INSHI OS-Ishq bulawa Jaane kab Aawe

designersaini thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
#1
hey everyoneπŸ€—
here's a new INSHI OS for u all from our very own writer KETAKI
all d credit goes to her

Created

Last reply

Replies

21

Views

2850

Users

5

Likes

18

Frequent Posters

designersaini thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
#2

INSHI OS- Ishq bulawa jaane kab aawe

Caller : Hello di kaha ho aap? Aapne sara saman liya hain na di?

Lady : Haa baba. Tumne jo jo bola tha wo sara le liya hain. Me abhi nikal rahi hu thori der me pahuch jaungi,lekin yeh kya tu abhi tak soyi nahi?

Caller : Haa di me jag rahi hu. Wo aap abhi tak nahi aayi na toh maine socha aapke aane tak padhai kar lu aur bad me mujhe saman bhi to check karna hain na. Aap jaldi aao na di.

Lady : Are haa aa rahi hu. Aur yeh tumhari bat mujhe bilkul pasand nahi hain tum humesha mujhehi saman lane ko bolti hain. Yeh galat baat hai.

Caller : toh kya karu di. Aapko meri choice pata hain na.. aur aapki choice toh best me bhi best hoti hain isiliye aapko bolti hu na me lane ko.

Lady :  Thik hain thik hain. Chal ab me rakhti hu Bye. Dono phone rakhte hain.

The lady is none other than our female protagonist Ms. Indira Sharma aur caller is uski choti behen  Mandira Sharma. Indira aur Mandira dono Mumbai me rehti hain. Indira Mumbai ke famous hotel me manager hain aur Mandira apni graduation complete kar rahi hain. Indira ke parents Mr. Inder Sharma aur Mrs. Kutumb Sharma Bhopal me rehte hain.

Indira apne hotel se sab saman lekar nikalti hain. Uff oh... ye Mandira bhi na sara  saman mujhe lane ko bola. Ab agar mere hath se kuch bhi idhar udhar ghum gaya na toh mujhe samaj me bhi nahi aayega. Aur wo apni sari bags lekar taxi milneka intezar karti hain lekin bahot raat hone ke karan use koi bhi taxi nahi milti. Fir wo chalne lagti hain aur fortunately use ek taxi mil jati hain. Thori der bad taxi ruk jati hain.

Indira driver se : Kya hua bhaisaab taxi kyun rok di?

Driver : Wo madamji yeh bhaisaab hain na unko bhi taxi nahi mil rahi  aur unko bhi ussi area me jana hain.

Indira : Ok toh problem kya hain?

Driver : Toh kya hum unko bhi chod de?

Indira : Ok aap bithalo unko bhi.

Driver : Par madamji unko aapke sath peechehi baithna padega kyunki yaha mere pass ki seat pe saman hain.

Indira  apni sari bags side me karne lagti hain. Thik hain. Aur wo ladke ke liye jagah bna deti hain. Ladka andar beth jata hain. That ladka is none other than apna Rishi Diwan the male protagonist.

Rishi : Thank you madam. Agar aap man nahi jati toh pata nahi mujhe kab tak taxi ka wait karna padta. Thank you once again.

Indira : Koi bat nahi. Welcome.

Thori der bad Indira ka phone bajta hain aur ussi waqt Rishi ka bhi phone bajta hain.

Indira : Hello...hello jara jorse bolo na tumhari awaj nahi aa rahi.

Rishi : Are awaj aa rahi hain  aage toh bol.

Indira shockse Rishi ke taraf dekhti hain Rishi phone pe bolne lagta hain.

Indira (apne phone pe) : Are haa sara saman le liya hain.

Rishi (apne phone pe) : Are nahi yar koi saman nahi liya hain. Khamkhakaun sambhalte baithega.

Indira (Phone pe): Haa mujhe taxi mil gayi hain me thori der me aa rahi hu.

Rishi : Taxi toh mujhe mili hain lekin pata nahi kab pahuchunga.

