I wrote this update more than a month back, somewhere at the end of April, but it was completely done, so I am posting today.
Chapter 5
Nibir, RuRo, Alisha, Rishi everyone goes inside the house. It was a large spacious mansion that was elegantly decorated. The all sat on the sofa in the living room.
Alisha: bhaiyu bhabhi aap dono thak gaye honge mein paani le aati hoon aap ke liye.
Kabir: Alisha hum khud le lenge.
Alisha: nahi bhaiyu mein aati hoon.
Nisha: Ru Ro papa ask papa what he has got for you this time.Kabir mein bas change kar ke ai.
Kabir: okay, ajao mere prince and princess, papa tum dono ke liye itne sarre gifts le kar aye hai.
---------
Nisha sees her and Kabir's room decorated.
Nisha: Alisha I love you, jaisa mein ne instruction diye waisa hi room decorate kiya.
Nisha hears a knock on the door
?: bhabhi Alisha, bhaiyu ke birthday ka cake le kar ayi hoon.
Nisha opens the door.
Nisha: Kabir ne tumhe upar ate tho nahi dekha.
Alisha: nahi bhabhi, aap dono ke carbon copy ke saath busy hai. Ab mein chalti hoon.
Nisha: Alisha Kabir ko 15 mins ke baad upar bhaejna.
Alisha: okay bhabhi
Nisha hugging Alisha: thank you so much
Alisha: Kya bhabhi birthday sirf apke husband ka nahi mere bhai ka bhi hai, kya hua agar wo humare sage bhai nahi hai, real sister se zyada pyaar kiya hai unho ne mujhe.
Nisha: nahi Alisha agar tum aur Rishi yahan nahi hote toh mein aur Kabir ro aur ro ko kabhi yahan nahi rakh pata.
Alisha: uffo bhabhi aap itni emotional kyun ho rahi ho, app dekhlo agar apko room mein kuch aur add karna ho bhaiyu 15 minutes baad upar ayenge. Mein chali... have fun.
----------
Kabir: Alisha tu upar se kyun arahi hai
Alisha: kya bhai bhabhi upar hai toh unhe paani dene gayi thi. Aap lijye.
Kabir: nahi Alisha baad mein phele change kar lo.
Alisha: (monologue): Bhabhi ne toh 15 minutes mange. Kaisa roko idea.(to Kabir): kya bhaiyu ro, ru, Rishi ke liye gifts le aye aur mere liye kuch nahi, aise hi khete rehte ho aap ke mein apki ladli bhen hoon, bilkul pyaar nahi karte mujh se.
Kabir: Meri drama queen tum he kabhi bhol sakta hoon. Yeh tere liye.
Alisha: wo yeh salwar suit kitna pretty hai.
Kabir: ab mein jao.
Alisha: okay
----------
Kabir goes up and sees the door is slightly opened he goes inside and sees the room is decorated. Nisha comes from the back and hugs Kabir.
Nisha (whispering in his ear): happy birthday jaan
Kabir turns Nisha so that she face him.
Kabir: Toh Issiliye neeche wo sab chal raha tha.
Nisha: wo sab hum dono se bohot pyaar karte hai.
Kabir: I know.
Nisha: cake Kate
Kabir: cake Alisha ne bniya hai.
Nisha: kaise pata chala
Kabir: kyun ke is paar jo K likha hai wo phele B tha aur bhaiyu sirf Alisha aur Rishi like sakte hai aur Rishi ko cake banana nahi ata.
Nisha: Kabir kal ke liye saab kuch planned hai.
Kabir: haan I am sure ru and ro are going to love their birthday party.
Nisha: Kabir tum janta hai mein iss barre mein baath nahi kar rahi.
Kabir: janta hoon Nisha Lekin kaal ru aur ro ka bday hai, manna ke panch saal phele kal ke din hum ne sab kuch kho diya, ek dusre ka saath kho diya, jab mile phir se dur jana para, teri pregnancy ke time par tu puri tarhe akeli thi, tere pregnancy ke second month mein tujhe yahan Mumbai le aya jahan humein koi nahi jante aur kuch hafte baad akele chod ke chala gaya.(in tears) main bohot bura hoon.
Nisha: (wiping his tears) aisa kyun khe raha hai tu ne yeh sab sirf humara hone wale bache ko protect karne ke liye kiya. Aur mein akele nahi thi ru aur ro dono the mere andar aur phir tu ek mahine baad wapas aya aur hum Alisha aur Rishi se mile, phir tu ata jata raha aur agar tu pura waqt yahan rehta toh mom (Vasu) ko shaq ho jata.
Kabir: bhale hi panch saal phele kal ke din ko hum ne bohot kuch khoya Lekin chaar saal phele hum ne ru aur ro ko uss hi din ko paya tha jin din hum ne sab kuch khone ka silsila shuru kiya. Aur wo sab jo hum ne khoya wo phir se pane ka silsila kal hi se shuru hoga. Jiske bhi nazron mein Sumit ne mujhe giriya un sab ke nazron mein ab mein usse gir aunga. Bas usse barbad karne mein kissi aur ko takleef nahi dena chata.
Nisha: aur Kaun baki sab Kabir, wo log jin ho ne kabhi tum par bharosa nahi kiya, wo log jo humara saath chord ke chale gaye, wo log jiss ne tujh par mujhe marne ka ilzaam lagaya. Wo log jin ho ne tujhe chor banaya, wo log jinho ne humein alag kiya.
Kabir: Wo saab Sumit aur uski maa ka kiya kriya tha baki sab bhi humari tarhe halat ke shikar the.
