TS : Crashed hopes getting Destiny Shot-2/8 - Page 6

Created

Last reply

Replies

96

Views

3.9k

Users

16

Likes

96

Frequent Posters

XScarletHeartX thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
#51
awesome os
i loved it yaar
superb dialogues
keep it up
continue ji
coolhi1988 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
#52

Originally posted by: --Shamoo--

awesome os

i loved it yaar
superb dialogues
keep it up
continue ji

Thnk u 4gv...
Updating soon...
.anjali. thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#53
mhari hiyuu ke OS mein Res😎
coolhi1988 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
#54
Anjudarling jaldi unres kar...
Edited by coolhi1988 - 9 years ago
coolhi1988 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
#55
Shot - 2




All r crying listening to Vasant's words.. Ojha Uncle & bhadresh also feeling guilty that for their fun & greediness they used them this way & a father's heart is bleeded.. 3rd idiot ;ie; Chandrabhan cums for asking sorry as Ramdulari mausi told him to do so.. Manav watching his dad closely & thinking that is he really guilty or just showing so that he can escape frm asking forgiveness..


Varsha: Vasant, ye aap kya bol rahe h. Shant ho jayiye pehle. Aur meri baat suniye. Aapne kuch galat nai kiya. Aap ko laga ki hume humara 2015 mil jayega isse. Lekin woh nai mila. Aapko yaad h vasant aap hi ne kaha tha ek baar hum sabse ki, Patharwale bhagwan kehte h jo jaisa karm karta usse, aisa hi fal milta h. Kisiko kismat se badhkar aur waqt se pehle kuch nai milta h. Shayad humari wajah se kisine apne beta khoya hoga kabhi, isliye aaj itne saalo se humara beta humse door h. Yeh humari kisi purani galati ki saja h yeh to. Jab tak hum apni saja nai bhugat lete, hume humara beta nai milega Vasant. Par iska matlab yeh nai ki hum haar man le ya koshish karna chod de. (wiping her tears) Aur kya aapne yeh tumhara beta- tumhara beta laga rakha h. Woh sirf mera beta h aapka nai h kya?(glaring) haan boliye.. Chup kyu hain ab? Heein...



Vasant : Haan.. Humara hain... Par...



Varsha : Aur kya keh rahe the aap.. Aap ache pita nai h.. Abhi hemant ko bula ke puchhu? Aap bhul gaye honge lekin me nai bhuli. Jab hemant meri ghod se gir gaya tha aur uske sirpe chot ayi thi aur is wajah se uska dimag corrupt ho gaya tha. Aur is wajah se woh sabko pareshan karne laga tha. Tab sab use marna chahte the. Tab aapne sabke khilaf khadde hoke use bachaya tha. Aaj aapki darr se koi humare grah par Hemant ko kuch nai bolta. Aur dekhiye woh high command ka chahita ban gaya h ab. Aap toh Hemant ki saari zidd puri karte h, phir chahe uski wajah se aapko kitni pareshani jelni kyun na pade. Aur jab bhi woh kuch galat bolta h ya galat karta h. Toh baki sab uspe dhyan nai dete use daatte h, par tab aap uske galat shabd, galat kaam sudharte h, chahe us waqt koi bhi paristhiti kyu na ho, apni pathshala shuru kardete h aap. Aab bhi aap yahi kehte h ki aap ache pita nai h...

Still Vasant dint cheer up. Seeing this Varsha signals Sharad to say sumthing to Vasant. Meanwhile, Shishir cums outside as hearing sound from outside Shishir uses his superpower & sees wats going on & after listening to varsha, he comes out. ...


Shishir : Haan Papa, aap sach me bahut achhe papa hain.. Aap plz roiye mat na.. ..


