Originally posted by: rainbowgirl
Purvi this is for you 😉
"Aayina taakti hoon toh meri parchayi mujhse poochti hai, ki yeh kaun hai?
Aayine main jo zameer hai who meri parchayi se kehti hai ki tu kaun hai?
Dono toh main hi hoon, yeh mera rooh kehta hai, bas dekhne ka nazariya badal gaya hai
Kal who khuli wadiya thi toh aaj sar pe taaron ki bochar hai
Ghar laut aayi hoon ya aashiyana chod aayi hoon
Jo bhi ho, main apne desh laut aayi hoon"
Mindblowing Ramya...yeh sab abb tak kahan chupa ke rakha tha...