I hope you update today only without delay😃🤭
Waiting
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 30 July 2025 EDT
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 31st July 2025 EDT
TRIALS OF BOND 30.7
Kyunki Saas bhi kabhi Bahu thi 2 : EDT # 1
Param Sundari song Pardesiya out now
Anupamaa 30 July 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Emotional support 😢 animal 😍😍🥰🥰🥰 silly boy ☺️☺️☺️
🤱Surrogacy: Womb For Hire ! Is It A Blessing Or A Curse For Women?👶
Paravarish
After so long we see Katrina with Vicky
S2 not making sense ?
MERI MUMMA GEETU 31.7
Sitaare Zameen Par Straight to YouTube
Chhaava continues to remain the biggest HIT of 2025
Anupama back to Shah house , at Baa's feet !
War 2 Run Time 3h 5m
Who did it better?
Anupamaa 31 July 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
National Awards For Vikrant Massey Rani Mukerji
21 years of Mujhse Shaadi Karogi
I hope you update today only without delay😃🤭
Waiting
Last Part
"Agar sab cheezon pe haq jatana zaroori hai, Mujh pe kyun nahi haq jataya?" Raavi accused harshly
Shiva looked away at the question as he was too ashamed of his actions. He knew whatever he did was not justified in the name of insecurities. However he felt for Raavi was his problem, and if he had confessed to her at that time, he would have regretted it. He always believed that any relationship is based on a smooth foundation of liking each other. He had shredded the barriers of his heart and had started to accept his feelings for her, but in the back of his mind he also knew confessing to her might not have been an easy task for him, he would have made efforts to actually voice out his feelings, but he was fine with it. He was trying to accept the feelings, but the diary was an eye-opener. To not be the first choice for someone who you had started liking, hurt bad, real bad.
Even though he knew he was wrong and apologizing was not worth the effort, but he had to try.
"Haq uspe jataya jaata hai jise aap apna mano. Maine humesha tujhe gairon ki tarah treat kiya hai. Ho sake to please mujhe maaf karde. Iss Gawar ko to ye bhi nahi pata ki apni Biwi ke saath kaise pesh aana chahiye. Dhara Bhabhi aur Gaumbi ke beech ka rishta bahut hi sundar aur khubsurat hai. Jiss tarah woh Dhara Bhabhi ko dekhte hain, pyaar se, Main tujhe dekh hi nahi paya. Mujhe to bass ek dhunn si lag gayi thi ki tujhe har haal mein teri khushi milni chahiye jo pehle tujhse Dev ne cheeni, aur fir maine cheeni. Isiliye pagal ho gaya tha main yeh sochke ki tu agar khush reh sakti hai to sirf mujhse alag hoke. Meri harakaton ke saath tu kyun apne aap ko adjust karti, isilye teri takleefein kam karne ke liye main tujhe jaane ke liye bol raha tha."
"Par tune yeh nahi socha ki teri iss bhalai se mera bhala ho bhi raha hai ki nahi. Haina?" She cut him in between in her emotionless voice. He just stared at her hesitantly, nodding as she asked her question.
"Shiva, har rishte ki apni pehchaan hoti hai. Koi 2 log same nahi hote. Unke beech ki nafrat, pyaar iss cheez pe depend karti hai ki woh apne partner ke liye kya feel karta hai. Jab meri shaadi tujhse hui to mein ek dum tutt chuki thi, par tera saath paake main apne tutte hue dil ko samet ke use jod hi rahi thi ki tune apne baaton ka hathoda liya aur itne jorr se vaar kiya ki pehle se bhi jyaada chot mere dil ko lagi. Tu sirf apne point of view se cheezon ko dekh raha tha, Main yeh nahi key rahi hun ki tu sahi hai, par galat bhi nahi tha. Tune jo kiya, tujhe laga woh sahi hai. Tujhse galti yeh hui ki tune mujhse baat karni chahiye thi. Kya likha tha use diary mein jo tujhe pata nahi tha? Kya tujhe ye pata hai ki tere diary padhne ke baad maine use diary ka kya kiya?", she asked as she turned to look at him in the eye. Unable to bear the intensity of her gaze, he averted his eyes and looked down guiltily.
