YKS#12 Sajal&Ahad AT !! 'Vote for Asfi and Zobia'124p - Page 73

Created

Last reply

Replies

1k

Views

92.7k

Users

67

Likes

1.9k

Frequent Posters

Jiyagulabi_26 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 2
Posted: 7 years ago

Posted: 7 years ago
wow we are already getting sigs
x.titli.x thumbnail
Posted: 7 years ago
It's wednesday YKS day 😳
new deleted scene

Episode number : 23
yeh scene tab ka hai jab dr shehroz aur Asifa ne apne ghar dr asfand yaar, dr Zobia aur deegar doctors ko Dinner ke liye invite kiya tha .
scene : 15 - maqam : dr shehroz ka ghar / Lounge
waqt : gehri shaam - kirdaar : dr Asfand Yar . dr shehroz. dr Haroon . pathan mulazim .
dr shehroz ghar par shalwar kameez mein malboos hain. oopar garam shaal le rakhi hai. is waqt Haroon dr shehroz ke sath un ke ghar ke Lounge mein betha hai. samnay chaye ke cup bhi rakhay hain. Ussi waqt un ke pathan mulazim larke ke sath asfand yaar daakhil hota hai woh jaisay seedha hospital se aa raha hai. issi liye hospital walay hi andaaz ke pent shirt mein malboos hai. dr shehroz, asfand yaar ki taraf dekh kar garam joshi se muskuratay hain aur khair muqaddam karte hain. . asfand unhen batata hai ke dr Asifa ke phone kar ke aaj ka khana un ke sath khanay ka kehnay par woh hospital se seedha yahan aa gaya aur poochta hai yeh programme achanak kaisay bana ?
jis par dr shehroz batatay hain ke kaafi din ho gaye they sab mil kar nahi baithy they' roz Hospital mein mlitay hain magar ziyada baatein patients ki hoti hain .
yeh baatein sun kar asfand yaar Zobia ki kami mehsoos karta hai aur sochta hai ke woh yahan kyun nahi hai. jab baqi sab invited hain to usay bhi aana chahiye .
asfand yaar laa shaori tor par idhar idhar nazrain dorata hai. asfand yaar ki yeh harkat dr shehroz notice kar letay hain. woh zaheen aur jahandidah aadmi hain. unhon ne asfand yaar ki be cheeni note kar li. asfand yaar ne ba'zahir bohat sarsri lehjey mein'' baqi sab log kahan hain ?'' poocha .
jis par dr shehroz ne bataya ke dr zaiba aur dr Shahab to duty par hain' un ke liye khana Asifa Hospital bhijwa dain gi' asfand khud hospital se aa raha hai to aur phir woh kis ka pooch raha hai ?. un ki gehri maienay khaiz nazrain asfand par hoti hain. woh asfand ke mizaaj ko bohat achi terhan samajte hain. . unhen kahin na kahin shak aur ehsas ho jata hai ke asfand yaar Zobia mein dilchaspi lainay laga hai. issi liye unhon ne khaas tor par bohat jatatey huye lehjey mein asfand yaar se direct poocha. un ke iss terhan direct poochnay par asfand yaar jaissa confident bandah bhi lamha bhar ke liye chakra ke reh gaya ke kya jawab day. .
asfand ki aik lamhay ki khamoshi aur hichkichahat ka faida utha kar uss ki confusion ka maza letay huye dr shehroz ne ba'zahir sanjeedgi se kaha .
'' Mera khayaal hai tum dr Zobia ka pooch rahay ho.''
phir asfand ke jawab ka intezaar kiye bana mazeed bolay ke Zobia shaam se hi Asifa ki madad karanay ke liye yahan aa gayi thi. abhi bhi donon khawateen kichen mein ghusi sab ke liye shandaar ziyafat ka ehtemaam karne mein masroof hain .
iss baat par asfand yaar ki nazrain ghair iraadi aur la shaori tor par kichen ki taraf uthti hain. dr shehroz,asfand yaar ki chori pakar letay hain aur un ke labon par aik madham aur Mahzooz si muskurahat aati hai .
Phir Doctor shehroz,dr Haroon se shatranj ke khail ke baad bait baazi karne ke hawalay se baat karte hain .

