mujhe lagta hai ab Durga ko ab khulke saamne aana chahiyei mean use Sakshi ko ye batana chahiye ki vo unhe barbaad kar degi
sirf khud ke Nitya hone ke baare me nahi batana chahiye
lekin use Sakshi ko ye batana chahiye ki vo Payal ke saath hai
ab is hide and seek me koi matlab nahi hai ,koi kisise kuch kehta nahi lekin sab log ek dusre ke baare me jaante hai ,
Sakshi ye janti hai ki Durga Shourya se pyar nahi karti ,aur Payal se Durga ki attachment ke baare me bhi jaanti hai
ek din vo Durga ki sachchai bhi jaan jaayegi
vo jaanti hai ki agar Payal ko chot pahuchaayi to Durga ko dard hota hai ,
aur Sakshi ye bhi jaanti hai ki Durga Shourya se kisi maksad ke liye shaadi karna chahati hai
agar sab log ek dusre ke iraade jaante hai
to mujhe nahi lagta ki bab is chuhe billi ke khel ka koi matlab hai
ab Open Challenge ka waqt aa gaya hai
aur mujhe nahi lagta ki Shourya se shaadi karke Durga ka mission asaan ho jaayega ,balki Durga ki mushkil aur badhegi kyunki shaadi ke baad Sakshi ki najar har waqt Durga par rahegi
ab mai khule aam ladaai chahati hun
lekin ye sabkuch karne se pehle Payal ko kisi safe jagah par rakhana chahiye
jahaan koi bhi naa pahuch paaye specially Dev the idiot😡
Edited by dailysoap..fan - 11 years ago