Sharad :
Aur bhaiya logically yeh koi akhri baar thode hi tha, ki isbaar nai mila 2015 to hum aur nai dhundh sakte. Aur bhaiya aab to hume humare superpowers mil gaye h na. Toh logically sab normal ho gaya hain. Ab hum phirse humare 2015 ko dhudhne ka kaam jari rakh sakte hain. Aab to hume colonywalon se chhupte chhupate koi kaam bhi nai karna padega. Aab to humare liye aasan hoga. Bhale hi colonywale humara saath na de dhudhne me par kam se kam hume sawal puchh puchh kar rokenge to nai...
Ojha uncle : ke ke ke ke ke ke ke ke ke ke ke ke ke ke ke ke bol raha h jhalar. Hum sirf thare logo ko pareshan karte h. Madad nai kar sakte ke. Te log hum logo ko ullu bana kar maddad le sakte ho, aur hum samne se maddad karne nai aa sakte ke... Bol Jhalar... Hin...

Manav : Papa, aap kya bol rahe h yeh? Sharad ne aisa kab kaha ki aap log unki maddad bina kahe nai karte ho. Woh to sirf ye keh raha tha...

Bhadresh : Bola, Ghotalo ka wakil bola...


Bhavana : Baba, chup kar. Sharad ne sahi kaha. Humari wajah se kitni baar anjane me hi unka beta unhe milne se raha hai, aur sharad aur yeh log shikayat nai kar rahe hai, balki ek dusre ko hosla de rahe hai ki inka beta jaldi inko mil jayega. Tu nalayak, tu nai sudhrega na, kabhi toh tu inki baate sidhi samja kar. Jaise chakudi meri baate galat samajti hai waise hi tu bhi inki baate galat samajkar sabko bhadkana chalu kar deta h. Thoda apna lalchi dimag band kar. Aur yahan maafi mangne aaya tha na woh manng. Aur aap Murli bhai, jab dekho tab baba ki baato me aa jate ho...



Ojha : Arey Bhavana Bhabhi mhare ko kyu bich me la rahi ho? Mhare jaisa rajasthani thode hi iss jhalar ki baato me aayegai...



Bhavana : Thali k bengan kahi k...


Ojha uncle abt to do mahol mahol..


Bhavana aunty butts in : khabar daar mahol mahol kiya h to...



Manav : Papa aap yahan kyun aaye the..?



Ojha : Haan beta mhare ko yaad h.. (to vasant) Ghotala mhare ko maaf kardo, thare superpowers ka galat istemal kiya humne aur logo ko dhoka dene chale the, yeh mhara marvadi mann kanjoos hai, par lalchhi na tha par jaane kaise lalach aa gaya aur sahi galat samaj hi na saka. Sharad mhare ko maaf karde thare ko thare superpower k liye bahut tadpaya. Ghotala me wada karta huu thare bte ko dhundhne me mein thari maddad karunga. Te log chinta na karo, thara beta jaldi hi mil jawega...



Bhadresh : Haan Shri Shri Ghotala, Hume maaf kar dijiye, is baar me apni galati dusro par thop kar unse maafi nai mangwaunga, khud hi maang raha hu, sach me mein apne kiye pe sharminda huu, sabse bada ghunheghar toh me huu aapka, mein hi humesha sabko aapke khilaf bhadkata aur phir aapke saamne dusro ko galat sabit karke achha ban jata. Par is baar aapki sachai janke jab sab ne aapko apnaya toh maine sirf apnane ka natak kiya tha sach me nai apnaya ,par socha ki agar aap yaha ruke to aapke superpowers leke hum apna fayada kar sakte hain. Is liye maan gaya tha. Aur aapke superpower istemal karne ki baat bhi to maine hi sabke dimaag me dali thi. Me aapka sabse bada ghunheghar huu, mujhe maaf kardijiye. Me aap se wada karta huu me aapki maddad bhale hi na kar pau, par aapke raste me kabhi nai aaunga. Mera wada raha aap logo se. Yeh wada me har haal me nibhaunga. Kaa Baa?

