Hey guyz..with all these spoilers going round and round in our head I am sure u people must be irritated by now but never mind all we can do is wait till the time we actually watch the show!!!
So now this ff is based on the upcoming spoiler that says that sahir would pretend to love arzoo
In my story arzoo gets to know about this and about zeenat as well. She was succesful in saving zaki from samaira with the help of that blood sample but at the same time she also confesses her love to sahir. Sahir falls in love with her as the time progresses and in b/w all this she gets to know about sahir's past and zeenat but seeing that zeenat betrayed him she accepts sahir whole heartedly. Later zaki who is angry on sahir for snatching his arzoo away from him in a fit blurts out about the challenge and later arzoo decides to leave sahir his home and saiyaara!
Note- zaki is not a grey character here he just told the truth in a fit of anger.
"Arzoo..arzoo ruko, pls ek baar meri baat toh sunlo?", sahir tried to hold arzoo's hand but she jerked it off and turned around to face him
"kya sune sir? Ye ki aapne ye sab kuch apne bhaai ke liye kia ya fir ye ki aapko apne ateet ki wajah se shak tha hum par islie ye sab kuch kia"
"hum bhi to zaki ke lie he kar rhe the na sab kuch? Usko samaira se bachane ke lie?"
"toh kya galat krr rhe the hum?"
"aur baat rahi aapke ateet ki toh maaf kijiyega sir par koi farak nahi hai aapme or zeenat meh"
"wajah chaahe kuch bhi ho par aap dono ne he mazak udaya hai kisi ki feelings, mazak udaya hai kisi ke pyaar ka or iss galti ke lie hum aapko kabhi maaf ni krenge"
Sahir couldn't speak a word. What would he say? After all he was the one at fault but still! He couldn't let arzoo go, not now when he is so sure about his feelings for her.
"Mai janta hu ki maine jo kia galat kia. Tumhe judge kia tumhari feelings ka mazak udaya par sach meh pyaar karta hu tumse chaahta hu tumhe."
"ye sach hai ki ye sab shuru maine ek challenge ke tahat kiya tha par patani kab kese mujhe pyaar hogaya tumse tumhari har baat se"
Arzoo was hurt. She didn't want to hurt sahir even if he was the reason for her tears but she wouldn't do the same mistake her ammi did. She couldn't trust sahir again. Some where she knew that he was the one for her but after his this act she had stopped listening to her heart, once she had listened and look where it brought her!
Listening to sahir and his pleadings a tear leaked out of her eyes.
This is where she had wanted sahir all along no not crying but mad in love with her just like she was, fighting for her but it was too late!
sahir started to wipe away the tear but she moved a step back.
"rehne dijiye sir, pehle aasun dekar phir unhi aasuon ko pochna fitrat hai insan ki par wo ye ni samajhta ki aasun poch dene se dil ke zakhm kam nahi ho jaate"
"aur agar sach meh aapko pyar hogaya tha humse toh kyo nahi bataya hume sach. Baad meh toh keh sakte the na"
"meh batana chaahta tha par...par dar gaya tha ki kahi sach kehdiya toh kho na dun tumhe"
"kho toh aapne diya he hai! Hume bhi or humare mohabbat ko bhi" saying this she started to turn away but sahir caught hold her hand.
"arzoo pls ek chance, ek chance toh de sakti ho na tum mujhe?"
"nahi de sakte, aakhir kyo de kese maanle ki ye aapki koi or chaal nahi koi or ghatiya khel nahi?"
"nikaah...nikaah krlo mujhse!
Fir to yakeen ho jaayega na tumhe ki mera pyaar sacha hai ki ye sab kuch koi natak nahi?"
Arzoo couldn't help but give out a small humorless laugh while sahir was surprised by her response
"k..kya hua tum.."
"hasi to aayegi he na sir aakhir nikaah karne se iss baat ka yakeen kese krle hum ki aap hume kisi din chodh nahi denge?"
"waise jaise sarfaraaz sahab ne hamari ammi ko chodha tha ya phir wese jese zeenat ne aapko"
"aise meh kese bharosa krle hum ki nikaah hojane se nahi dhokha denge aap hume. Sir hume galat mat samajhyega hum apne ateet ke basis par judge nahi kar rhe aapko par phir krre bhi kyo na! Aapne bhi to yehi kia tha, haina?"
"arzoo fir kya karu meh aisa jisse tumhe yakeen aa jaye mujhpe ki mai sachme pyaar karta hu tumse"
"mai janta hu ki meh galat tha par us waqt or kuch samajh he nahi aaya, I am.."
"nahi sir! Bhaut late ho chuka hai iske lie. Hum ye nahi kehre ki aapne jo kia wo galat kia ho sakta hai ki uss waqt situation aise ho ki aapko aur kuch samajh naa aaya ho"
"par ek baar kam se kam puch to liya hota humse ki hum zaki se pyaar karte bhi hai ya nahi. Koi cheez hai kya hum jisse jab chaha jaise chaha treat krliya. Koi gudiya hai jiske lie dono bhaai aapas meh ladne lage"
"zaki ko laga ki hum usse pyaar krte hai. kabhi kaha humne, nahi na toh phir?
"aapko laga ki hum aap dono ki zindagi ke saath khel rhe hai kabhi aisa kuch kiya humne nahi na toh phir?"
"dono bhaaiyo ne khud faisla kar diya sahi or galat ka or saath meh humaari zindagi ka"
"par bas! ab ye humari zindagi ka faisla sirf hum krenge or koi nahi"
"ok fine, agar tum mujhse dur jaana chahti ho to theek hai par ek baar sach sach batao ki kya nahi pyaar karti tum mujhse kya nahi chaahti tum mujhe?"
"chaahti hu sir bhaut chaahti hu par kabhi kabhi pyaar kaafi nahi hota, kabhi kabhi hume ye samajhna padta hai ki zindagi meh har cheez waise nahi hoti jaisa hum chaahte hai, or hum ye baat samajh chuke hai"
"sahi kaha tumne, par agar zindagi khud tumhe ek aur mauka de rahi ho toh usse thukrana bhi toh shi nahi"
"nahi thukraate, par kya kare, puri zindagi iss dar meh toh nahi jee sakte na ki aap kabhi hume chodhke chale na jaaye?"
"theek hai, mat karo bharosa mujh par, par kam se kam saiyaara toh mat chodho tum deserve karti ho waha rehna"
"bas 3 maheene ke lie saiyaara meh apni job continue karlo uske baad bhi agar meh tumhe apne pyaar ka bharosa nahi dila paya to meh waada karta hu na..nahi rokunga tumhe"
Sahir said with much difficulty.
"theek hai par sirf teen maheene, kyoki hum bhi chaahte hai ki iss baar aap sach bol rhe ho, ek or jhuth bardaash nahi hoga humse"
"I promise 3 maheene baad tum khud mujhe bologi that you trust me"
Note- I am not saying that sahir is wrong or arzoo is wrong this is just my imagination and I am not doing it to bash any of the characters in the serial.