Here is Krish's praise of Bhabis, more about BhabiMa and less about Rishita š
Krish says, "arrey paison ki bhook tumhe itni badd gayi itni badd gayi tum ek chote se bacche ko chodne ki ready hogayi'
Shweta says, 'haan chod diya, kyunki mein naa paison ke liye mautaaj ho naa nahi chahthi hoon, aur khud ki aukat dekho iss ghar mei, aur jab tujhe paise chahiye hote, toh kya karte ho, Dhara Bhabi 10 rupaiyye dena, Dhara Bhabi 100 rupaiyye dena, mein nahi kar sakti ye sab kuch, aur kal ko mujhe tumse pase chahiye honge toh kya karoge, Dhara Bhabi ke paas jaaoge? usse maangoge mere liye paise, aur unke sau sawaalon ka kya Krish, sach toh ye hai ki iss ghar mei teri yehi aukat hai' š
Krish says ,'meri aukat ke baare mei bolne se pehle apni aukat chek kar lena Shweta, aur tumse kisne keh diya mere paas paise nahi hai issliye mein Dhara Bhabi se paise maangta hoon, tumhari jaankaari ke liye bata deta hoon ki PS mei jo bhi kamayi hoti hai naa hum chaaron bhayiyon mei batthi hai aur mein apni hisse ke paise ko Dhara Bhabi ko deta hoon kyunki mujhe bharosa hai unpe aur mujhe maangna accha lagta hai unse (YAA CHORI KARNA ACCHA LAGTA HAIš- Krish itna jhoot mat bol, kitni baar tu ne chori ki hai- kitchen ke dibbe se paise, BhabiMa ke bedroom ke drawer se paise, kaan ki baliyan, Suman Maa ki tijori, sab tu ne hi lut liš) Par tumhe apne baar mei kya khayal hai Shweta, hamare paas paise nahi te toh kabhi humne aish nahi ki, par tumhare paas toh paise te naa, toh kyun failayi tumne apni haath apne Maa-Baap ke aage, kyun?aukat ke mamle mei tum aur mein barabar hai Shweta bas farak itna hia ki aukat mei mein naa tumse toda sa better hoon, kyunki mehnat ki kamayi aur paison ki keemat mujhe pata hai'š¤£
"mehant ki kamayi aur paise ki keemat, Krish ko pata hai? Kabse?"š¤£
Shweta says, 'paison ki keemat kya hoti hai naa woh toh mein acche se samaj chukki hoon, tumhe zyaada proud feel karne ki zaroorat nahi hai, haan meine maangi hai mere parents se paise, failayi unke aage toh karti kya? aage se nahi failana chahthi thi, issiliye Chiku ki custody chahthi thi, apni azaadi aur paisa donon chahthi hoon, isske bina liefe kya hoti hai tu kya jaano"
Krish yells again, 'mujhe nahi jaan na, nahi jaan na hai mujhe, mere liye itna pata hona kaafi hai tu ek pathar dil Maa ho, arrey Rishita Bhabi bhi bade ghar se hi Shweta par unhone ghar ki haalathon mei khudko daala, ek time thi jab CHutki ko Bhabi ko bhi dene ki tayyar nahi thi aur tum paison ke liye CHiku ko chodne chali thi, paison ke aage tumne kabhi rishton ki keemat nahi samji Shweta, tu ne kabhi rishton ki keemat nahi samji'
Pehle haveli waali ladki, phir Kirti abb Shweta, gharwaalon ko bhi nahi bata sakta hoon, mujeh nalayak samjenge š¤£