arrey baapre...chalo koshish karti hoon...
main apane ghar mein hii ajanabii ho gayi hoon aakar
mujhe yahaan dekhakar merii ruuh Dar gaii hai
saham ke sab aarazuue konon mein jaa chhupii hain
lave bujhaa dii hain apane cheharon kii, hasaraton ne
ki shauq pahachanataa hii nahiin
muraaden dahaliiz hii pe sar rakh ke mar gaii hain
main kis vatan kii talaash mein yuun chali thi ghar se
ki apane ghar mein bhii ajanabii ho gayi hoon aakar😃
Apne ghar mein darna kaise jab
waqt rahete har paraya apnasa lagta hain
Dil mein hai ap jinke
Waqt rahete zubaan per bhi aa jate hain.
Darr ka waasta unn umeendon se hain...
jo puri ho naa ho parr kai dilon mein panabti rahi hain...
unn chehron ko dekhkar kyun kaap uthti hai meri aarzuein..
jin arzuon kaa damand pakde harr raah mili hain
haan shayad unn aarzuon ko bhi pata hai kahin...
ki raah hamaari ek hi ho..magar manzil ek nahin hain