Jagat - Janta hu beti hai...tumhe lagta hai main bhul sakta hu ki wo beti hai meri
Sarita - Aapne to usse paida hote hi dikaar diya tha..ek mahine tak shakal nahi dekhi thi uss masoom bachhi ki ...wo dard main kabhi nahi bhul sakti...lekin phir bhi... phir bhi itne saal yahi umeed karti rahi ki ek din uski maasumyat aapka dil jeet legi...baap nahi to insaaniyat ke naate aap use apna lenge
Jagat - Aisa kabhi nahi hoga Sarita...mat rakkho aisi koi umeed mujhse...main marte dam tak iss baat ka samjhauta nahi kar paunga ki mera beta nahi beti hain
Sarita - Aur iski saza aap use dete rahenge...isme uss bechari ki kya galti hain...
Jagat - Koi galti nahi uski ...tumhari bhi nahi...galti sirf meri hain...galti meri kismat ki hain...main kisi ko kya saza dunga Sarita...saza to meri taqdeer mujhe de rahi hain...
Sarita - Aap jise badkismati maante hain...aaj vahi aapka naam roshan karne ja rahi hain...kam se kam aaj ke din to uska sath dijiye...
Jagat - Ye nahi kar sakta main...tumhari tasalli ke liye jhuti khushi nahi dikha sakta...aaj agar mera beta hota to army join karta garv se chaati phul jati meri ...par Anjali...Anjali ko dekh kar sirf apne bikhre hue sapne aur toote hue armaan nazar aate hain...Anjali meri laachari hain...meri saza hain...meri zindagi ki sabse badi haar hain Anjali
Maithili - Kya..pagal hain kya tu
Anjali - Haan wo mujh se nafrat karte hain...
Maithili - Yaar just because wo tere function main nahi aaye iska matlab ye thodi na hain ki wo tujhse nafrat karte hain
Anjali - Unhone khud kaha hain aisa... wo mujh se nafrat karte hain kyunki main ladki hu ladka nahi...aaj ye award Anjali Rawat ko nahi diya jayega kyunki usne aisa kuch kiya hi nahi jo special ho... Anjali Rawat kuch special kar hi nahi sakti ...wo special ho hi nahi sakti...kyunki wo to beti hain...to best student ki ye trophy use dijayegi jo special hain...aur wo hain Brigadier Jagat Singh Rawat ka beta..wo beta jo Anjali Rawat ki vajah se paida nahi ho paaya ...ye trophy uss bte ko di jaati hain...taaliya...
Maithili - Anjali tu pagal hain kya chal neeche utar ... Anjali neeche utar
Jagat - Ye kya toota hua pada hain
Anjali - Wo aapke armaan aur aapke sapne hain papa..sorry mujhse toot gaye..tootne se bachana mere bas main nahi tha papa ..par jod na mere bas main hain...beti hona mere bas main nahi tha ...par bete se badkar hona mere bas main hain..jaise ki aap chahte the...ye mera vada hain aapse papa apki zindagi se bete ki kammi mitana meri zindagi ka pehela aur akri maksat hoga 👏
ANJALI TO HER MOM
Apne papa ke pyaar ke bina meri zindagi ka bhi mool nahi hain Maa bekaar hain aisi jeena...kal ko meri shadi ho jayegi chali jaungi main ghar se papa mere bare main soch kar khush to zaroor honge par proud nahi feel karenge ki anjali meri beti hain aur ye jaan kar main kabhi khush nahi reh paungi maa na iss ghar main na kisi aur ghar main aur ye sirf papa ka hi sapna hi nahi mera bhi ek sapna hain main chahti hu ki jab bhi papa mere bare mein soche unki chati garv se phool jaye main chahti hu ki ek din papa mere ankhon mein ankhe daal kar kahe anjali I am proud of you mujhe naaz hi ki tu meri beti hain aur mujhe ye sab abhi karna hain maa mera naam badal ne se pehele Brigadier Rawat ki beti Anjali Rawat ko unka sapna jee kar apna sapna pura karna hain maa😭 ⭐️
ANJALI TO COLONEL
Time hi to nahi hain sir mere papa wo meri shadi karvana chahte hain aur main ..sir main ne aapko pura sachh nahi bataya tha Mt Everest mera sapna nahi hain main ne to kabhi mountaineering ke bare mein socha bhi nahi tha ...yeh mere papa ka sapna tha jo wo khud pura nahi kar paaye aur ab wo maante hain ki ab wo kabhi pura nahi ho sakta kyunki unka koi beta nahi hain sirf main hu beti...aur beti kabhi bete barabar ho hi nahi sakti...papa bhi army officer hain sir Brigadier hain kargil mein serve karte hue ghayal ho gaye...mere liye wo hamesha hero rahenge jab se mujhe yaad hain main bas papa jaise banna chahti thi jo bhi main karti thi bas unhe khush karne ke liye karti thi aur mujhe lagta tha ki wo mujhe pyaarr...do mahine pehle mujhe pata chala ki main...ki papa mujhe apni zindagi ki sabse badi har samajhte hain kyunki main beti hu...isiliye main ne papa ka sapna pura karne ko apna maksat bana liya hain mujhe Everest pe nahi jana hain sir mujhe to apne papa ke dil main jana hain duniya ke highest peak pe mujhe apna naam nahi Brigadier Jagat Singh Rawat ka naam likhna hain aur ye mujhe unki beti Anjali Singh Rawat banke karna hain kisi ki patni banke nahi...isiliye time bilkul nahi hain sir...aaj tak main apne papa ke dukh ki vajah bani hu ek baar unki khushi ki vajah banna chahti hu ab mujhe pura yakeen hain sir ki jab main Everest ke choti pe khadi hongi tab mere papa duniya ke sabse khush insaan honge aur uss khushi ki vajah hongi main...aur jab vaha jhanda lehera ke unka naam loongi tab khul ke hasenge mere papa aur uss hasi ki vajah bhi main hongi ...bas aur kuch nahi chahiye mujhe colonel itna sa sapna hain mera...par ye sapna shayad sapna hi rahega thank you colonel aapne jo bhi sikhaya hain main kabhi nahi bhoolungi
GUYS U TOO SHARE UR FAVOURITE DIALOGUES & SCENES😊