Indira : Hello...hello teri awaj ja rahi hain...hello...

Rishi : Are lagta hain network problem hain me tumhe bad me phone karta hu. Bye.. Aur dono call cut karte hain. 

Indira gusse se Rishi ki taraf dekhti hain.

Rishi : Wo...wo lagta hain aapko bhi network problem aa rahi thi.

Indira : Jyada smarti bananeki koshish mat kijiyega. Aapko kya lagta hain me nahi samaj rahi hu kya?

Rishi : Matlab?? Kya nahi samaj rahi aap?

Indira : Jyada bhole mat bano samjhe na. Sach me batayiye aapko sach me phone aaya tha?

Rishi : Ji haan mujhe sach me phone aaya tha. Aap chahe toh mera phone check kijiye.

Indira : Aapko na me chahe toh abhi ke abhi gadi se utar dungi. Aap yeh mat bhuliyega ki meri wajahse aap iss gadime hi samjhe na aap.

Rishi : Ok mai samaj gaya. Aur waise bhi mujhe kisi ka ehsaan rakhna pasand nahi hain. Isiliye maine aapko turant thak you bhi bola tha. Aap bhul gayi shayad.

Indira : Main kuch nahi bhuli hu. Aap chup chap baithe rahiye. Aur wo window se bahar       dekhne lagti hain.

Rishi : Kya ladki hain ye. Ab kya me phone bhi na uthau? Pata nahi kya samjti hain apne aapko? Aur wo bhi apne side ki window se bahar dekhne lagta hain. Tabhi gadi speed mein turn leti hai aur Indira Rishi ke side aakar takra jati hain. Indira jor se chillati hain oouchh...

Rishi driver se : Are bhaiyaa dekh ke chalao na. Yaha already mere pe jwalamujhi ek bar phut chuka hai. Tum thik se chalao warna pata chala tumhare upar bhi phat gaya,

Indira : Excuse me. Aapka matlab kya hain?

Rishi : Kuch nahi. Me toh use gadi sambhalkar chalaneko keh raha tha. Aap please aaramse baithiye. After all aapne pehle gadi hire kit hi. Please. Indira turant apne side me beth jati hain. Tabhi Indira ki ek bag neeche girti hain. Rishi aur Indira dono wo uthane ko neeche jhukte hain aur dono ek dusre ki taraf dekhte hain. Indira turant eye contact todti hain aur bag uthati hain. Achanak se gadi badasa awaj hokar ruk jati hain. Driver bahar aake dekhne lagta hain lekin use kuch samaj nahi aata. Rishi bhi bahar aata hain. Indira thora time wait karti hain aur wo driver se gadi ke bareme puchti hain.

Driver : Pata nahi madamji kuch kharabi hui hain lekin wo thik karneme thora jyada time lagega.

Indira : Oh god already bahot late hua hain aur uparse Mandira bhi jag rahi hain ab kya karu me? Aur wo idhar udhar dekhne lagti hain. Waise yaha se me pedal gayi toh aadhe ghante ke andar andar pahuch jaungi. Aur pata bhi nahi gadi repair hone me kitna time lagega. Haan yahi thik hain. Me yahase chalke hi jati hu. Aur wo apna sara saman sambhalkar gadise utarti hain aur driver ko paise dekar bags sambhalte huye chalti hain. Thore distance par jane ke bad wo peeche dekhti hain aur use Rishi aate huye dikhta hain. Yeh mere peeche kyun aa raha hain? Kahin yeh mera peecha toh nahi kar raha hain. Aur wo speed se chalne lagti hain aur wapas peeche dekhti hain. Rishi abhi bhi uske peche aa raha tha. Yeh ladka hain kaun aur ye mere peeche kyun aa raha hain? Isko toh bahot aage jana tha. Pata nahi. Wo turant ek choti dukan (Tapri) ke peeche chup jati hain. Rishi usko dhundne lagta hain. Aur wo uss tapir ke pass aata hain.

