Originally posted by: purvimehta
Morning Guys...
I am going to be absent today...but hopefully you all will have a blast here tonight/evening/afternoon!!
Since I had no contributions yesterday, meri taraf se aajki pehli peshkash...
Yad karke mujhe taklif he hoti hogi,
Aik qisa hoon purana sa bhula de mujhko.
Doobte doobte awaz teri sun jaun.
Akhri baar tu sahil se sada de mujhko.
Main tere hijr main chup chaap na mar jaun kahin.
Main hoon sakte main kabhi aake rula de mujhko.
Dekh main hogaya badnam kitabon ki tarah.
meri tasheer na kar ab tu jala de mujhko.
Roothna tera meri jaan lie jaata hai.
Aise naraz na ho haske dikhade mujhko.
Aur kuch bhi nahi manga mere malik tujhse.
Uski galion main padi khak banade mujhko.
Log kehte hain ke ye ishq nigal jata hai.
Main bhi is ishq mani aya hun, dua de mujhko.
Yahi aukaad hai meri tere jeevan main ke main.
Koi kamzor sa lamha hun. bhulade mujhko.
Sorry guys!! thodi jyaada hi sad ho gayi...😛...but ye mere kuch puraane baasi phool hai, naye taaza abhi likhe nahi naahi koshsih ki..to filhaal please manage karlo😆.
Have a great day all!!😃
Wah Wah Purvi - as i said earlier - will try to respond back - but can not do a shayari on this one since i don't want to kill the essence of the great work 😊
So i will respond back line by line the way you had written-
Yaad use karna padta hain jise hum bhoolte hain
Purana sacha sona hota hain shayad ye bhool gaye ap
Doobne ki baat mat karo - life jacket bahut saste hain aj kal😆
Safety manual padh kar pahenlo bar bar bachte rahonge- ( I know i am killing the essence per you get my point)
Hamare hote chup chap marna - possible hi nahin-
roolana pata nahin - hasa hasa kar zaroor marenge...😆
Badnam mein bhi naam hota hain -
Kitab jalana bura hota hain -
😊 😊 😊 😊 😊 😊- dekh isse jyada has nahi sakti hun...
and koi apse ruth kese sakta hain...
(These ones are for your lover- so i will quit responding on this one)
Aukad apki ap kya jano purvi baboo
Kamzor sa lamha nahi - you are the jaan (Not Riddhi's Jaan but poet jaan) of this thread...
SORRY - puri tarah waat laga di ap ki poem ki
per kya kare - can only tolerate so much rona dhona ...(My chemical locha)😆