Masoomiyat~Hindi Version Part 1

I-Luv-Rashi thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 11 years ago
#1


Link to the english version: Masoomiyat-The Innocent One! english version


"Papa mein aap se maafi mangna chahta hoon,Please Mujhay maaf kerdijiye,Mein hi aap ki pareshani ki wajah hooersn isliye mein aapse door jaraha hoon bohut door.Mein Is duniya se hi jaaraha hoon! Mein Dariya mein kood ker khudkushi ker raha hoon,Bye Papa bye" Yeh alfaz aik 17 saal ka larka aankhon mein aanson liye ,Darya ki upar wali bridge pe khara phone pe apne baap se keh raha tha! Yeh bol ker usne phone kaat diya aur apna mobile band kerdiya. Usne apne aansuon se bhari aankhon se darya ki taraf dekha aur achanak uski aankhon mein aik chamak aagayi aur usne muskura ker bus ki taraf dekha aur bhaag ker bus pakad li.

Rudra bus mein bethta hai aur apni pocket se aik photo nikalta hai aur usse dekh ker woh Udaas ho jaata hai aur apne aansoo ponch ker kehta hai,"Maa tumhari hi kahi hui baaton se himmat juta ker mein aaj apni azaadi cheen ker laya hoon aur aaj mein apni azaadi ke pehle din Mumbai jaaraha hoon!" Rudra ko kuch yaad aata hai

*~*~*~*~*~*Flashback*~*~*~*~*~*

Rudra apni Gulak todta hai aur usme se dher saare paise nikalte hein woh wohi paise le ker aur apni school aur college ki results ki original copies le ker chala jaata hai ghar se,Phir woh jaker aik suitcase aur Kuch kapre khareedta hai aur bus stand aajata hai aur apne papa ko phone kerta hai!


*!*!*!*!*!*!*!*Flashback Over*!*!*!*!*!*!*!

wahan Dosri Taraf Rudra ke Papa Pareshan hoker Rudra ki behen Sunehri aur Uske bhai Samrat ko jaga ker uske phone ke baare mein sbko batata hai!Sunehri aur Samrat Ghabra jaate hein.Samrat Rudra ki khoj mein nikal jaata hai aur Sunehri dukh mein Apne pitaah se kehti hai,"Ab toh khush honge na aap woh chala gaya humein chod ker".
Dilsher Sunehri per chila ker usse chup kera deta hai aur Sunehri Rudra ke kamre mein jaati hai!

Rudra ke kamre mein Sunehri Rudre ki har cheez ko dukh se dekhti hai achanak usse maloom perta hai ke Rudra ki paison ki Gulak gayab hai,Yeh dekh ker Sunehri Samajh jaati hai ke Rudra Zinda hai aur Bhaag gaya hai! Sunheri Sukh ka saans leti hai aur Muskura ker kamre se Bahir nikal jaati hai!

Agle Din Samrat haara hua ghar waapis aata hai aur uski aankhon se na-umeedi tapak rahi hoti hai! Yeh dekh ker sab samajh jaate hein ke Rudra ka kuch pata nahi chala aur Samrat kehta hai,"Mene Police report likhwa di hai jald hi police Rudra ko dhoond legi!".

Yahan Rudra Mumbai pohunchta hai aur Bus se utarte hi woh aik admi ko rok ker pochta hai,"Bhai Saheb yaha ka koi aik jaga bataiye jaha ameer log rehte hon?". Woh admi Rudra ko ajeeb tareeke se dekhta hai aur Rudra kehta hai,"Oye teri kidneys nahi mangi hein sirf pata pocha hai!" Wojh admi Rudra ko Bandra ke ilaaqay ke baarey mein batata hai! Rudra ricksha pakar ker Bandra pohunchta hai aur bade hi Khushi se khuli hawa mein ghoomne lagta hai!

Rudra ko aik bohut bada bungalow nazar aata hai aur woh doorbell bajata hai! Darwaza aik larki kholti hai aur pochti hai,"Kya kaam hai???" Rudra jawab deta hai<"Ji aap ko kisi naukar ki zarorat hai?"
Woh larki sakhti se bolti hai,"Nahi Humein koi naukar nahi chahiye!" Peeche se aik aurat ki awaaz aati hai,"Kaun hai darwaze pe Paro?"
Paro Rudra ke baare mein batati hai!

Woh aurat Rudra se uske aane ki wajah pochti hai aur usse apna naam Maya batati hai! Rudra Maya ko batata hai ke usse Naukri chahiye! Maya Rudra ko ander le aati hai aur Rudra se pochti hai ke woh kya kaam jaanta hai aur Rudra kehta hai,"Ji Bartan dhone,Kapde dhona.Safai kerna aur ghar ke chote chote kaam kersakta hoon!"
Yeh sun ker Paro zor se hansti hai aur kehti hai," Arrey mummy yeh naukar nahi hai per Bahuzaroor lagta hai!". Maya Paro ko chup kera deti hai aur use apne kamre mein bhej deti hai!

Maya Rudra ko apne naukron se milwati hai aur usse batati hai ke usse servant quarters mein rehna hoga aur apna kamra unke ke cook ke saath share kerna hoga! Cook ka naam MohitLaal hota hai aur Maya Rudra ko Mohitlaal se milwaati hai! Mohitlaal Rudra ko upar se neeche tak dekhta hai aur Usse haath milata hai Lekin Rudra ko Mohitlaal ka chuna kuch ajeeb lagta hai!

Rudra Rasoighar mein jaata hai aur Apne mobile ki sim badli kerne lagta hai aur achanak se Paro aajati hai! Paro Rudra se takrati hai aur Phone gir jaata hai! Paro mobile dekh ker kehti hai," I phone 5S?? Tumhare paas itna mehenga phone kahan se aya?"

PRECAP:

Rudra apni nazre neeche ker ke khara hai aur Paro ,Maya ko bolti hai ke,"Mummy pochiye is Bahu se ke iske paas itna mehenga mobile phone kaha se aaya?" Maya Paro ko daant ker kamre mein jaane ka aadesh deti hai aur Rudra se maaafi mangte hue kehti hai,"I am sorry RudrA"! Jsike jawab mein Rudra kehta hai,"It's absolutely fine!" Yhe sun ker Maya heraan reh jaati hai!



Please do comment if you want this story further in Hindi!😳




Edited by I-Luv-Rashi - 11 years ago

Created

Last reply

Replies

1

Views

893

Users

1

Frequent Posters

I-Luv-Rashi thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 11 years ago
#2
Since no-one has liked this so I am quitting this idea of posting My ff in Hindi and I will just stick to English version!😊

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".