intercut

Episode number : 22
scene : 16 - maqam : dr shehroz house / kichen
waqt : same - kirdaar : dr Asifa . Zobia . asfand yaar. dr shehroz .

dr Asifa , Zobia se madad layte kichen mein dinner ki ikhtitami tayarion mein masroof hain. kichen mein hoa phailawa aur kichen table par ready kar ke rakhi jati dishes aik shandaar dinner ka pata day rahi hain. kichen table par kheer' salad' aur kuch doosri dishes tayyar kar ke rakhi ja chuki hain. Zobia cooking range ke samnay khari chapli kabaab tall rahi hai. dr Asifa board par rakh kar gaajar' shimla mirch waghera kaatetay kaatetay Zobia se boli hain .
dr Asifa : "lao Zobia yeh chapli kabaab mein talon. . tum kab se lagi hui ho ."
Zobia un ke sath kichen mein be takalufi se kaam karwa rahi hai woh be takalufi se hi bol rahi hai .

Zobia : "main kar loon gi dr Asifa . . aap meri salahiyaton par shuba na karen. . aik achi dr honay ke sath sath main aik behtareen cook bhi hon. mere pakaye khaano ki door door tak dhoom hai. . jo khaye unglian chat'ta reh jata hai. . kayi kayi dinon tak hathon se mere pakaye khaanon ki khusbhoo nahi. ."