"Jala di maine uss diary ko. Main koi bhi nishaani nahi chahti jisse meri shaadi shuda zindagi mein problems aayen. Aur woh diary mein tere naam ko jalta dekh mera dil machal gaya, mujhe aisa mehsoos hua jaise nere ateet ke saath mera aaj bhi jal raha hai, to maine turant tere naam ka paper ko bacha liya, aur mujhe uss sukun mehsoos hua, mano jaise maine humara rishta bacha liya ho. Woh feeling ko mein bata nahi sakti, tab mujhe kaise lag raha tha. Fir dheere dheere mujhe teri aadat lagna accha lagne laga. Aur tu itna mahaan kyun banna chahta tha? Tujhse durr jaane ke baare mein to mere dil mein khayaal bhi nahi aaya. Bass yahi bolta raha ki mujhe tujh jaise tel masale wale se shaadi nahi karna chahiye tha, kya tune kabhi mujhse ye puch ki ab mujhe teri tel masale ki khusbhu se problem hai ya nahi. Pehle thi, ab mujhe aadat ho gay hai. Aur Shiva aadat easily lag to jaati hai, par use chutne mein bhi waqt lag jaata hai. Par kuch aadetein dil ke itne kareeb hoti hai ki unhe mitaya hi nahi jaa sakta. Agar mujhe tere saath inn sab cheezon ke aadat lagane mein koi problem nahi thi to tu kyun ratt lagake baitha tha ki main tujhse durr chali jaun? Kaunsa rishta aisa hai jise milke suljhaya nahi jaa sakta? Kya hum dono efforts daal ke ek normal husband wife ki tarah apni zindagi nahi sawar sakte?"
Both stayed silent for a while. Shiva got up and left from there. Raavi looked heartbroken as she stared at his retreating back with tears surfacing her eyes. He really didn't care for her.
She laid her head down on her knees as fresh tears flowed down her cheeks. Even after all this, he doesn't care for her and the thought made her heart bleed.
The Man whom she had started to like, for whom she had realized that she had fallen hard for, for whom she had committed with her soul didn't even care for her feelings. She sniffed some more, but suddenly someone sat beside her and pulled her injured hand in their hold.
Raavi was shocked to find Shiva removing the handkerchief from her hand and applying an ointment over her cut. She winced as the cool ointment made contact with her skin, but her mouth dropped in aww as she felt him blow some air over her cut and apply the ointment more cautiously. To have Shiva nursing her wounds like that was really surprising for Raavi, as she kept staring at him. He, while adoring the most adorable expression, started wrapping a bandage around her cut with utmost concentration.
(Please play Agar Tum mil jao playing in the background for the feel of the situation. The song is playing for them as the radio in the tea stall is still on
)
She felt her heart skip a beat the moment she realized that yet again when she had assumed she had left her, he had come back for her and proved her wrong.
This situation made her realize one major thing.
Somewhere, in his heart, he did care for her, did have feelings for her. Sure he manhandled her, but he always stood in front of her worst fears and protected her with all his will. Be it her attempting suicide and he saved her, and also while they were kidnapped, he had come to save her. Her strolling through the night and him saving her from the goons. His saving her from falling down the roof. And the khandar incident was the most major incident which proved how much Shiva cared for Raavi and always made sure that she was alright. The way he cried for her to be alive was enough to prove to her that he did feel something for her. All the events played like a slideshow, only telling her how much Shiva cared for her.
But the main problem was, his insecurities, which increased day-by-day due to some stupid incidents that occurred, and that could have been avoided, had she taken a stand for him when her friend insulted him, all the things that she said to Sneha, she should have made sure that Shiva listened to every single word she uttered from her heart. Because even though the mind lies, the heart can't lie. What good would it do if she lied to the person who now owned her heart?
So the moment she lost his contact on her skin, she scooped the ointment from his hand and in turn leaned closer to inspect the blow that he had received on his head.
Shiva winced as Raavi had accidentally detected the exact spot where he was hit. Quickly she got to work as she wiped the dried blood from the blow with her dupatta and applied the ointment over it. As the bandage was now wrapped over her hand, she tore a piece of cloth from her dupatta and wrapped it around his head, making sure it was not tied too tightly.
