CallmeCel thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#1
Yesterday's episode was the most beautiful and fantastic episode ever witnessed bu the PrAja fans. Everything was just PERFECT. Even when Pratap was hallucinating Ajabde instead of Phool, we all found it really cute, isn't it? Each an every line was said beautifully by our talented and adorable Faisal. The conversation between JB and Pratap just touched us. Pratap Ajabde conversation was beyond words. I think every PrajaIan must have watched it more than 5 times. Pratap's confession was so unique and so cute and so heart touching, we have to say that. I liked each an every line he said, and Faisal's brilliant expression and acting. Hat's off.
Here's the dialogue update of yesterday's (28th May 2014) beautiful episode. I know you all must have remembered them by heart, by now. But still just wanted to post this beautiful lines which just touched us.


Jaiwanta Bai and Pratao conversation. JB in RED and Pratap in BLUE.


Apne Raani Maa par itne krodh mein humne pehli baar dekha hai Pratap ko.

Raani Maa aaj se pehle aapne bhi to kabhi humara uphaas nahin banwaya tha.

Kiske saamne banwaya humne aapka uphaas? Hum hi log to aapas mein baat kar rahein the. Hum, aapke daajiraj aur choti maa.


Aap phir bhul kar rahi hai Raani Maa, usse sab pata hai?

Kise?

Kissi ko bhi nahin.

Nahin. nahin, bataiye? Bataiye kiske saamne aapka ban gaya hai uphaas?

Ajabde Raani Maa, aur kya?


Aakhein jhukaane se man ki baat nahin chupti hai Pratap. Kyunki pehli baar jab humne aapko unhe dekhte hue dekha tha, hum samajh gaye the, Ajabde ke baarein mein aapke man mein vishesh anubhutiyaan hai. Kyun aapka mann baar baar jo keh raha hai usse aswikar kar rahein hai? Kya hum nahin dekh paa rahein hai ki apne mann se ladkar kitna chatpata rahein hai aap? Kya hum nahin dekh paa rahein hai ki jab keval Ajabde aapke aas paas rehti hai, tabhi aapke mukh par muskaan aati hai? Jab se aap Ajabde ke saath iss mahal mein aaye hai aap udvighna hai, aapki aakhein sadaiyv unhi ko dhundti hai.

Yadi aapko humari Raani Maa hote hue yeh sab samajh mein aa gaya hai, to phir uss ladki ko samajh mein kyun nahin aata hai Raani Maa? Kyun woh jaan bujh kar har baar humse ladti rehti hai? Kyun ve jaan bujh kar humein dukh deti rehti hai? Har pal hum apraadh bodh se ghire rehte hai Raani Maa. Kyun karti hai woh Raani Maa aisa? Kyun?

Kyunki ve iss sach ko swikaar karne se darr rahi hai. Jab aap itne paramveer hokar jhikhak rahein hai to vo to ek ladki hai. Zara sochiye apne mann ke iss komaltam bhaav ko swikaar kaarne mein kitni kathinayi hoti hogi unko.

Aapke kehne ka arth, vo bhi humare prati utna hi khichaav anubhav karti hai, jitna hum, hum unke prati karte hai.


Bilkul. Humne dekha hai jab aap unke aas paas nahin rehte, tab vichalit rehti hai vo.

------------------------------

Pratap Confession. Ajabde in PINK and Pratap in BLUE.

Hum to bass aapko badhayi dena chahte the pratiyogita jeetne ke liye.


Badhayi aap de chuke hai, aur vaise bhi woh phool ki jeet thi.

Kintu Ajabde, sabke saamne putla to aaphi ne toda tha.


Humne jo bhi kiya, phool ke liye kiya, isliye jeet Phool ki maani jayegi. Aur ab aapko phool se hi vivah kar lena chahiye.

Yeh kabhi nahi ho sakta Ajabde.


Kuyn nahin ho sakta Kunwar Pratap?

Kyunki ek to phool ne pratispardha nahin jeeti aur dusra, hum hi nahin jahte unke saath vivah karna.


