our own story of KAKP April 27th

goodkashish thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
#1
April 27th

Part 1

Sameera Aditya's ki books leke apne ghar nikalne hi wali thi tabhi uski dost unse milne aayi.

Sameera (surprized ): are, Niyati tum. kitne din bad aayi ho. ab jake meri yaad aayi tumhe.

Niyati : I am sorry. woh main ek naye case me ulji hoon. per tu kahan ja rahi hai.

Sameera: woh main Aditya ke ghar pe yeh books drop karne ja rahi thi.

Niyati: to thik hai pehle hum aditya ke ghar jate hai aur phir hum log kahin coffee ke liye chalte hai muje tumse bahot si baatein karni hai.

Sameera aur Niyati dono Raichand house me dakhil hote hai.

Niyati : wake me Aditya ka ghar bahot hi khubsurat hai.

Tabhi Krishna Sameera ki aawaz sunke bahar aati hai.

Krishana : sameera, tumne thodi dair kar di, abhi aaditya bas nikla apni office ke liye.

Sameera : koi baat nahin. Krishna yeh meri dost Dr niyati sharma.

Krishna : tum se milke khushi huyi. sameera ki dost hamari dost.

Yuvraj (kamre me se ) : Krishna meri tie nahin mil rahin.

Krishna : aap log bethiye main bas aati hoon.

Krishna (yuvraj ki tie hath me lekar) : Yeh kya hai Yuvraj. tumhare samne hi to hai. Tum kuch bhi apna kaam nahin kar sakte. Agar main kal tumse door chali gayi to.

Yuvraj (Krishna ka haath pakdke) : tumhe main itni aasani se kaise chod sakta hoon. kitni tumhari daath khane ke bad tum meri huyi ho.

Krishna : ab muje jane do. Ple mera haath chodo. Sameera mera bahar intazaar kar rahi. ple

Yuvraj pyaar se uski taraf dekhata hi rehta hai uska hath chodta hai.

Niyati idhar udhar ghar me sab kuch dekh rahi hai tabhi uski nazar Abhay ki tasvir pe padti hai jis pe pholon ka har chadhaya hai.

Tabhi Krishna : Niyati, kis khayal 😍 me kho gayi. Kya hamara ghar tumhe achcha nahin laga.

Niyati 😕: aisi koi baat nahin. bas aise hi kuch yaad aa gaya.

Yuvraj : Krishna, main office ke liye nikalta hoon aur haa sham ko muje dair ho jayegi. to tum mera khane pe intazaar mat karna.

Krishna : Niyati, yeh mere pati Yuvraj aur Yuvraj yeh Sameera ki dost Dr. niyati sharma.

Yuvraj : aap se milke khushi huyi per i am sorry muje office ke liye dair ho rahi hai. phir kabhi milenge.

Niyati sirf apna sir hilati hai.

Niyati 😳: Sameera, Hume dair ho rahi hai aur muje hospital bhi pahunchna hai.

Krishna 😃: Niyati tumse milke bahot hi khushi huyi jaise kisi apne ko milke hoti hai. aati rehna.

Niyati: ji zarror.

Part 2

Niyati Sameera ko leke coffee house jati hai.

Niyati : Sameera ek baat batao. Woh aaditya ke ghar me tasvir kiski thi.

Sameera : Woh Aditya ke bade bhai abhay ki hai. kuch hi mahine pehle uski car accident me maut ho gayi. Per tum yeh sab kyun pooch rahi ho.

Niyati : woh aise hi. Chehra jaana pehchana hai.

Sameera: woh aaj hum jis Krishna se mile the woh pehle Abhay ki patni thi. Aur jab Abhay chala gaya tab halat se majbor hokar Krishna ko yuvraj se shaadi karni padi.

Sameera Niyati ko sari krishna ki baatein batati hai.

Niyati : per, sameera, krishna ko dekhkar lagta nahin ki iski yeh shaadi samjota hai.

Sameera: Kabhi kabhi samjota hamari zaroorat ban jati hai aur zaroorat pyaar. Aaj krishna Yuvraj se bahot pyaar karti hai. Itna pyaar ki shayd main aur tum bhi kisise nahin kar sakte.

Niyati: main chalti hon muje kuch zaroori kaam yaad aa gaya. Phir kabhi bethke aaram se baatein karenge. .

Niyati apni car me hospital ki aur ja rahi hai woh bahot hi pareshaan dikhai rahi hai. Use samaj nahin aata ki kya ho raha hai.

Abhay (Krishna ki yaadoin me khoya hua): Shayad krishna kabhi mere liye bani hi nahin thi. jab bhi hum kareeb aate tab kismat hume juda kar deti hai. Lekin aaj jis tarah maine tumhe Yuvraj ki saath dekha to aisa laga ki tum apni zindagi me bahot khush ho. Main vaada karta hoon ki kabhi bhi tumhari zindagi aur tumhari khushiyon me laut ke nahin aaunga. Main tumhari aur Yuvraj ki zindagi se bahot door chala jaunga itni door ki meri padchai bhi tumpe na gire.