kichen ke darwazay par asfand yaar aaya hai uss ne Zobia ki taraf ba'ghor gehri nazron se dekha hai. Zobia ke be takallufi bharay shokh jumlay sun kar uss ke honton par gehri muskurahat aa gayi hai. Zobia ki baton par muskarati dr Asifa ussi waqt kisi daigchi mein paktey koftay ya nehari mein chamach chalanay muri hain to unhon ne asfand yaar ko darwazay par kharray dekha hai. .
dr Asifa : "tum aa gaye asfand ?"
asfand yaar ka naam suntay hi Zobia ne bhi foran gardan ghuma kar usay dekha hai. aur uss ka jumla adhoora reh gaya hai. dr Asifa , asfand yaar se bohat garam joshi aur mohabbat se boli hain. .
dr Asifa : "main abhi tumhara hi soch rahi thi ke tum kahan reh gaye ?"
jawaban Asfand yaar muskura kar barjasta bola hai .
asfand yaar : "aur main yeh soch raha tha ke mujhe bulaa kar aap kahan reh gayeen ?"
Zobia usay dekhte hi zara conscious si ho gayi hai. uss ka kuch lamhay pehlay ka la'parwai bhara aur be fikar andaaz bohat mohtaat andaaz mein badal gaya hai. woh Asifa se apni be takallufana baton par embarrassho rahi hai kyunkay usay lag raha hai asfand yaar ne andar atay huye uss ki baatein sun li hain. .
dr Asifa asfand yaar ki baat ke jawab mein kichen mein phailay dawati ehtimaam ki taraf ishara kar ke boli hain .
dr Asifa : "bas yeh dinner ki tayari. . betho. . kya lau ge? main ne aanar ka fresh juice nikala hoa hai, lau ge?" ( khush ikhlaqi aur mehman nawazi bhara andaaz )
asfand yaar un ke kichen mein andar aa gaya hai. woh be takalufi se bola hai. woh bahar Haroon ke samnay dr shehroz se pur takalluf andaaz mein bol raha tha magar yahan Zobia ke samnay woh be fikri bharay aur be takallufana andaaz mein hai .
asfand yaar : "aap mujhe yeh bitayen kya kaam reh gaya hai layein mein help kraon. ."
dr Asifa : "arrey nahi tum betho. . sab ho jaye ga. ."
asfand yaar khud daal fridge khol kar uss mein se aanar ke juice ka jug nikaal raha hai. uss ki nazrain ghoom phir kar baar baar Zobia par ja rahi hain. woh jaisay ussi ki wajah se yahan kichen mein aa gaya hai. asfand yaar jo glass haath mein liye juice ki sip laita cooking range ke paas aa gaya hai jahan aik choolhey par rakhay barray se pain ya taway par Zobia chapli kabaab tall rahi hai. asfand yaar ke aik haath mein jo glass hai woh juice ki sips laita mukhtalif pateelon ke dhakkan hata hata kar khaanon ka jaiza lainay laga hai .
asfand yaar : "kya kya bana liya aap ne main zara daikhon to. ."
Zobia usay iss be takalluf aur gharelo andaaz mein dekh kar khasi heran ho rahi hai. aur uss ki mojoodgi ki wajah se zara nervous bhi ho rahi hai. aik pateeli mein jhaank kar woh khush ho ke zor se bola hai .
asfand yaar : "arrey wah nargisi koftay bhi hain maza aa gaya. ."
ab asfand yaar direct Zobia se mukhatib hoa hai .
asfand yaar : "aur aap kya bana rahi hain ?"
Zobia uss se gharelo mahol mein khanay pakanay ki baatein karte hichkicha rahi hai woh zara sambhal kar mohtaat andaaz mein hi boli hai .
Zobia : "chapli kabaab. . dr Asifa ne banaye hain. . main sirf tall rahi hon." ( Zobia ka mohtaat, dheema aur sanjeeda andaaz )
asfand yaar ne juice ki sip letay letay plate mein rakhay taley hue chapli kababon ki taraf dekha hai. woh fork utha kar aik tala hoa chapli kabaab jaisay taste karnay laga hai, munh mein kabaab ka zayeqa mehsoos karne ke baad woh chat'khara le kar be takallufi se bola hai .
asafnd yaar : "bohat mazay ka hai." ( woh Zobia se bola hai. )
ussi waqt dr shehroz kichen mein aeye hain. woh jaisay Asfand Yar ko hi dekhnay yahan aeye hain .
dr shehroz : "lain jee aap yahan aa gaye. ."
asfand yaar ne kabaab khatay khatay dr shehroz ki taraf dekha hai. dr Asifa iss dauraan khanay pakanay mein masroof hain woh yahan hoti baton par muskura rahi hain .
asfand yaar : "ab aap mehman ko bitha kar khud chess khailnay lag jayen ge to mehman bechara bore ho ke kahin to jaye ga. ."

Asfand Yar jawabun juice ki sip laita mazay se bola hai. dr shehroz ne Zobia ke bilkul barabar kharray asfand yaar ko ba'ghor dekha hai. woh asfand yaar se maienay khaiz aur shokh andaaz hi mein bolay hain .
dr shehroz : "waisay iss maheman ke baray mein mera andaza iss waqt yahi tha ke yeh kichen hi mein aaya ho ga ."
asfand yaar un ke lehjey ki maienay khaizi jaan boojh kar nazar andaaz kar ke Zobia ke barabar se hatt gaya hai. Zobia aur dr Asifa jo donon dinner ki tayarion mein ziyada masroof hain un donon ko kuch pallay nahi para. . asfand yaar baghair nervous huye dr shehroz se bola hai .
asfand yaar : "main dr Asifa se haaye hello karne aa gaya tha. . chalein. . chal ke baithtay hain ."
asfand yaar sanjeeda aur sober sa andaaz apanata jaisay apne kichen mein anay ki reason bta raha hai .
dr shehroz aik pal ke liye mabham sa muskuraye hain. jaisay sab samajh rahay hain. phir qasdan sanjeeda hotay huye uss se bolay hain .
dr shehroz : "chalo. . main aur dr Haroon bait baazi shuru karney lagey hain. bhoola bisra koi shair yaad aa jaye to tum bhi suna dena. ." ( kichen se bahar jatay huye dr shehroz asfand yaar se bolay hain )
Zobia aur dr Asifa kichen mein khana bananay mein masroof rahi hain .
intercut

