seriously Durga bahot bewkoof hai agar Durga thodi bhi smart hoti to kabhi Payal ko kisike saamne nahi laati
Durga agar sach me thodi bhi smart hoti to kabhi kisiko ye pata nahi chalne deti ki vo Payal naam ki kisi ladki ko jaanti bhi hai
vo kabhi Shaurya par us waqt attack nahi karwati jab vo Shaurya ke saath thi
agar Durga shaadi ka plan nahi banati
to shayad ye sabkuch nahi hota
usne jo Shaurya se pyar ka drama nahi kiya hota to shayad Sakshi ko uspar shak nahi hota
kyunki Sakshi koi bewkoof to nahi hai
itna to koi bhi samajh sakta hai ki Durga jaisi khoobsurat ladki Shaurya jaise flirt ,badtameej ,fake degree holder ,paralyze ladke se pyar kar nahi kar sakti
aur dr.Dayal bhi aajkal shayad bewkoofi ki competition me Durga se compete kar rahe hai
koun baap apni beti ko ek fake degree wale paralyze ,badtameej ladke se shaadi karne dega
lekin unhone jis tarah se sabke saamne has has kar Durga aur Shaurya ki shaadi ko permission di
koi bhi unka drama samajh sakta tha
dono baap beti no.1 ke bewkoof hai aur chale hai Sakshi ko harane 😡
pehle jaao aur Sakshi se sikho ki kaise apne dushmano ko kaise harate hai