jayega... yeh umid jaagi thi mere mann me.. mujhe laga in colonywalo ki madad karke unki ichha puri karke hume humara beta mil jaye to kya bura h... lekin saari umid par pani phir gaya... ek baar phir humari koshish nakam rahi... warna me janta huu ki yeh andhvishwas h.. isse badhawa deke kitna galat hoga.. masoom logo ko is tarah se apni jhaal me phasana unki mehnat ki kamai hathiya na, unke bhavanao ke saath khilwad karna yeh sab galat hi nai gunha h.. par shayad yahi hi meri saza h.. bhole logo ki masoomiyat ka fayada uthane unka istemal karne chala tha me apne matlab ke liye to kaise apne bachhe tak pohonch pata. Patharwale bhagwan sab dekhte h.. sab ke kiye k hisab se jo unke liye sahi h who unhe dete h. to me is me kamiyab kaise ho pata. Par mujhe dukh is baat ka h ki me haar gaya varsha... me is baar bhi tumhara beta tumhe nai lauta paya... m sorry varsha.. saasuma sach kehti h.. me tumhare layak nai huu.. maine tumhari zindagi barbad kardi.. meri wajah se tum apne bte se itne saalo se door ho.. aur aaj tak.. me use dhundh nai paya... mujhe maaf kardo...
Listening this words from vasant not only Varsha & sharad wer crying but other listeners wer also.. now Ojha uncle & bhadresh seriously genuinely realise wat a big mistake they made... being fathers themselves they understood vasant's pain & promised themselves now they wil work hard to find 2015.