This is Siddhi's answer to all questions around her silence
A lot of people have been after Siddhi, why is she quite etc etc (and named her names)..these are my views-
Siddhi, kal jo hua woh galat hua, saari galati meri hai.
Aapne kitni aasani se keh diya ki saari galati meri hai, jo hua woh galat hua
Magar aapke is ek wakya ne mere saare sapne tod diye, woh sapne jo maine bus abhi dekhe bhar the, jo abhi tak saakar bhi nahi hue the.
Abhi kal hi aapne kahan tha ki aap ko meri kami mehsoos hogi
aur aap ki zindagi mere bina adhoori hai
Aur aaj aap nazarein jhuka kar keh rahe hai ki mujhse alag ho jao
Agar mera dil todna hi tha to mujhse nazre milakar yahi baat kehte, main dekhna chahti thi us waqt aapki aankhon mein khushi thi ya dard
Kitni aasani se aapne keh diya ki alag ho jao
aapka yahi wakya mere man mein haazar baar ghoom raha tha
Magar kya kehne bhar se rishta toot jata hai
Sirf ek talak le lene se hamara rishta khatam?
Shayad aapke liye hoga, kyonki aapne to ise sirf ek samjhota samjha tha
Magar mere liye yeh ek samjhota nahi tha
Badi mushkil se mere dil ne fir se kisi ke liye dhadakna shuru kiya tha
aur aapne aaj fir isse tod diya
Aap to jaante hai na apne pyaar ko khone ka dard?
Anand ke jane ke baad to main jaise sirf naam ke liye jee rahe thi
Kabhi socha nahi tha ki yeh dil fir kisi ke liye dhadak payega
fir in aankhon mein kuch khwab honge
kisi pati patni ko muskurate dekhti to sochti, shayad yeh khushiyan ab mere naseeb mein nahi hai
kabhi khud ko kosti to kabhi bhagwan ko apni is badnaseebi ke liye
bhagwan par se to jaise vishwas hi uth gaya tha
beman se aapse shaadi ki
magar fir dheere dheere na jane kab in aankhon mein fir kuch naye sapne ubharne lage the
agar mera saath yu hi chod dena tha
to kyon mere aanson poche, inhe behne dete
kyon mujhe girne se bachaya
kyon meri takleefon mein mera saath diya
kyon mujhe fir se muskurane ki wajah di
Aapne yeh to dekha ki anand mera pyaar tha,
magar yeh nahi dekha ki har jagah meri aankhein sirf aapko hi talashti thi
aapki muskurahat meri aankhon mein jhalakti thi
aur aapka dard meri aankhon mein
main anand ko aapke andar nahi talash rahi thi
main apne us sapnon ke raajkumar ko aap mein talash rahi thi
aap mere har sapne se alag the, magar fir bhi aap mujhe ache lagne lage the
kaash aap meri aankhon ko pad pate, mere aanso dekh pate. Jab aap meri khaamoshi ya mera dard hi nahi samjh paye to in bematlab ke shabdon ka kya mol.
Jo insaan yeh nahi samjh sakta ki meri khushi uske saath mein hai
aur usse duri mere dard ki wajah
usse main shabdon mein apne man ki baat kaise kehti
jab aapne yeh maan hi liya hai main anand se pyar karti hoon, to fir aur kuch kehne ke liye baki hi kya hai
main chahti thi ki aap meri unkahi baaton ko samjhe