Tabhi koi Abhay ke room me aata hai. per Woh aakar abhay ko lejaye usse pehle nurse aakar abhay ko Xray ke liye lejati hai.

Nurse : aap yahaan rukiye. Dr. niyati abhi aati hi hogi aur tab tak main aap ki x-ray reports lati hoon.

Phir se woh log Abhay ko lejane ke liye aate hai lekin is baar Dr. niyati apne cabin me aati hai.

Niyati ( Abhay ki reports dekhkar) :kafi improovment huyi hai. Agar tum kuch bura naa mano to main tumse kuch pooch sakti hoon. Tumhara parivaar.

Abhay : mera koi parivaar nahin hai. Mera is duniya me koi nahin hai.

Niyati : Tumhara parivar hai. main mili hoon unse aaj.

Abhay (shocked) : kya

Part 3

Niyati : aaj main apni dost ke saath main raichand house gayi thi. wahaan main tumhare parivaar, tumhare bhai aur tumhari patni se me mili.

Abahy : Meri koi patni nahin hai aur nahi parivar.

Niyati : tum kyun apne parivaar se milna nahin chahte. Kyun apne aap ko apno se krishna se dur rakh rahe ho. Kitne khush hoge jab woh log tumhe dekhenge.

Abhay : Mana ki sare gharwale khush hoge per Krishna. uski zindagi me to toofan aa jayega. Maine dekha hai ki krishna yuvraj ke saath kitni khush hai. Aur main uski khushi ko barbad karna nahin chahta. Mere parivaar ke liye ab me hamesha ke liye mar gya hoon.

Niyati : Per abhay ek baar to tumhe inse jakar milna chahiye. kya pata krishna ka kya faisa ho. kyunki ab tak woh yahi samaj thi hai ki tumhari maut ek car accident me ho gayi hai.

Abhay: mera car accident nahin balke kisine muje marne ki koshish ki thi.

Abhay use sari baatein batata hai ki kaise Arjun raichand empire ko hasil karna chahta hai aur kaise usne usko marne ki koshish ki.

Niyati : kya naam bataya tumne, Arjun na. Kal woh mujse tumhare bare me baat karne aaya tha ki woh tumhe london lejana chahta hai tumhare ilaj ke liye. lekin maine mana kar di kyunki tum mere haath thik hona chahte the. to iska matlab yeh hai ki use pata hai ki tum is hospital me ho. Muje lagta hai ki woh phir se tumhe marne ki koshish kar sakta hai. Hume jald se jald yahaan se kahin aur jagah chale jana chahiye.

Abhay : kya farak padta hai. ab to me pal pal apne parivaar ke bina marta hoon. isse achcha hai woh muje mar de.

Niyati : bahot hi kum log hote hai jiski zindagi use vapas milti hai. aur tumhari zindagi ka maksad hai ki tum use apne parivaar ko barbad karne se bacho. Tum mere saath mere ghar chaloge.

Abhay : per tumhare ghar wale.

Niyati : mera is duniya me koi nahin hai. Is liye tum chinta mat karo aur mere khayal se me tumhari 24 ghante treatment bhi kar sakti hoon taki tum jaldi se thik ho jao.

Abhay: thank you so much.

Niyati : thanks kehne ki koi zaroorat nahin. main sirf apna kam kar rahi hoon.

ends on niyati's smily face 😊.

Ple don't forget to pick your favorite scene or dialogue.

thanks

with help of softk 6

love kashish

Created

Last reply

Replies

6

Views

1.4k

Users

6

Likes

2

Frequent Posters

salmo thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 18 years ago
#2
thanx for update but you know somebody in this forum told me that kakp is ned is this right please someone answer this quetion i really need it and by the way who is arjun? coz i am new in this section 😕
goodkashish thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
#3
yes. kakp is ended and the show left without any good ending. this our fiction story of kakp where they left so we dont miss kakp that much. arjun is tanya's dad and raichands business partners.
koolkat thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 18 years ago
#4
wow awsome 👏 job kasish but can u plezz make some romantic scenes between krishna n yuvi i dying to see i mean read romantic scenes bout them 😊
softk_6 thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 18 years ago
#5

Originally posted by: koolkat

wow awsome 👏 job kasish but can u plezz make some romantic scenes between krishna n yuvi i dying to see i mean read romantic scenes bout them 😊



helloo koolkat... thanx tht u r liking our work... its a joint effort by kashish and me....we will show some cute yuvi krishna scenes sooon
till then njoy😊
crosby87 thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#6
nicely done, i again like the yuvi - krishna scenes at the beginning! 😛
honey_06 thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 18 years ago
#7
i like yuvi-krishna scenes..
nyati-abhays too was good...nice story...
👏

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".