Pichle week k trh iss week bhi Barkat Villa k upar Bavdi ka sayaa mandra rha hai. Bavdi k saye ne Barkat k Toofan ko janam diya hai. 😎 Barkat Toofan k chalte Barkat Villa wasiyo pe saazish k baarish hone ki Sambhavna hai 😛
Mir Khan namak toofano badal ne Barkat rupi bijli ko apni hi trh toofani badal k rang mein dhaal liya hai.
Mausam research se pta chala hai ki Barkat Toofan ek tarike ka anokha toofan hai 😕
Iss toofani badal ka pani bhaari matra mein 2 love birds Zain Aaliya k upar baras sakta hai ❤️
Iss barish k chalte Zain Aaliya k beech misunderstandings ka badal phat sakta hai par andar hi andar dono k dilo mein pyaar ki varsha hone ki puri sambhavna hai ❤️
Barkat toofan k chalte Suraiya begum aur Aaliya k rishtey mein vishwas ki baarish hone ki adhik sambhavna hai 😊 😳
Pyaar ki bavna k barsaat toh Aayat k dil mein bhi Rizwan k prati hone ki sambhavna hai ❤️
Pyaar k dhoke ki bijli Gauhar k upar gir sakti hai 😈
Nafisa aur Shaziya roopi toofani badal phat kr Rizwan ko apne gusse k pani mein doobo sakte hai.
Kya Barkat Toofan layega Zain Aaliya ko aur kareeb?
Kya Aayat Rizwan ki prem ki baarish karegi qubool?
Kya dhoke ki bijli girnr k wjh se Gauhar banegi ek dangerous witch?
Kya Suraiya - Aaliya k rishtey mein higi vishwas ki Varsha?
Jaane k liye dekhte rahiye Beintehaa Mon-Fri 9PM only on Colors 😎
-Thankyou 😊
PS: I dnt knw wat I wrote 🤔
Jise samjh aya very gud 👍🏼
Jise nai smjh aya m sry kyunki mujhe khud nai pta maine kya likha 🤣