Rishi : Kaha gayi yeh ladki? Waise kuch bhi bolo ladki  bahot kamal ki thi. Lekin pata nahi kaha gayi.

Indira uski bate sun leti hain. Sala kamina. Isko maine lift kya di toh ye yaha tak mere peeche aaya. Aur me isse kamalki lagi na. Ruk ja bte abhi tujhe maza chakhati hu. Ek akeli ladki dekhi nahi toh shuru ho gaye. Aur wo bahar aane lagti hain tabhi uski najar watch pe jati hain. Lekin Indira abhi time dekh. Mandira bhi tumhara intezar kar rahi hain. Abhi tu dusre rastese nikal le. Isse bad me dekh lena. Aur wo wahase dusre raste se chali jati hain.


Indira ghar pahuch jati hain. Mandira use pani deti hain fir dono dinner karti hain. Mandira apna sara saman chek karti hain. Di mujhe wo kuch paise chahiye the kal ke liye. Please do na di.

Indira : Tub hi na isme utna please please kehneki kya jarurat hain. Tue k kam kar mera credit card lele. Mere hand purse me hain ja jake lele. Mandira purse dhundti hain lekin use purse nahi milti. Di kaha hain purse?

Indira : Are wahi toh hogi. Thik se dekh le.

Mandira achhese sari bags dekhti hain. Di isme nahi hain. Indira turant sab bags dekhne lagti hain. Oh Shittt...kaha gayi meri purse? Ek minute shayad uss taxime toh nahi reh gaye na. Nahi...lekin maine driver ko paise diye tab thi.

Mandira: toh di uske bad nahi giri na?

Indira: haa lagta hain tabhi giri hogi.

Mandira: Par di usme paise the kya bahot?

Indira: Nahi cash nahi thi jyada par mere sare cards the usme. Ab hum kya karenge shitt...

Mandira: Di please aap relax ho jayiye ab hum kal bamk me chalke sari formalities complete kar lenge.

Indira: Haa lekin tu fikar mat kar me sambhalungi. Cha lab jake so ja. Kal mujhe pehle bank me jana hoga. Aur wo dono sone jati hain.

Agle din

Indira sabse pehle apne office me jati hain aur apne colleague Mr. Rajiv Ahujase apni problem share karti hain. Dono turant bankme janekeliye nikalte hain tabhi waha peon aakar Indira ken am ka parcel deta hain. Indira parcel kholti hain usme use uski purse aur uske sath ek letter milta hain . Wo purse dekh kar bahot khush hoti hain aur letter padhne lagti hain.

Hi... aap soch rahi hogi ki ye purse to aapka ghum gaya tha but actually aapki ye purse kal taxi me gir gayi thi. (Indira ek bar firse yad karti hain ki usne paise nikal kar purse apni bag me dala tha lekin tabhi shayad uski purse gir gayi hogi. Aur ye... ye wahi ladka toh nahi na...aur wo aage padhne lagti hain.) Haan thik pechana aapne main Wahi ladka hu jisne kal aapke sarth taxi share kit hi... once again thanks to you...aur shayad mujhe dekh kar aap dar bhi gayi thi jab maine aapke peeche aa raha tha but believe me main aapka peecha sirf isiliye kar raha tha kyonki main aapka purse dena chahta tha jo aap taxi mein bhul gayi thi lekin aap to aise bhag rahi thi jaise main aapko kha jaunga. (Indira bahot embrass feel karti hain.) Maine aapka purse check kiya...sorry for that...but aap tak purse pahuchaneke liye ye toh karnahi that oh isiliye...aur tab usme mujheaapke office ka address mila means aapka id card mila and turant aapko aapka purse aap tak pahucha diya. Hope aap iss bar ye letter kisi unknown ki tarafse paakar phir se darn hi gayi hogi. Hope aap samajhengi ki main to aapki kal help kar raha tha naki aapka peecha kar raha tha.

Your's Stranger Rishi.