scene : 17 - maqam : dr Shehroz House / Dining room
waqt : raat - kirdaar : dr Asfand Yar . dr shehroz. dr Haroon . dr Asifa . Zobia
sab khanay ki maiz par baithy hain. maiz par anwaa o Iqsam ke khanay sajay hain. Zobia ' asfand yaar ki mojoodgi ki wajah se zara par takalluf andaaz mein baithi hai. jab ke baqi sab be takallufi se kha pi rahay hain. khanay ke douran Haroon aur dr shehroz ki bait baazi jari hai. jahan Haroon phansnay lagta hai dr Asifa uss ki madad kar deti hai. Haroon apni plate mein kabaab daal raha hai .
Haroon : "dr Asifa jaldi madad karen. . tay- se shair banana hai. . dr asfand yaar aap kuch madad kijiyej. ."
asfand yaar salad khatay khatay sanjeedgi se bola hai .
asfand yaar : "mujhe to shair waghera ziyada yaad hi nahi rehtay dr Haroon . ."
Dr. Asifa jin ke munh mein khanay ka niwala hai woh niwala halaq se utaartay hi pur josh ho ke boli hain .
dr Asifa : "aa gaya. . yaad aa gaya. . tay se shair yaad aa gaya. ."
dr shehroz : "irshad. . irshad. . " ( muskura kar )
dr Asifa barri ley mein aur durust shair parhnay walay andaaz mein shair par rahi hain .
dr Asifa : "tum jano tum ko ghair se jo rasam o raah ho
mujh ko bhi poochtey raho to kya gunah ho "
asfand yaar ne be sakhta un ke shair ko saraha hai .
asfand yaar : "wah. . kya baat hai. ."
Zobia ke face par is shair o shairi aur mazedar se dostana mahol ko enjoy karne walay tasurat. . woh pur takalluf andaaz mein khana khati dheemi muskurahat chehray par liye baithi hai. Haroon ka chairr chhar karne wala be takallufana andaaz. .
Haroon : "ho. . yani. . ( wao ). .wao se shair sunaaiye dr shehroz. . waisay mujhe lagta hai aap ki patari mein se ab' ' wao' '' ' y' ' aur' ' alif' ' ke saaray shair khatam ho gaye hon ge ."
dr shehroz jawabun muskuraye hain .
dr shehroz : "aisi baat nahi hai janab. . abhi bohat zakheera hai. . aap khatir jama rakhiye. ."
yeh jumla boltay waqt dr shehroz ne aik nazar Zobia ke balon ki taraf dekha hai. uss ke lambay balon ki chouti agay pari hai' dr shehroz ne shair sunaate hue aik nazar asfand yaar ki aankhon mein maienay khaizi se muskura kar dekha hai .
dr shehroz :

"woh larki achi larki hai' tum naam na lo, hum jaan gaye
woh jis ke laambay gaisu hain' pehchan gaye' pehchan gaye. ."