Bhavana : Haan Baba... (crying with satisfaction) Ohh!! Baa baa baa baa, chalo maafi mango ghotala bhai se, aur khabardar apni shayari sunai h toh, meri chakudi ko bolke hunter se pitwaungi, garama garam hunter taiyar h meri chakudi ke pass...


Chandrabhan : Thank you, aap hume bolne ka mauka diye, haan to hum keh rahe the... (Ramdulari does ishara of not to say poem), humko maaf kardijiye aap log, humai yeh superpower se paise kamane ki baat kahe the. Hum sab aapke saath hain, aapka beta aapko jarur mil jayega..


Bhavana : Aap logo ne kuch khaya nai hoga na? Mein abhi chakudi ko bolke aap ke liye khane k liye mangwati huu.. (calling out loudly) Chakudi!!! Chakudi!!! Jaldi se khana leke aa apne mayke walo ke liye...



Bhairavi : Haan baa, abhi aayi...



In Bhatt (Bhoot bunglow),



Bhairavi : Hemant mere bhai, chal tere ghar khana leke jaana hain. Tum log kya khana pasand karte ho?



Hemant : Bhairavididi, hume toh insaano ka saara khana achha lagta hai, sab naya lagta hai na. Par hum humare grah par to sirf dhoop lete the. Yaha bhi surya kiran roj lete hai, kyunki who to sabse jyada jaruri hai na. Wahi humara khana hai. Aur kuch khaye na khaye surya kiran to jarur lete hain...



Bhairavi : hmmm. Surya kiran... To barobar*tongue*



Hemant : Bhairavididi, aap kya soch rahi h?



Bhairavi : Hemant, mere bhai ... tumhare liye surya kiran kahan se lau yeh soch rahi huu.. Haan yaad aaya aaj hi subah subah maine gaade terrace pe rakhe the.. Baa hi boli thi surya kiran le lenge to achha rahenge.. Wahi le chalte hai mere bhai. Tum log issi me se surya kiran le lena. Tu ek kaam kar yeh saare gadde woh thode bhari h na to hum sandook me daal ke le jayenge...



Hemant : eee, nai nai Bhairavididi, uski jarurat nai h. Me hoon na, me utha lunga sab. Rukiye & sab gadde ek saath utha leta h par sambhalne me pareshani hoti hai , to sochta hai. Phir, saare gadde rakh ke gayab ho jata hai. Aur Phir sab uthha ta hai. Aur bolta h aab chaliye bhairavididi me sambhal lunga. Aap chaliye.. (imagine Hemant's expressions)



& dono bhai behen sambhalke aaram se bahar aate hain..

Here, on the other side, ek ladka jisse khabar mili ki koi baba h jo bina kahe hi sabke mann padhlete hai toh usse lagta hai ki koi uske jaisa yahan prithvi par aaya hai aur paise kamane ke liye apne superpowers ka istemal kar raha hai. Toh woh unse milne aata hai taki pata kar sake ki woh uske jaisa dusre grah se aaya hai ya issi grah ka hai. Par jab woh mandap me pohochta hai toh wahan koi nai hota, dukhi hoke jaa raha hota hai tab hi usse kuch milta hai. Uske mann me ek umid ki kiran jagti hai.. aur woh pohoch jata hai uss pate pe...

He enters Sunshine Colony, & wat he sees doesn't make him frightened but brightens his face & heart..


He runs.. & cums infront of Bhairavi & says : Yeh gaade khud kaise chal rahe hai? kaun hai yeh jo gayab hua hai..? aur gaade uske pass se le leta hai. Aur haath lagane jata hai. Tab hi Hemant pichhe hone lagta hai.


Woh ladka apne grah ki bhasha me bulata hai. kaun hai?


ur ye sunkar Hemant ruk jata hai, Aur wapas visible ban jata hai aur puchhta hain eee, kaun he aap? Aap ko yeh bhasha kaise aati hain? (in their language) me -426 huu kya app 2015 hain?


Ladka : Hoon ..


