
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 21st Oct 25
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread- 20th Oct 2025
DO PHOOL DO MALA 21.10
SECRET OUTT 20.10
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 20 Oct 2025 EDT
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Oct. 21, 2025 Episode Discussion Thread
Deepika and Ranveer wish diwali with Dua
Anupamaa 20 Oct 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Book Talk Reading Challenge & Book Bingo, November '25 || Sign-up OPEN
Indian tv Blockbuster ! Parvati & Tulsi : The OG Bahus Mahasangam Epi
Ibrahim Ali Khan Admits Nadaaniyan Was A Bad Film
Veteran Actor Asrani Passes Away
Bill Gates To Appear on Kyunki?!
Mihir is a loser
🏏IPL 2026 Schedule: Time Table, Teams, Match List, Fixtures🏏
Malti hinted at Baseer being gay!
Mehrbaanon, Kadrdaanon aur Forum waasiyon, aaj ki is Sangeet Sandhya mei aap sabhi ka swagat hai. Humare saath yahan pe aaj ki sham ka noor badhate hua hain -
Malika-e-Hind hamare aziz shahenshah ki ammijaan Hamida Bano begum, Begum-E-Khaas Ruqaiyya Begum, Salima Begum, Gulbadan Bano Begum, jiji Anga ji, Maham Anga ji, Bakshi Bano, Nigar Bano - iss sham ko haseen banati hui, noor-e-aftab - Jodha Begum aur Iss shaam ki malika - Atifa
(Ba-adab, Ba-mulahiza, hoshiyaar - Shahenshah-e-Hind, Noor-e-takht, Babur-e-Azam, Zileilahi, Badshah Salamat, Jalal-ud-din Muhammad Akbar tashreef la rahe hain)
Shahenshah (to Adi and Khushi) - Mohtarma, kya mehfil ke liye sab tayyar hain?
Adi - Ji Shahenshah, Bas aapka intezaar tha
Shahenshah - toh der kis baat ki. Mehfil shuru kiya jaye
Adi - Jo Hukum Shahenshah
(Adi, to Audience and Forum waasis) - Aaj ki shaam, mausiki ki shaam hai, Ishq ke naam hai.
Khusrau saab ne kaha hai -
Khusro dariya prem ka, ulti va ki daahr,
Jo ubhro so doob gaye, jo doobe so paar.
Aaj iss mehfil mei aaye sabhi, kuch na kuch pesh karenge - aur har peshkash, pesh karne waale ke dil ki baat bayan karegi
To chaliye der kis baat ki - aaj ka yeh Jashn-e-ulfat, Mehfil-e-mausiki, uss Aashiq ke naam, jo Ishq mei keh gaya -
Dil daadam o, Jaan daadam o, Imaan Daadam o (I gave up my heart, I gave up my life and I gave up my very faith when I found Love)
Kehte hain -
ishq junoon jab hadh se badh jaaye haste haste aashiq suli chadh jaaye
ishq ka jaadu sar chadh kar bole khoob laga lo pehre raste rab khole
Kuch aisa hi hua hamare TE ke saath Jodha ke Ishq mei, jiski pehchaan aaj Jodha ko hui hai
Aur aaj Jodha ki nigahen apne priyatam ko dekh keh rahi hain -
Prem bhati ka madva pilaike, Matvali kar linhi re mose nain milaike
Bal bal jaaun main tore rang rajva, Apni si kar linhi re mose nain milaike
Iss shaam ko poora karte hue khushi aur main yehi kehna chahenge -
preet ki lath inhe aaisi laagi ho gaye yeh matwaale
bal bal jaayen apane piya ko he yeh jaayen vaari vaari
Inhe sudh budh naa rahi tan mann ki yeh toh jaane duniya saari
bebas aur laachar hue yeh, haare yeh dil haare
With this we would say that Love is Faith and Faith is Love - where there is Love there can be no Fear and where there is Fear, Love does not exist