Kala fir se dangerous banane lagi hai. Fahim ka kya haal kiya. Mujhe wo rod dekh ke radha ka murdur yaad aa gaya. Waise hi rod se kaisa maara tha radha ko kala ne. Or aaj fahim ko bhi kaise mara. Mujhse dekha bhi nahi gaya.
Tara ne kitni smartly sanki kumar ko handle karna sikh liya hai. Jaan bhoojh kar sanki ke saamne aise behaive kiya jisase use tara pe doubt ho or wo uske piche piche fight me aaye.
Tara fight me pahuchi to kitni khush thi. Or jab tara ne us 'Johny Johny yes papa' ko fight karne ko kaha to mannat ka face dekha tha mano keh raha ho
'Mera bf fight nahi karega' kyu? Tere bf ko bus murdur karna aata hai ladkiyo ka. Pehle sia ko mara or ab tara ko maarne aaya hai.
Sanki kumar ko to mannu nd tara dono apne hisab se chala rahi hai. Uski apni marzi to chalti hi nahi aaj kal. Tara ne khud hi us J ka haath utha diya for fight. Or wo J 2 punch laga ke kitna bhaw kha raha tha. MJ ne lagaya palat ke 4 or ispe tara ne siti maari. Sanki kumar or MJ dekhte reh gaye. MJ ke her punch pe tara kitna uchal rahi thi. MJ to tara ko dekhta reh gaya. Uske expressions aww. Kitni khush thi. Ye majnu yaha bhi chalu ho gaya. Fight ke beech me tara se nazre lada raha tha. Use stare karne ke chakkar me MJ ka dhyan fight se bhatka or us J Ne MJ ko zamin pe pataka. Tara ki aankhe rone lagi apne MJ ko maar khate dekh. Or mannat kitna ban rahi thi J ki tucchi si jeet pe. 'ye humara chuna hua bodyguard hai or ye kisi gali ke gunde se nahi haar sakta'. Huh tera J ke hatho me itna dum nahi jo MJ ko haraa de. MJ utha or kya dhoya mannat ke bf or uske attitude ko. Bechara tara ka Pucchhila zamin pe pada tha 3 punch me. Or us time tara ki aankho ki khushi MJ ko confused kar gayi. Use samjh nahi aa raha tara kya chahti hai. Or last me tara ne MJ ko isharo se wish kiya. Aww cute na.
Ye pari kitna jalti hai tara se. Fight ke baad jab MJ tara ek dusare ko dekh rahe the pari MJ ko le gayi. Ye pari future me problem banegi for MriAra. Ise sambhalna bada mushkil hoga MJ ke liye.
Fight ke end me tara ne kitni masumiyat se J ki insult kar di. Mannat ne support karna chaha lekin OM ne tara ki side li. J ne sabke saamne uski izzat ka faluda jo bana diya tha.
Aah ab MJ banega tara ka BD lekin thoda bhaw kha raha hai. Koi nahi thik ho jayega. Pari ki padhai ke liye fight ki ab tara ka BD bhi ban jayega.