Kunwar Pratap, hum aapse nivedan kartein hai, hum aapse haath jodte hai, kripya karke unse vivah kar lijiye. Aapko pata nahin, ve aapse bohot bohot prem karti hai.

Hum jaante hai kintu hum unhein iss drishti se nahin dekh sakte hai Ajabde.

Nahin Kunwar Pratap, aapko dekhna padega.

Kya matlab dekhna padega? Aap kaun hoti hai humein batane waali ki hum kisse vivah karein kisse nahi?

Humein pata hai Kunwar Pratap kyun aap unse vivah nahin karna chahte.

To phir bataiye. Hum bhi to sune kya jaanti hai aap?


Humein nahin pata! Vivah aapko karna hai to nirnay lene ka adhikaar bhi aapko hai. Hum kaun hote hai beech mein padne waale? Humein jaane dijiye Kunwar Pratap.

Kintu abhi abhi aap karan bata rahi thi Ajabde. Bataiye Ajabde. Chaliye hum hi bata dte hai ki kyun nahin karna chahte hum phool kanvar se vivah.

To phir bataiye kyun nahin karna chahte aap unse vivah?

Kyunki Phool woh nahin jise dekhkar hum sab kuch bhool sake.
Kyunki Phool woh nahin jise dekhkar hum apne din ka aarambh karna chaahein.
Kyunki Phool woh nahin jo humara aisa dhyaan rakh sake jaise hum uske sab kuch ho.
Kyunki Phool woh nahin jo humare parivaar ke saamne humari kissi bhi bhul ya humari kissi bhi kami ki humein kuch kehne ka saahas kar sakein.
Kyunki Phool woh nahin jo humein dekh kar lajja sake.
Kyunki Phool woh nahin jo humari aankhon se aankhein bhi na mila sakein jab hum uske saamne kharein ho.
Aur Phool woh bhi nahin jo raat bahr jaage jab hum jeevan aur mritu se lad raheon ho.

Phir to aapko aisi kanya milne se rahi.

Humein mil chuki hai.

Kya kaha aapne?

Wahi jo suna aapne. Humein mil chuki hai aur humare saamne khari hai.

So it's the dialogue update of yesterdays epi and I shall give such updates when we get beautiful convos like this.😳😃




Created

Last reply

Replies

6

Views

3.8k

Users

5

Likes

22

Frequent Posters

Joyness thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#2
Celu wah ...really mesmerising dialogues. .
CallmeCel thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#3

Originally posted by: jyotic74

Celu wah ...really mesmerising dialogues. .


Oh thank you jee. I was really touched by the episode😳😳 so decide to be the dialogue updater.😉
....Khushboo... thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#4
Wao great work Celu.
Amazing dialogues.
Kudos to writer for written these superb dialogues.
CallmeCel thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#5

Originally posted by: _GC-AK-Fan_

Wao great work Celu.

Amazing dialogues.
Kudos to writer for written these superb dialogues.


Thank you Khush.😳
And yep, KUDOS to the script writers.👏👏

bitblue thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
#6
JB pratap and PRaja dialogs MP loves can watch again and again last 10 minutes was super duper fantastic. so classy each word had its own deep meaning. that is scoring point for MP. i have never seen this strong dialogs in any other historical show so far.



anushruthi thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#7

Originally posted by: Celana

Kyunki Phool woh nahin jise dekhkar hum sab kuch bhool sake.
Kyunki Phool woh nahin jise dekhkar hum apne din ka aarambh karna chaahein.
Kyunki Phool woh nahin jo humara aisa dhyaan rakh sake jaise hum uske sab kuch ho.
Kyunki Phool woh nahin jo humare parivaar ke saamne humari kissi bhi bhul ya humari kissi bhi kami ki humein kuch kehne ka saahas kar sakein.
Kyunki Phool woh nahin jo humein dekh kar lajja sake.
Kyunki Phool woh nahin jo humari aankhon se aankhein bhi na mila sakein jab hum uske saamne kharein ho.
Aur Phool woh bhi nahin jo raat bahr jaage jab hum jeevan aur mritu se lad raheon ho.


dreamy lines...
left me

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".