All the while, Shiva gazed at her with an emotion he was not sure he was allowed to feel. Did he feel love in her actions? Did he hear the willingness to be his in her voice? Did he hear the craving with which she wanted to mend their ways and start a fresh start? Did he really hear all of that from his very own ears?
As she finished wrapping the dupatta, her hands slipped down and were about to fall by her side, but Shiva grabbed them and pulled her slightly closer to her.
"Kya tu sach mein humare rishte ko sawarna chahti hai? Kya tu mujhse durr jana nahi chahti?", the tone of his voice explained his insecurities and Raavi felt bad. To her, it felt like even a single nod in negation will hurt him and crush his heart into pieces, and it was high time she accepted her feelings for him.
So she removed one hand from his hold and cupped his face, lightly caressing his cheek affectionately. "Kya tu iss rishte ko sawarna nahi chahta? Agar mein tujhe divorce deke durr chali gayi to tu bardasht kar payega?", she inquired, curious to know about his thoughts.
"Nahi, kabhi bhi nahi. Tu meri zaroorat banti jaa rahi hai Raavi. Mein tujhse durr hota hun na, phir bhi tera chehra meri aankhon ke saamne jhulta rehta hai. Maine bahut try kiya ki mein apni khushiyon ke upar teri khushi rakhun aur tujhe apna junglipan dikhake apne aap se durr kar dun, par maine uss chakkar mein tujhe hurt kiya hai, bahut hurt kiya hai. Itna hurt karne ke baad bhi tune aaj meri jaan bachayi. Itna adjust karne ke liye taiyaar aur main bewakoof tujhse ye bolta raha ki main tere liye kabhi adjust nahi karunga. Tu bolegi na to mein apne shareer mein tel masale ki badbu ko aane hi nahi dunga aur apni mehek ko itna accha bana lunga ki tujhe adjust bhi nahi karna padega. Mein itna perfect husband banke dikhaunga tere liye ki tujhe ek minute ke liye bhi nahi lagega ki mujhse shaadi karke tune bahut badi galti ki. Mujhe ek mauka dede bass, please sirf mauka. Mein tere layak banke dikhaunga. Aur meri saari badtameeziyon ke liye mujhe maad kar de Raavi, please Raavi. Mujhe chodke mat jaa... Please..", a heartbroken sob escaped his lips as he clutched her hand over his cheek in his own and felt some tears leak through his eyes.
Raavi couldn't bear the sight of a heartbroken Shiva and she pulled his head against her chest and hugged him tightly. Shiva's sobs raked through his body and vibrated through her own as she patted his back slowly.
"Main kahin nahi jaa rahi hun Shiva, Tujhe chod ke bhala mein kahaan jaungi? Bata mujhe?", she tried to pacify him, but he pushed his face deeper into her chest and cried brutally.
Tumhe Hum Apne Jism-Jaan Mein Kuch Aise Basa Lenge...
Teri Khusboo Apni Jism Ki Khusboo Bana Lenge
Khuda Se Bhi Na JoToote...
Wo Rishta Jod Lenge Hum
(The most beautiful lines of the song, and they fit perfectly for Shivi)
Some tears of her own dribbled down her cheeks as she pressed his mane into her chest, trying to let him know that she was not going anywhere.
"Aur chod ke jaana hota to tujhe yahan uss chaku se nahi bachati. Tu mujhe ek baat bata, yeh kisne keh diya ki tu mere layak nahi hai? Tu to mere layak bahut pehle se raha hai, Maine hi samajhne mein der kardi. Par main nahi janti ki mein tere layak hun ya nahi, Kyunki har pal maine bhi tera dil dukhaya hai, apni jhuti shaan mein."
"Nahi Raavi, tune mera dil nahi dukhaya hai, wo to maine hi.." but she cut him between.
"Nahi Shiva, maine bhi tera dil dukhaya hai, mujhe aisa karne ka koi haqq nahi tha. Mujhe koi haqq nahi that ki Dev ki gussa mein tujhpe nikalun, ek aisa insaan pe jisne uss waqt mera haath thaama jab mein khud zindagi se haath chudana chahti thi. Tune mujhe kitni baar pareshaaniyon se bachaya hai. Aur tere tel masale se mujhe adjust karne ki zaroorat nahi hai kyunki woh teri mehek hain, teri pehchaan hai, aur mujhe koi farak nahi padega ki jo tel masale ki mehek tujhse aati hai agar woh mujhse bhi aaye to."