phir aik mabham si muskurati nazar Zobia par daali hai. dr Asifa aur Haroon ko kuch samajh mein nahi aaya. . magar iss baar un ka maienay khaiz muskurahat ke sath zo maienay sa shair parhte asfand yaar aur Zobia ko dekhna Zobia ko samajh aa gaya hai. uss ki asfand yaar se nazrain mili hain. hospital ke mahol se bahar woh relaxed betha hai aur iss lamhay uss ki nazrain bhi Zobia hi par hain. un donon ki nazrain mili hain. dono ne aik dosray ki aankhon mein dekha hai. Zobia ko asfand yaar ki gehri aankhon mein apne liye chahat bhara jazba sa nazar aya hai. sirf aik lamhay ke liye bilkul achanak un donon ki nazrain mili theen aur iss lamhay ke liye woh donon tayyar nahi they. .
asfand yaar ne foran Zobia par se apni nazrain hataie hain. Zobia ne bhi bokhla kar uss par se nazrain hataie hain woh achi khasi nervous ho gayi hai. woh apni khanay ki plate par jhuk gayi hai. dr shehroz shair sunanay ke baad asfand yaar se shararti andaaz mein bolay hain .
dr shehroz : "kam az kam daad hi day do mere achay shair par mujhe. . itnay bad zouq na bano ."
Zobia ko jaisay ab dr shehroz ka maienay khaiz andaaz samajh mein aa raha hai issi liye woh khasi nervous ho gaye hai. woh nazrain apni khanay ki plate par markooz kar ke nervous si baithi hai. jab ke Haroon aur dr Asifa ab' ' yay' ' se shair sochnay lagey hain .
Haroon : "pehchan gaye. . yay. .' ' yay' ' se shair bitayen dr Asifa . ."
Asifa : sab shair main hi bataon. . kuch tum bhi soch lo Haroon . ."

Asfand yaar khamoshi se soft drink ki sip le raha hai phir woh composed aur pur aetemaad andaaz mein apni plate mein kuch daalnay laga hai woh Zobia ki terhan nervous nahi balkay pur aetemaad hai. na hi woh dr shehroz ki chairr chhar par bokhlaya hai. balkay woh un ki chairr chhar par itna indifferent aur sapaat sa chehra bana ke betha hai jaisay usay un ki koi baat samajh hi na aayi ho aur na hi iss terhan ki koi baat uss ke liye koi ehmiyat rakhti ho. dr shehroz, asfand yaar ke is chalaki dikhaane walay andaaz par mab'ham sa muskuraye hain .

cut

aglay scene mein dinner ke baad asfand yaar apne ghar wapis ja raha hota hai' dr shehroz usay bahar tak chorney atay hain. woh abhi tak shokh o shareer mood mein hain. jab ke asfand yaar normal aur sanjeeda andaaz mein hai .
dr shehroz : "lagta hai jis pahar ki chouti ko sar karne mein dr Urmila buri terhan nakaam ho gayi theen. . koi aur muqablay mein hissa liye baghair hi bolaa muqaabla jeet gaya hai." ( asfand yaar ne gaari ki chaabi nikaal kar gaari ka darwaaza khola. )
dr shehroz ke shokh lehjey' aankhon mein shararat aur zo maienay andaaz ki samajh asfand yaar ko aa rahi hai magar jaan boojh kar anjaan ban'nay ki adakari kar raha hai .
dr shehroz : "aur lagta to yeh bhi hai ke hamara medical camp kayi hawalon se kamyaab o yadgar ban gaya hai. paharon hi mein kuch naqabil rasai pahar iss mein sir ho gaye. ."
asfand yaar : "aap pata nahi kya bol rahay hain mujhe samajh mein nahi aa raha. . mushkil urdu waisay bhi mere sar par se
guzar jati hai. ." ( asfand yaar unhen jawab deta gaari mein betha. )
dr shehroz shararat se bolay hain .
dr shehroz : "ustaad se ustaadi. . ustaad se ustaadi dikhaane walay shagird palray jatay hain beta. . "( apni hi baat par woh khud qehqeha laga kar hanse hain. Asfandyaar ne anjaan ban'nay ke expressions chehray par liye hain. asfand yaar ne jaisay un ki tamam tar shokhi o shararat' chairr chhar ko jaan boojh ka ignore kiya aur khud ko sanjeeda aur la talluq zahir karta' ' khuda Hafiz ' ' karta wahan se chala gaya. jab keh dr shehroz ba'dastoor muskuratay huye asfand yaar ki gaari ko wahan se jata dekhtey rahay .

cut

Aglay haftay hoga dilchasp scene. . jo drama mein shaamil nahi tha .
jab Saim ( Geeti ke betay ) ko chout lagti hai aur asfand aur Zobia ghar atay hain .
Raat 8 bajey sirf Farhat Ishtiaq official page par. . .


