Chap 19Nidhi aur Ashutosh ne darwaje ki aur dekha aur un dono ke muh se nikal gaya,"Aap?
Darawaje par Anji Rangu aur Abhi the.
Abhi ko dekhkar Nidhi aur Ashu chauk pade.
Ashutosh: Main chalta hoo.
Abhi :Aap kahaa chale chhote jijaji.
Ab Ashutosh shock ho gaya.Aur woh Nidhi ki taraf dekhne laga.
Abhi: Uski taraf kya dekh rahe hai Ashutosh?usko main bachpan se janata hoo.Toh Nidhi aur Mallika di ki man ki baat main janata hoo.Aakhir meri bahene hai woh.
Nidhi: Lekin Abhi tumhe yeh sab
Aur uski najar Anji par padi.
Nidhi: Anji,toh tune Abhi ko sab bataya na?
Anji: usne puchha aur maine bata diya.
Nidhi:Matlab agar kal di bhi puchhegi toh tu bata degi nahi?
Anji:chal ab muze jyada dhamaki mat de.Warna toh main jakar direct Mathur uncle ko bata dungi.
Nidhi: are baap re! please unhe kuchh mat batana.
Anji:ha chal nahi batati.Coffee ho gai ho toh hum sab chalte hai.
Ashutohs: Anji tum Nidhi ki help karo main bahar jata hoo.Muze thoda kaam hai.Bye.
Aur jate jate usne Nidhi ke kaan me whisper kiya,"Raat ko mere kamre me yaad hai na?
Aur Nidhi kuchh nahi boli aur woh chala gaya wahaa se.
Bahar loan me Mallika aur Armaan baithe the.
Armaan: Mallika,ab hum ek majboot rishte me bandh gaye hai nahi?i am so lucky that i have a life partner like you.
Mallika: main bhi bahoot lucky hoo ki muze tum mile.
Armaan ne Mallika ko hug kiya.
Armaan: yeh sari bandaro ki sena hume disturb kar rahi hai.Chal mallika hum log ek long drive marke aate hai.Is se pahele ki woh koi bhi bahar aa jaye.
Mallika:ha chalo.Lekin main Nidhi ko bol deti hoo
Armaan: aha Nidhi ko bologi aur woh chup baithegi?AIR ki tarah pure ghar me baat faila degi.Chalo
Aur Mallika aur Armaan daudke car ki taraf aaye aur wahaa se nikal gaye.
Ashutosh bahar aaya toh wahaa koi bhi nahi tha.
Ashutosh mun me soch raha tha,'Bhai toh mera hi hai.Bhaag gaya bhabhi ko lekar." aur woh khud hi apni baat pe hans diya.
Sab bahar aaye dekha toh Ashutohs akela hi baitha tha wahaa.
Nidhi: Di aur Jiju kahaa gaye?
Ashutosh: premi bhagne se pahle address batakar nahi jate Nidhi aur woh darling bolte bolte ruk gaya.
Nidhi:matlab di aur jiju ghumne gaye hai.
Ashutosh: aur khabardaar tumne is baat ka ghar me dhindhora pita toh.
Nidhi : lekin main toh
Aur woh sab baithke gappe hankne lage.Der raat ke 12 baj chuke the.
Abhi: Nidhi,main jata hu sone.Muze neend aa rahi hai.
Rangu:chalo main bhi chalta hoo.
Ashutosh:Is waqt?tum Abhi ke saath so jao.Warna main aata hu tumhe drop karne.
Abhi: Rangnath,mere saath so jao.Kal hum dono saath me hi ghar jayenge.
Rangu:ha toh theek hai fir.Aaj ki raat Verma house ke saath
Aur sare sone chale gaye.
Ashutosh aur Nidhi sidhiya chadh rahe the.
Nidhi:Aapko kuchh chahiye?tea ya coffee?main banakar lati hu.
Ashutosh: Nahi muze kuchh nahi chahiye.Bus thoda waqt chahiye tumhare saath bitane ke liye.
Nidhi:main aati hoo aapke kamareme.
Ashutosh:Jaldi aana.I am waiting for you.
Thodi der baad Nidhi Ashutosh ke kamareme gai.Ashutosh ka kamra terrace se atach tha.Kyonki use khule aasman ke tare bahoot pasand the.
Nidhi ne dekha toh Ashu apni room ke balcony se taro ko dekh raha tha.
Nidhi uske pas jakar khadi ho gai.
Ashutosh ne Nidhi ka haath apne hatho me liya aur bola,"Nidhi,tum muze ek baat bataogi?tum muzse itna pyaar kyon karti ho?"
Nidhi: Aapko pata hai Shyama anty kya keheti hai?Aap agar sochke pyaar kare toh woh pyaar nahi pyaar ki haar hai.Pyaar toh sochke samazke nahi kiya jata.Main aajtak is pyaar se anjaan thi kyonki mere dil ko koi pasand hi nahi aaya.Lekin maine aapko dekha aur do teen mulakato me muze pata chal gaya ki muze koi kyon pasand nahi aata tha.
Ashutosh: matlab main stranger hu?
Nidhi: Nahi aisee baat nahi hai.Pyaar me kabhi kyon?kya?sawal ka jawab nahi hota.Pyaar toh ho jata hai.Waise ek baat kahoo?yehi baat toh muze aapse bhi puchhni thi.Muze pata hai ki main toh pagal hu.Utpatang harkate karti reheti hoo.Lekin aap toh sulze hue insaan hai.Fir aap muzse pyaar kyon karne lage?