Shiva moved back, confused at her words. "Tujhse tel masale ki mehek kyun aayegi?". He looked too innocent that she had become a goner for his charm now.
"Agar tujhse liptungi to mujhse bhi to woh mehek aayegi hi na?", she smiled cheekily.
But Shiva looked down, staring at his hands, and Raavi knew he was still feeling guilty. So she leaned again, wrapping her arms around his back and pressing her neck against his neck, and inhaling his fragrance.
"Shiva, ye mehek mehnat ki mehek hai. Mein iss nafrat ki aadat kaise na dalun? Yeh pasina, yeh tel masale ki mehek jo tere shareer see aati hai yeh batati hai ki tu kitna mehnati hai. Tu humesha dusron ki takleef ke baare mein sochta hai. Tu swarthi nahi hai, tu sirf ye nahi jaanta ki kab tujhe dusron ke baare mein sochna chahiye aur kab tujhe khud ke baare mein sochna chahiye. Dusron ki khusiyan mayne rakhti hai tere liye, Khud ki khushiyon ka kya? Kya tu puri zindagi dusron ki khusyon ke liye kurban kar dega? Aur kya ye meri khushiyon ki ratt lagayi thi tune, Meri khushiyon ki kya sirf tujhe hi padi thi? Tune itna force kiya na mujhe jaane ke liye ki mein sach mein maanne lag gayi thi ki tu sahi bol raha hai. Ki mera chale jaana hi sahi rahega humare liye. Par tu yeh kaise bhul gaya ki agar hum dono ek dusre ke laayak nahi hote to Somnathji humein iss shaadi ke pavitra bandhan mein baandhte hi kyun? Hum ek dusre ko jhuta sabit kar sakte hain Shiva, par Somnath ji aisa paap nahi kar sakte. Unhone se shruwat se hi tujhe mere liye likha tha, Aur accha hi hua ki meri shaadi Dev se nahi hui. Jab tere jaise saaf dil ka ladka meri kismat mein tha to mein pagal thodi hun jo kisi aur ke liye baithi rahungi."
Shiva finally looked down as he felt her eyes on him. He managed a slight smile as she smiled brightly at him and nuzzled his neck. She placed a kiss on his adam's apple, making him gulp audibly.
"Raavi, tu pakka sach bol rahi hai na? Kya hum sach mein Somnath ji ki wajah se ek dusre ke saath bandhe hue hain?"
Raavi smiled at the curiosity with which he asked. "Aur nahi to kya, Somnath ji ko pata tha ki ek Shiva Pandya hi hai jo Raavi ko sambhal sakta hai, uske jhalli jaise swabhav ko sambhal sakta hai, aur use beinteha pyaar de sakta hai."
"Aur unko yeh bhi pata tha ki mujh jaise junglee bandar ko tujh jaisi chipkali hi sambhal sakti hai. Raavi, sach bolun to maine kabhi nahi socha tha ki tujh jaise pyaari aur sweet ladki meri zindagi mein aayegi. Mujhe humesha se aisi Biwi chahiye thi jo meri maa aur Dhara Bhabhi ki tarah ghar ka khyaal rakhe aur mujhse pyaar na kare to bhi chalega, bass hum sab bhaiyon ko ek dhaage se jaise Dhara Bhabhi ne baandh ke rakha hai, waise hi woh bhi rakhe. Kyunki maine dekha hai, aaj kal ki ladkiyan alag rehne mein believe karti hain, unko saas aur family nahi sirf pati chahiye hota hai. Par jab..."
"Par jab teri shaadi mujhse hui to kya hua? Tune kya socha mere baare mein??"