Nisha: wo sab bache nahi hai ke jo kissi ne bhi kaha wo maan liya, jab tu chilla chilla ke kaha ke tu ne kuch nahi kiya kyun bharosa nahi kiya, bol tu.
Kabir: mein ne unhe family maina tha Nisha unhe takleef nahi de sakta. Haan shayad yeh rishite phele ki tarhe kabhi na ho, but hum try toh kar sakte hai.
Nisha: mujhe se wada kar plan khatam hote hi hum dubai chale jayenge.
---------
Nisha and Kabir come down and see a cake on the table with "happy birthday papa and bhai written on it"
Kabir: phir se cake
Rishi: humein bhi apne bhai aur in dono ko apne papa bday manana hai.
Ru and Ro: happy bday papa (kissing Kabir cheek)
Ruhanika: papa yeh house mein itna white se decorate kyun kiya.
Kabir: kal party hai iss liye.
Ruhaan: kaisi party papa.
Kabir: wo kal pata chale ga waise bhi kaal tum dono ka birthday hai toh iss party ke bare mein nahi uss party ke bare mein socho. Aur papa, mama ko apne gifts ki list le ao.
Nisha: Kabir tujh se baat karni hai.
Kabir: Tum dono list banao. Papa is coming.
Nisha: kya kar raha tu Kabir, kyun bigar raha hai unhe Kabir already itne sare gifts le kar aya tu un ke liye.
Kabir: Nisha kal unka bday hai.
Nisha: toh hum celebrate karenge, Lekin iss tarhe unhe har cheez dena yeh sahi nahi Kabir, aise har baar unki zid puri karna.
Kabir: Nisha chill kar chaar saal ke bache hai chand tare nahi mange ge.
Ruhanika: Papa
Kabir: Lao apne aur apne bhai ki list.
Ruhanika: sirf ek hai
Kabir: sirf ek, dikhao
Ruhanika: mein ro ke saath khelne ke liye jao.
Kabir: haan princess
Kabir sees the paper and crumples it throwing it on the floor.
Nisha picks up the paper and reads it.
Nisha (reading): mama papa ke saath bohot sara time spent karna hai
Kabir: wo log humara waqt chate hai Nisha, chab tu pregnant thi socha ke humare bache se bohot pyaar karunga.
Nisha: Apni jaan se bhi zyada pyaar karta hai tu un se. Unki har khwaish puri karta hai.
Kabir: unki sab se important khwaish puri na kar saka, apni maa aur papa ki tarhe hoon main, ek jo tha hi nahi, ek jo ho kar bhi nahi tha.
Nisha: Kabir wo dono chaar saal ke bhi nahi hue hai abhi, Chote hai nahi samajhte yeh batein, Kabir:wo nahi samajhte magar mein samjhta hoon kyun ke aaj jahan wo hai kahi saal phele mein tha.
Nisha: yeh saab hum Issiliye kar rahe hai ke hum sab humesha ke liye saath rahe, that sab ke samne Sumit ka asli chere asake. Mein bhi nahi jahti hum yeh saab kare, humesha ke liye us ghar ko chord ke aati hoon, aur hum sab dubai chalte hai aur maa ko sab kuch batate hai, waise bhi Jaipur mein kuch nahi hai.
Kabir: Nisha yeh tu kya khe rahi hai, maa papa, dada dadi, cousins un sab ka kya, Nisha wo galat nahi hai phele bhi khe chuka hoon yeh baat.
Nisha: Sumit se zyada galat the wo sab Kabir, Sumit dushman tha uske waar se dard nahi hua, wo apne the jab un sab ne mun pher liya tab dard hua, tab akeli pargayi thi, jab wo cousins jo humesha meri himmat the wohi hum ko alag dekhna jhate the tab Kabir ummed marne lagi. Jab wo papa jo apne happy wale ganne ki har khushi ke liye ladte chup rahi tab zindagi mein andhera cha gaya, jab dada dadi ka bharosa tujh se chala gaya jab unho ne humko alag kiya, tab zindagi khatam hui.
Kabir: nahi Nisha galat samjh rahi hai unko, ek baar unki nazro se dekh, aur am sure ke unho ne koshish ki hogi Nisha.
Nisha: dard hota hai jab jiss se hum sab se zyada pyaar karte hai wo humein rulata hai.
Kabir: wo bhi hum se pyaar karte hai, bas Sumit
Nisha: un sab ka pyaar aur vishwas itna kamzor hai ke Sumit ke jhot ke samne tik na sake.
Kabir's phone ringing
Nisha: Kaun hai
Kabir: (to Nisha) humara manager (on phone) hello plan ka progress kya hai
Manager: happy birthday bro
Kabir: Acha aaj yaad ayi ke mein tere dost hoon, warna humesha kk ke manger ko kk se baath karni hoti hoon aaj samridh Kabir se baath kar kar hai.
Samridh: Kabir tu bohot bara k hai.
Kabir: kuch naya bata.
Samridh: acha mein Jaipur se nikal chuka hoon, baki logo ki flight chaar ghante baad hai. Ab bata Wahan saab kaisa hai.
Kabir: yaha sab theek hai, tu yahan ajaa
Samridh: I will reach in the night, the others will come by morning. Ab rakhta hu, bye.
Kabir: Nisha ru and ro kaha hai
Nisha: wo abhi bhi bahar khel rahe hi, Alisha Rishi hai un dono ke saath.
Kabir: Nisha mein jhata hoon ke Kal ke din ka har ek pal hum un dono ke saath guzare
Nisha: Lekin party
Kabir: I know hum ne originally decide kiya tha ke tu, ru aur ro party mein nahi aoge but ab sab ke samne saach kal hi ayega.
---------
I hope you liked it.
Waiting for your views.