Indira letter padhne ke bat bahot guilt feel karti hain.Iska matlab wo ladka...Rishi...Rishi meri purse deneke liye mere peeche aaya tha...aur maine...aur maine socha ki wo mujhe...mujhe use mafi mangani chahiye. Aur wo turant letter ko dekhne lagti hain par use uska address nahi milta wo turant reception counter pe jati hain aur uss letter ke bareme puchti hain par receptionist kehti hain ki use ye parcel office ke bahar ke parcel box me mila tha. Thori der bad Rajiv uske pass aakar use chalneko kehta hain par Indira uuse purse dikhati hain. Aur thori der bad Mandira ko phone karke purse milneki bat batati hain. Aur wapas apne cabin me jake kam karne lagti hain. Lekin uska man nahi lagta. Uske man me Rishikehi khayal aate hain. Wo apne kam pe dhyan deneki bahot koshish karti hain par wo nahi de pati aur half day lekar jaldi ghar jati hain.

Mandira: Are di aap aaj itne jaldi kyun? Aapki tabiyet toh thik hain na?

Indira : Haan me thik hu. Wo Mandira bat yeh hain ki...jo kal meri purse kho gayi thin a wo milgayi.

Mandira : Are haan di aapne bataya tha par aapko purse kaise mil gayi? Indira use sab bat detailed me batati hain. Mandira Rishi ki bat sunkar hasne lagti hain.

Indira uske taraf dumbjaise dekhti hain. Tu has kyun rahi hain? Maine koi joke nahi bataya hain jot u has rahi hain. Pata hain uss Rishi ki wajahse mera kam me dhyan bhi nahi laga.Maine bahot galat socha tha uske bareme. Mujhe use sorry kehna hain par kaise kahu me use sorry. Batana.

Mandira: Me kaise batau di? Aur aap bhi na turant uss bechare pe shak kar gayi.

Indira: Toh aur kya karti wo mera peecha kar raha that oh mujhe laga ki...ab tu mujhe kosna band kar aur bata me kya karu.

Mandira: Ab kya karogi di? Aapke pass na toh uska no hain aur nahi pata. Aapkp toh uska pura nam bhi nahi pata hain. Aapna jane do iss bat ko. Agar aap wapas use mili toh use sorry boldijiyega. Ab chod do di. Aur chalo khana khate hain. Aur wo Indira ko khana khane le jati hain. 


After 3 months

Din aisehi gujarte hain par Indira ke manse Rishi ke khayal jatehi nahi hain. Usse unki taxi me ki hui nok jhok yad aati hain  aur wo hasne lagti hain lekin badme use usne Rishi ko kaise galat samjha wo yad aata hain aur wo guilt feel karti hain.

Ek din Indira hall me TV dekh rahi thi. Actually wo physically hall me thi par uska man kahi aur tha. Mandira hall me Indirako bulane aati hain wo Indirako 4 5 bar awaj deti hain par use koi response nahi milta at last wo Indirako pinch karti hain. Indira jor se chillati hain oouchh... Kya kar rahe ho Rishi tum?? Aur wo Mandira ki taraf dekhti hain. Mandira tum?? Mujhe...mujhe... wo me...

Mandira : Firse Rishi??? Aur iss bar Rishi ne aapko pinch kiya?? Lagta hain yeh Rishi kuch jyadahi aapke pass... Indira uske taraf dekhti hain. Wo...wo me di aisehi...waise di uss Rishi ne aapke upar aisa kya jadoo kar diya hai ki aap ab sirf uske baremehi sochti ho. Are aapko toh sirf wo kuch time ke liye hi mila tha na?

Indira apne behaviour se khud confuse hoti hain. Tu sach keh rahi hain Mandira. Pata nahi mujhe kya hua hain? Humesha uss Rishi kahi chehra samne aa raha hain. Aur uski wo hari aankhe...pta nahi mujhe kya hua hain... wo toh mujhe uss din ke bad wapas mila bhi nahi...par fir bhi humesha uske khayal aa rahe hain...