Hoon sunke bhairavi ko samaj aata hai ki shayad yeh 2015 hai isliye daud ke ghotalanagri jati hai..



Bhairavi : Vasant Bhaiya, Varsha Bhabhi, aapka intezar khatam hua.. Aapka beta khud chalke aaya hai yaha aapse milne.. Chaliye, Jaldi chaliye bahar Hemant se aapki bhasha me baat kar raha hai..


Bhairavi ki baat sunke Shishir andar jata h aur prajati detector dekhata h...


Varsha : (doesn't believe) Bhairavi tum yeh kya keh rahi ho? Plz aisa Mazak mat karo? Plz.


Bhairavi : Varsha Bhabhi, me Pritesh ki kasam khake kehti huu, sach me aapka beta aaya hai bahar..


Shishir cums running : Mummy, Papa, Chacha yeh dekhiye humara prajati detector timi timi kar raha h jhor se...


Listening this all run out, Vasant, Varsha, Sharad, Shishir & all others cum out & see Hemant & d boy..


Hemant : Hhheeennn *teeth* (very much brightly same as wen he did second time infront of rastogi.)



Vasant : Sach me?



Varsha is overwhelmed, & all ghotalas talk one by one in their language & family meets up..

Meanwhile, other side, Bhairavi, shouts for Mitesh, pritesh, Anna, Ronnie, Liza, Lajjo aunty & all


Bhavana : ae, Chakudi kyu sabko chilla ke bula rahi h?

Bhairavi : Baa me bahut khush huu, mera dusra bhai aaya hai..

Bhavana : Getting Happy, eem, toh tune hum sabko aise chilla ke kyu nai bulaya tha?

Bhairavi : Kaise bulati Baa? Agar yeh darr ke bhaga jata toh? Phirse In logo ko inka beta nai mil pata. Par aab toh yeh log mil gaye na. Toh ab nai bhagega yeh...

Bhavana : To barobar*tongue*



& all colonywale cum to meet 2015 & all have a nice Milan.. which includes Bhavana aunty asking yeh gadde yaha kyu lai chakudi & bhairu giving her explanation & telling takiye aur chaddar bhi nikal rakhi h agar yeh kam pade toh..., Bhadresh deciding to sleep in garden as ghar jane me to kasht hoga, mausaji's poem on Milan. Others also hv their say.. but there is one person who doesn't get to say anything.. yes Ronnie so he cries & lives... 2015 is named Ashwin Ghotala & after sum days all ghotalas leave earth & go back to their planet...

THE END

(only of this TS)



Note: i know m not an experienced writer.. & this part has not cum out very gud...
even m not satisfied.. but i dint get ny other idea...

Sorry if i hurt anyone's sentiment by this... extremely.. *catching ears in advance*

hopefully u readers dont get bored while reading this...🥱

all bashing & taunts r welcome along with like & comments..😉

have made this update with different colours as tomoro is festival of colors...

Edited by coolhi1988 - 9 years ago
coolhi1988 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
#56

Originally posted by: Krish58

Any surprise hiyu???


tujhe kya surprise chahiye krishu?
Krish58 thumbnail
Visit Streak 500 Thumbnail Visit Streak 365 Thumbnail + 5
Posted: 9 years ago
#57
Tu next part likhrahi hai iss OS ka
coolhi1988 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
#58
updated...
Krish58 thumbnail
Visit Streak 500 Thumbnail Visit Streak 365 Thumbnail + 5
Posted: 9 years ago
#59
Hiyu to be frank apna comment doon mein???
chatterbox thumbnail
Posted: 9 years ago
#60
Oh my god hiyu. I dont believe this. Y u underestimating yourself. This is exactly wat I was hoping to see in the show and you showed it perfectly well. It's awesome and perfect happy ending for pyarre jag se nirale ghotale as they find their son and return to their planet. Too good have no words to express how happy I feel now even though at present its not shown on the show but expect like this only. Well done

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".