Ashutosh: bus mera bhi yahi jawab hai.Tum pagal toh ho [Haste hue] lekin saath me ek jimmedar ladki ho.Family values ko samazti ho.
Nidhi:Bus itna hi?aur tarff karo meri.
Ashutosh: he!Nidhi tum sachmuch pagal ho.
Ashutosh ne Nidhi ko peechhese hug kiya.
Nidhi:Suniye,aap wahaa jakar muze phone karenge roj.Yeh mera hukum hai.
Ashutosh ne Nidhi ke gale me bahe dali aur uska muh apni taraf kiya.
Ashutosh: Nidhi,tumhari aankhe bahoot khubsurat hai.
Aur usne Nidhi ki aankhoko chuma.Aur fir Usne Nidhi ka chehere apne hathome liya aur usko forehead pe kiss kiya.
Nidhi ne Ashutohs ko kaske gale laga liya.Uske sabr ka baandh tut chuka tha.
Nidhi rone lagi.Uske aasoo Ashutosh ke kandhe ko bhigo rahe the.
Ashutosh ne Nidhi ki woh dard woh tadap Mehsoos ki aur usne Nidhi ka chehera upar uthaya.
Nidhi:Aap ko toh achha lagta hai muzse dur jana.Lekin muze aapse dur jana achha nahi lagta.Yeh tadap yeh duriya meri jaan le legi dekhna.
Ashutosh: shh Nidhi,Ab tum muze kamjor bana rahi ho.
Nidhi:bus ab main baba se humari baat karoongi.Aur dur nahi reh sakti main aapke bina.
Ashutosh: Nidhi
Nidhi: ha aap toh yahi kahenge na ki hum di aur jijaji
Ashutosh: Nahi Nidhi,ab main hi yahi chahta hoo ki tum mere pas raho mere saath raho.Bus tum ab meri banake raho.
Nidhi:toh fir kal hi hum baat karenge baba se
Ashutosh : Lekin tab tak?
Nidhi:main aapki bahome aise hi so jaoongi.
Ashutosh:soch lo,subah tak tum yahaa ruk sakti ho?
Nidhi:challenge kar rahe hai?
Ashutosh: ha bolo rukogi?
Nidhi: Ruk sakti hoo.Aapke liye.
Ashutosh: hey bhagwan!yeh ladki muze paagal kar degi.
Nidhi: nahi aapke pas rehekar main sudhar jaoongi.
Ashutosh:Mere pass tumhare liye surprise hai.
Nidhi:Kya?
Ashutosh:Aise nahi.Aakhe bund karo.
Nidhi:theek hai Aakhe band kar deti hoo.Jaldi dijiye na?
Aur Ashutosh ne Nidhi ke hatho me ek packet rakha.
Nidhi ne khola toh usme Sitaro wali chunar thi.
Nidhi ne aankhe kholi aur bol padi,"kitni sundar hai yeh toh.Thank you"
Ashutosh ne woh chunar Nidhi ke surpar rakhi.
Ashutosh:Bahoot pyari lag rahi ho Nidhi.
Nidhi Ne Ashutosh ke dono haath apne haath me liye aur unhe chum liya.
Ashutosh chair par jake baith gaya.Nidhi uske pas gai.Ashutosh aur Nidhi thodi der tak khamosh rahe.
Tabhi Nidhi Ashu ke pas jakar khadi ho gai aur boli,"Muze baithna hai."
Ashutosh: ha toh chair le aao
Nidhi:nahi muze dusri chair par nahi baithna.
Ashutosh:toh fir?
Nidhi ne ashu ke lap pe ishara kiya jahaa Ashutosh apne knee pe apne dono haath rakhkar baitha tha.
Woh ab bhi kuchh samaz nahi paya tha.
Nidhi ne uske dono haath uthaye aur uske lap me baith gai aur usne Ashutosh ke dono hatho se apne aapko baandh liya
Nidhi: samze saiyaan?
Ashutosh aur Nidhi aur pas aa gaye.Ashutosh ne Nidhi ko pahli baar itne kareeb se aur woh bhi aise touchy position me.
Nidhi aur Ashutosh ki sanse tej ho gai.
Ashutosh ne Nidhi ke kaan me kahaa,"ab agar muzse galti ho gai toh muze dosh mat dena."
Nidhi : main toh aapke galati ka intejaar kar rahi hoo.
Ashutosh:Kya? matlab?
Nidhi:apkee saso ko main mehsoos kar sakti hoo.
Aur Nidhi ne Ashutosh ki taraf apni najar ghumai.
Ashutosh ne apne tadapte hoth Nidhi ke hotho par rakh diye aur Nidhi ne apne haath Ashutosh ke chest par rakhe.
Fir Nidhi ne apni dono baho se Ashutosh ko hug kar liya.
Thodi der baad Ashutosh bola,"Nidhi,tum jao abhi."
Nidhi:kyon?muze nahi jana
Ashutosh:Nidhi dekho ab tum mere samne khadi reheke muze chidhana mat.Warna main
Nidhi:Warna aap kya karenge?
Ashutosh:bus tumhe raat bhar pyaar karoonga.
Aur Ashutosh ne Nidhi ko apne dono hatho se utha liya
Nidhi:Are aap muze kahaa lekar ja rahe hai?
Edited by parmarA - 11 years ago