Mandira uske pass aati hain Lo ji ho gaya Rishi puran shuru. Uff oh di aap bhi na bilkul pagal ho gayi ho. Itne din ho gaye fir bhi sab...

Indira (cuts her words) : Achha mujhe yeh toh batao mujhe itne jorse pinch kyun kiya tune?

Mandira : Lo aapke uss Rishi puran ke karan me main bat batana bhulhi gayi.

Indira : kaunsi bat?

Mandira : Maa ka phone aaya tha didi. Unhone hume turant Bhopal bulaya hain aur unhone humara reservation bhi kiya hain. Wo ek envelope se tickets nikalti hain. Parso nikalna hain di.

Indira : Kya? Parso?? Par itne urgent kyun bulaya hain unhone hume Mandira? Sab thik thak toh hain na? Kahin unki tabiyet??

Mandira : Di..di..are aap itna tension mat lijiye sab thik hain di. Wo aapke liye surprise hain waha.

Indira : Surprise kaisa surprise Mandira? Batana thik se.

Mandira : Abhi bataya toh surprise kya rahega? Aap bas itna samjhlo ki aapka bahot important din hoga waha pe. Aur wo Indira ko confuse ho kar chodke nikal jati hain. Lekin Indira use har bar puchti rehti hain. Bataa Indira kya surprise hain..bol na.. Lekin Mandira wahase bhagne lagti hain Indira bhi use peeche daudti hain aur aakhir kar use pakar leti hain. Batana Mandira kaisa surprise hain. Batana please. Aur wo apna muh banati hain. Mandira ko uski halat pe daya aati hain. Wo Indira ke hath pakar kar use gol ghumati hain. Didi... Pata hain Maane hume kyun bulaya hain...kyunki di aapke liye rishta aaya hain di...

Indira : Kya???Rishta???

Mandira :  Haa di rishta aaya hain. Ab aap jaldi dulhan banogi di aur wo Indira ka dupatta uske sar pe dalti hain. Woww...di bahot khubsurat lag rahi ho aap... Indira turant Kutumb ko phone karti hain.

Kutumb: Hello..

Indira : Maa mai Indira bol rahi hu. Maa wo Mandira ne mujhe bataya ki...

Kutumb : Indira beta...kaisi hain tu? Tumhari bahot yad rahi hain beta ab tu jaldi se idhar aaja. Mujhe tumse dher sari bate karni hain beta.

Indira : Haa maa mujhe bhi bahot batein karni hain par maa wo rishta...

Kutumb : Haa beta tere liye bahot achha rishta aaya hain. Tue k kam kar parso idhar aaja fir hum sari bate tabhi karenge thik hain na.

Indira : Par maa ye sab itne jaldi... Par Mandira use hath se phone khichti hain. Maa aap fikar mat kariye me na Didi ko lekar parso waha aati hu. Aur wo phone rakh deti hain.

Indira : Mujhe bat karni thin a Mandira maa se.

Mandira : Uff oh di aap bhi na chalo na saman pack karte hain..aur aapko chutti ka apply bhi karna hoga na kal..chaliye na di bahot sara kam hain aur wo use le jati hain.

4 din bad

Indira aur Madira Bhopal me aati hain. Rat ko Idira Kutumbse head massage lene beth jati hai.

Kutumb : Bolo beta kya kehna chahti thi tum uss din..yahi toh nahi na ki ye sab bahot jald ho raha hain?

IIndira : Maa...me...mujhe nahi samaj raha maa me kya bolu?

Kutumb: Ghabra mat beta. Agar tumhare man me koi ladka hai to batana me tumhare papase...

Indira : Nahi maa. Aisi koi bat nahi hain.