JarenM thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Visit Streak 90 Thumbnail + 6
Posted: 7 years ago
Just imagine! Ye scenes hotay dramay main toh kya aag lagti screen pe! I want them to enact these scenes and release them on youtube. Ah the wishes of this poor heart!
Saniya56 thumbnail
Posted: 7 years ago

Originally posted by: Jaren93.

Just imagine! Ye scenes hotay dramay main toh kya aag lagti screen pe! I want them to enact these scenes and release them on youtube. Ah the wishes of this poor heart!

Yaaa...since I have read these scenes i am not able to do anything..i just want to see these on the screen but...😭
SS88 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 7 years ago
Tch tch . Novel main to Asfand bhi sher padhta ha, woh bhi Faiz ka, tabhi to Dr Shehroze ko shai milti hai.
Rang pairahan ka, khushbu zulf lehrane ka naam
Mausam-e-gul hai tumhare baam pe aane ka naam.

My God, I so wish they hadn't cut out the shaayari scene. The kitchen scene too. But mostly, it's the editing out of the shaayari which upset me.
SanFrangirl thumbnail
7th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 7 years ago

Originally posted by: Jaren93.

Just imagine! Ye scenes hotay dramay main toh kya aag lagti screen pe! I want them to enact these scenes and release them on youtube. Ah the wishes of this poor heart!


We got half the scene! Thank you director/editor/humtv! forever grateful
chik thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail + 2
Posted: 7 years ago
Wow.. not sure why they did not show this...I look forward to these scenes every Wednesday's now...
--HiNa-- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 4
Posted: 7 years ago
--HiNa-- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 4
Posted: 7 years ago
he got small and deep eyes
but in new interview he described his ideal girl that he love big eyes☢️
i wonder who got big eyes in the industry?

Related Topics

Pakistani Serials Thumbnail

Posted by: minakrish

5 months ago

Meem Se Mohabbat (HUM) #7 - Ahad Raza Mir, Dananeer Mobeen

Meem Se Mohabbat is a moving exploration of how love can bloom in the most unexpected circumstances. It revolves around a moving tale that...

Expand ▼
Pakistani Serials Thumbnail

Posted by: minakrish

5 months ago

Meem Se Mohabbat (HUM) #6 - Ahad Raza Mir, Dananeer Mobeen

Meem Se Mohabbat is a moving exploration of how love can bloom in the most unexpected circumstances. It revolves around a moving tale that...

Expand ▼
Pakistani Serials Thumbnail

Posted by: minakrish

5 months ago

Meem Se Mohabbat (HUM) #5 - Ahad&Dananeer | “Shaadi Mubarak Mrs.Talha”

Meem Se Mohabbat is a moving exploration of how love can bloom in the most unexpected circumstances. It revolves around a moving tale that...

Expand ▼
Pakistani Serials Thumbnail

Posted by: anikamathur

6 months ago

Meem Se Mohabbat (HUM) #4 - Ahad Raza Mir, Dananeer Mobeen Meem Se Mohabbat (HUM) #4 - Ahad Raza Mir, Dananeer Mobeen

"Meem Se Mohabbat" revolves around a moving tale that artfully intertwines coincidence and destiny, bringing together two souls who could not be...

Expand ▼
Pakistani Serials Thumbnail

Posted by: anikamathur

6 months ago

Meem Se Mohabbat (HUM) #3 - Ahad Raza Mir, Dananeer Mobeen Meem Se Mohabbat (HUM) #3 - Ahad Raza Mir, Dananeer Mobeen

" Meem Se Mohabbat " revolves around a moving tale that artfully intertwines coincidence and destiny, bringing together two souls who could not...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".