Aaraam se hai duniyaa, bekal hain dil ke maare
Aise mein koyi aahat, is tarah aa rahi hai
Jaise ki chal rahaa ho, man mein koyi hamaare
Yaa dil dhadak rahaa hai, ik aas ke sahaare
Aayegaa, aayegaa, aayegaa, aayegaa aayegaa aanewaalaa
Aayegaa, aayegaa, aanewaalaa,
Aayegaa, aayegaa, aayegaa, aayegaa aanewaalaa
Aayegaa, aayegaa, aayegaa
Deepak bagair kaise, parwaane jal rahe hain
Deepak bagair kaise, parwaane jal rahe hain
Koyi nahin chalaataa, aur teer chal rahe hain
Koyi nahin chalaataa, aur teer chal rahe hain
Tadpegaa koyi kab tak, be aas be sahaare
Tadpegaa koyi kab tak, be aas be sahaare
Lekin ye kah rahe hain, dil ke mere ishaare
Aayegaa, aayegaa, aayegaa, aayegaa aanewaalaa,
Aayegaa aayegaa, aayegaa
Bhatki huyi jawaani, manzil ko dhoondhti hai
Bhatki huyi jawaani, manzil ko dhoondhti hai
Maajhi bagair naiyaa, saahil ko dhoondhti hai
Maajhi bagair naiyaa, saahil ko dhoondhti hai
Kyaa jaane dil ki kashti, kab tak lage kinaare
Kyaa jaane dil ki kashti, kab tak lage kinaare
Lekin ye kah rahe hain, dil ke mere ishaare
Aayegaa, aayegaa, aayegaa, aayegaa aanewaalaa,
Aayegaa aayegaa, aayegaa
Woh zarur aayega..
Who??

Ofcourse Zain Abdullah😆
Lets wait ppl..
Zain abdullah ke bina eid mushkil hi nahi na mumkin hai 😆
Woh aayega zaruur aayega n everybody will be lyk..
"Dekho woh aagaya..dekho woh aagaya" 😆
LMAO.. I've lost my mind.. 😆
Be positive guyz..!!
Lstn to this song
Aayega Aane Waala
Mission:#660