Kutumb : Dekh beta agar tumhe yahi lag raha hain ki ye jaldi ho raha hai toh beta yahi bilkul sahi time hain shadi ka. Dekho ab tum achhese job bhi karne lagi ho aur khudke pairope khadi ho. Aur shadi ki umar bhi yahi sahi hai beta. Aur pata hain ladka bhi bahot achha hain. Achhese padha hain aur unka khudka hotel kahi business hain. Unke khudke 3 hotels hain India me. Aur dekh beta kal tum use milogi aur milne ke bad agar tumhe wo pasand nahi aaya toh koi nahi beta. Aakhir decision tumharahi hoga. Ruk ek minute me tumhe uski photo dikhati hu. Aur wo photo leaati hain. Wo Indira ko ek envelope deti hain. Le beta dekh le photo.

Indira : Maa abhi nahi. Abhi mujhe aapke pass baithna hain. Kutumb envelop  table pe rakh deti hain aur dono maa beti dher sari bate karti hain. Thori der bad Kutumbsone jati hai aur Indira kin ajar uss envelope pe padti hain. Wo envelop kholne lagti hain lekin uska phone bajta hain aur wo envelop wapas rakh deti hain.


Agle din (Ladkewale aaneke din)

Kutumb : Indira beta tumne photo dekhli beta? Kaisa laga Rishi tumhe?

Indira Rishi ka nam sunkar shock hoti hain. Maa aapnenam kya bataya uska? Rishi??

Kutumb : Haa beta. Tumne Rishi ki photo dekhi na? Kaisa laga wo tumhe?

Indira : Maa me abhi aati hu. Aur wo turant apne room me aati hain aur envelop dhundti hain par use wo nahi milta wo turant Kutumb ke pass aati hain. Maa aapne wo envelop dekha kya?

Kutumb : Nahi beta. Shayad Mandira ne le liya ho. Usise puch le beta. Aur wo taiyariyaa karne lagti hai. Indira wahase bhag kar Mandira ke pass aati hain aur use evelop ke bareme puchti hain par Mandirako bhi nahi pata hota. Tabhi Kutumb Indira ko ready hone bolti hain. Indira Mandira ke sath room me jati hain aur wapas envelop dhundne lagti hain. Mandira mujhe uski photo kisi bhi hal me dekhi hain. Pata nahi wo envelop kaha gaya hain. Yahi rakha tha maine...

Mandira :Are didi photo jae do na ab aap usko direct milo na.

Indira : Nahi Mandira mujhe photo dekhni hain. Pata hain uss ladkeka nam Rishi hain.

Mandira : Kya Rishi??Kahi yeh wahi nahi na? Par di Rishi namke bahot ladke honge na. Aap bhi na Rishi nam sunkar itni pareshaan hui hain aur aapko kahi uss Rishi se pyar toh nahi hua hain na di? Kyunki jab dekho tab aapke dimag me wahi Rishi rehta hain. Wo kehte hain na love at first sight...

Indira : Kaisi bate kar rahi hain tu Mandira? Mujhe use sirf sorry bolna hain. Ye pyar ki bate kaha lekar bethi ho tum?

Mandira : Di sach sach bolti hu aapko dekh kar koi bhi yahi bolega. Uss din aapne bola tha na ki aapko har bar Rishi kehi khayal aate hain. Aapki aankhose uska chehra jata hi nahi hain. Ye sare symptoms pyarkehi hain di. Aap kahe toh me abhi maa ko sab bata deti hu.

Indira : Nahi Mandira. Aur Rishi se me kaha mili hu badme. Aur wo topic change karti hain. Cha lab hum ready ho jate hain.

Thori der bad ladkewale SN me aate hain. Indira unko pani deti hain. Kutumb uski pehchaan ladke keparents se karati hain. Beta yeh hai Rishi ke papa Mr. Anirudhha Diwan aur yeh ye Rishi ka maa Mrs. Anuradha Diwan. Indira unke per chute hain.

Ider : Ji wo Rishi nahi aaya?                      

Anirudhha: Ji wo aata hi hoga. Actually use important kamaaya tha isiliye use jana pada tha. Lekin ab aata hi hoga.