"Tab maine socha ki kis musibat ko apne gale bandh liya maine." This earned him a smack on his chest to which he just chuckled and continued. "Tab mujhe aisa laga ki shayad tu itni bhi buri nahi hai. Mein to sich bhi nahi sakta ki agar tu meri Biwi nahi balki meri Bhabhi banke aati to mera kya hota? Mere iss dil mein tune jo jagah bana li hai, kya koi bana paata? Reception wale din bhi mein tujhe dekhke dang reh gaya tha. Mera dil bahut zor zor se dhadakne lag gaya tha, par mein apni Biwi ki khusburti pe use compliment bhi nahi nahi kar paya. Itna bada fattu hun mein. Kitni baar koshish ki yeh samjhne ki, ki main tere liye alag kyun feel karta hun, par mujhe jawaab hi nahi mile raha tha mujhe. Fir jab teri diary padhi, to mere dil mein daraar se pad gayi. Mein kuch palon ke loye bilkul bhul gaya tha ki ab tu meri Biwi hai, Dev ki deewani nahi, par mere dimaag ne mere dil ki awaaz daba di. Mein bahi hi bada gadha hun jo maine mere saamne rakhi hui khushiyon ko laath marke durr karne ki koshish ki. Mere itna sab karne ke baad bhi tune meri jaan bachayi aur khud ko chot pahuncha li.
"Tune bhi to mujhe bachaya hai na, woh bhi kitni baar!!"
"Haan, Jitna bhi pareshaan karna tha, tujhe durr bhejne ke try koya kar liya. Par ab aur nahi. Agar tu mujhe ek aur mauka de na, to mein tujhe yeh prove kar dunga ki Shiva Pandya har mayne mein tera pati banne ke layak hai. To bol, mujhe ek aur mauka degi?"
Raavi's heart skipped beats while she listened to him, but his last words made her clench her fists and she just wanted to slam her head against the wall.
This fool!! After all this drama, he is still asking her for a chance?
She angrily clutched his shirt and pulled him lean down, such that they were inches apart.
"Tujhe jawaab chahiye, yeh hai mera jawaab..", She pushed his mane downwards and placed her lips over his. The kiss which was ruined few days back had to be corrected, and what better occasion than to claim his delicious lips.
Shiva quickly recovered from his shock as he pulled her more closer and responded to the kiss. His first kiss was ruined because of his foolishness, he wasn't going to repeat his mistake again...
Agar Tum Mil Jao
Zamana Chod Denge Hum
"I hope tujhe tera jawaab mil gaya", She mumbled as she tried to catch her breath after witnessing a mindblowing kiss with her husband, the love of her life.
"Abhi nahi mila, theek se," he scooped down and resumed their kiss, kissing her with a passion which he had never felt before. She smile in between the kiss as she happily encircled his neck and resonded qith equal intensity...
From afar, Dhara and Gaumbi looked happy, their plan finally working...
They were the ones who had paid the goons and had them bailed thereafter.
"I hope ab yeh log kabhi ek dusre se durr jaane je baare mein kabhi nahi sochenge." Dhara hoped as she wrapped her arms around Gaumbi, and he just chuckled looking at Shivi.
"Somnath ji pe bharosa rakh Dhara, ab sab theek ho jayega." Pecking her temple as they decided to give Shivi privacy in the deserted night and walked back to the house, hoping for Shivi to start a new journey, together.
The end.
I hope you liked this part
Kudos to people who guessed it right that it was indeed Raavi who had uttered the dialogue on the last update👏
I know last one was a bot boring, but I guess this update was like a compensation
With the kind of scenes coming in the show, I don't know what to expect from Shivi, but I just hope they resolve their differences soon
Do comment your thoughts
Hello, I loved, loved, loved the fact that you had Raavi apologize to Shiva too!!! And Gaura, who would have thought? I really wish that Dhara confesses to how worried Raavi had been about Shiva reading her diary, that he would misunderstand her, and how Dhara shut her down on the show.... And then I tell myself, zero expectations!!!
It was a wonderful TS overall... Hope you update your other works too...
Awesome 😍😍😍 loved it 😍
Bro😍😍😍
It was amazing😳 i loved it
Dhara and Gaumbi are the planners here🤭
Good.
Beautiful ending to this story🤗
Write more when you feel like😊
That was beautiful!!❤️❤️ Loved how they talked it out! Pata nahi when we will see something like this in the show.
And GauRa had a hand in here too! Why do I have a feeling that this part of your OS will come true and PS spies will be inspired to mention this to the writers!
Beautiful ending to a beautiful story❤️
Loved this story very much. ❤️
The dialogues in the last chapter were outstanding and so much of Shivi. ❤️
I AM HERE DARLINGGGGGGGGGGG. LOVED THIS SO SO MUCHHHHH🤗🤗❤️❤️