kaise bayaan karein......
jaise chandni...raat
aur hamari pehli mulakat
theh hum door par bohut paas..
kaise bayan karein.....
jaise saasein hamari mehekte gulaab....
aur dilon mein jaise lehron ka shor...
par khamoshi ka kya jawab...
kaise bayaan karein...
aur us chandni raat mein
hum waise theh
jaise chamakti hue shabnaam ki do boondein..
jaise hum do boondein...
baatein karte...
darte rehte...
pighalte rehte...
phir bhi un lamhon mein hum eik dusre mein khoye rehte...
jaise shabnam se hum phir fiza ban jate.....
kaise bayaan karein ....
jaise mohobbat ho gayi thi hame us faasley se
kareeb hogaye hum tum jisse...
kaise bayaan karein...
na bhool sakengein...
woh raat woh mulakat woh darte hue hum woh samajhtey hue tum..
woh guzarte hue pal...woh bebas hue hum...woh behalte hue tum woh mohabbat ka aaghaz...woh....jazbaaton ka sailaab....woh waqt ki bandish...woh dil ki khwahish....woh judaee ka ehsaas...woh mohobbat ki tadap......kaise bayaan karein
jaise ....kaise bayaan karein
its my own and i have also posted it on other sites