Anuradha aur Anirudhha Indira ko kuch sawal puchti hain.  Tabhi uko awaj aati hai I am sorry. Mujhe late hua.Indira awaj sunkar turant peeche dekhti hai. Aur shock hoti hai.

Auradha: Lo aa gaya Rishi. Aao beta. Rishi bhi Indira ke tara dekhte rehta hain. Mandira Idira ke pass aakar use dhakka deti hain. Wo dono apna eye lock todte hain. Anuradha Rishi ke pass aati hain. Yeh hai humara beta Rishi..Rishi Diwan. Wo bhi Kutumb aur Ider ke per chuta hain. Sare log InShi ko bate karne ke liye ek room me bhejte hain.

InShi dono pehle kuch nahi bolte. Rishi khudse bolna shuru karta hain. Ji wo me...lekin Idira use nahi bolne deti.

Indira : I am sorry Rishi ji...  oops sorry I am sorry Mr. Diwan and thank you..

Rishi : Ji aap mujhe Rishi hi bulayiye. Ye Mr. Diwan kuch jyadahi formal lagta hain. Aur ye thank you toh thik hain par sorry kyun??

Indira : Wo uss di Mumbai me aapne meri help kit hi na...

Rishi : Oh achha..

Indira : Wo...wo actually maine aapko galat samjha tha...isiliye I am really sorry...

Rishi : It'sok Indiraji. Aapki koi galti nahi hain. Agar waha koi bhi ladki hoti toh yahi samjhati.

Indira : Haa waise aap bhi mere aise peeche aa rahe the toh me sach me dar gayi thi. Aapki bhi galti hain Rishiji. Aur mujhe aap pe gussa bhi aaya tha bahot kyun ki aapne kaha tha ki ladki hain bahot kamal ki tab maine socha ki aapko do thappad maru. Aapko bhi sorry bolachahiye.

Rishi Indira ki bate sukar chauk jata hain lekin khudko sambhalta hain. Yes..yes you are right. Meri bhi galti hain. I am aso sorry Idiraji.

Indira : It's ok. Pata hain meaapko kabse sorry bolna chahti thi. Aapnemere purse ke sath wo letter diya thaw o padhke toh mujhe aur jyada guilt feel hua tha.

Rishi :Actually me khud aapko purse denewala tha par bad me socha ki ye galat hoga isiiye parce choda. Me actually usi din Delhi me chala gaya tha meetingke wajahse. Indira sirf use smile deti hain.Aur dono wapas chup hote hain.

Indira : Wo...wo mujhe nahi laga tha ki humari aisi mulakat hogi wapas. Mujhe toh aapka nam taknahi pata tha. Aur maine aapki photo bhi nahi dekhi thi. Rishi hasta hain. Aapne dekhi thi meri photo?

Rishi : Ji haan mainedekhi thi. Aur tabhi maine aapse milneko haa kardi. Mujhe bhi aapse bat karni thi. Wo uss din ke bad pata nahi kyun par mujhe lag raha tha ki mujhe khud aakar wo purse aapko deni chahiye thi. Aapko pata hain mujhe lag raha tha ki aap bahot gussa hongi kyunki maine apkapeecha kiya aur dusri bat aapka purse bhikhola aur sirf ek letter chod diya thaw o bhi sirf apna nam likh kar. Indira use smile deti hain.

Indira : Waise mujhe bhi bahot ajeebsa laga tha. Khair chodiye jo hua use bhul jate hain.

Rishi :Haa sahi kaha. Aur wo use naughty smile deta hain. Ab jiss kam ko aaye hai wok arte hain aur wink karta hain. Indira turant apa sar neeche karti hain.

Indira : Ji me chai lekar aati hu. Aur wo neeche jati hain. Mandira turant uske pass aati hain.

Madira : Di kya yeh wahi hain? Indira apna sar hilati hain. Mandira khush hoti hain. Toh kaise lage wo di?

Indira : Mandira tub hi na. Me tumse bad me bat karti hu abhi Rishi mera wait kar rahe honge aur wo turant chai ka tray lekar wahase chali jati hai.

Mandira : Lo ji abhise inka yeh hal hain. Lagta hain mujhe mere jiju mil gaye aur wo bahot khush hoti hain.

Thori der bad Rishi aur Indira neeche aate hai. Sab log unke taraf dekhte hain. Anuradha aurKutumb unke pass aate hain aur unko sign karke puchte hain. Rishi ek bar Indira ke taraf dekhta hain aur haa keh kar sar hilata hain. Indira bhi kutumb ke taraf dekh kar apnasar hilati hain. D aur SF meethai ke boxes exchange karte hain. Aur ek achhasa muhurat dekh kar InShi ki shadi hoti hain.

1 saal bad

Indira Rishi ko jagane bedroom me  aati hain.

Indira : Rishi utho na.  Office nahi jana kya?? Utho na.

Rishi : Sone do na Indira please sirf 5 minute aur.

Indira : Rishi utho na.Dekho time kya hua hain. Chalo... Aur wo kambal nikalne lagti hain tabhi Rishi use khichta hain. Rishi yeh kya kar rahe ho chodo..

Rishi : Abhi chodneko bol rahi ho aur kal raat ko khudhi..aur wo use naughty smile deta hain. Indira sharamse lal hoti hain. Kal raat ko mujhe seduce kiya  mujhse itni sari mehenat karwayi aur ab sone bhi nahi de rahi ho mujhe...

Indira : Toh kya ab mujhe uss bat ke liye saza milegi kya?

Rishi : Saza toh nahi par haa tumhe kuch toh dena hi hoga mujhe..

Idira : Kya?

Rishi : Chalo mujhe ek long si good morning kissie do...

Indira :Kya?? Abhi?? Nahi Rishi utho jaldi...lekin Rishi use aur pass khichta hain aur use intense look deta hain..Indira use galonpe kiss karta hain.

Rishi :Mujhe gaalonpe nahi yaha kissi chahiye aur wo apne hothope pe ungli karke ishara karta hai. Indira sharmati hain. Rishi dhirese uska chehra uthata hain aur turn hokar Indira ke upar aata hain aur slowly Indira ko long and passionately kiss karta hain. 

Edited by designersaini - 10 years ago
designersaini thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
#3
πŸ‘πŸΌ πŸ‘
good one dhum ketu...superb
ShivIka..Ketaki thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail
Posted: 10 years ago
#4
Seema di thanks a lot... aaj mujhe mera update like karke achha lag rha h πŸ˜†
designersaini thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
#5

Originally posted by: Ketaki19

Seema di thanks a lot... aaj mujhe mera update like karke achha lag rha hπŸ˜†

πŸ˜† πŸ˜†
Heema22 thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
#6
πŸ‘.πŸ‘.πŸ‘.πŸ€—..πŸ‘πŸΌ.πŸ₯³.πŸ€—.πŸ€—
Divineluster thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#7
Wow one more OS...πŸ˜ƒ
Nice OS ketu...πŸ‘πŸΌ

Love InShi β€οΈ Par InShi tho zyada hona chahiye na? πŸ€” still nice dear πŸ˜Š

Waiting for my DivyuShi OS  πŸ˜†
ratibob007 thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 10 years ago
#8
Awesome os.
Keep on writing some more os on inshi.
ShivIka..Ketaki thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail
Posted: 10 years ago
#9

Originally posted by: designersaini

πŸ‘πŸΌ πŸ‘

good one dhum ketu...superb

thanks seema di..
ShivIka..Ketaki thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail
Posted: 10 years ago
#10

Originally posted by: designersaini

hey everyoneπŸ€—

here's a new INSHI OS for u all from our very own writer KETAKI
all d credit goes to her

seema di thanks nahi bolungi do jhappi dungi aapko πŸ€—  πŸ€—