2.Ramesh to Viren:
Viren: Chote! Aaj jo tu ne kiya, who teek nahi kiya.
Ramesh: Chote! Cycle ka handle teek se pakad. Chote! Gaadi ko speed breaker pe dheere se le ja. Chote! Bauji teek keh rahe hai, Mumbai mat ja...Bhaiya! Aap bade hai, main chota hoon. Aur bade bhai ke liye, chota hamesha chota hi rehta hai...woh chahe bachpan main cycle chala raha ho, ya bade hokar apne bachon ki parvarish kar raha ho.
Viren: Baat hamari nahi hai Chote! Aisi mahaul mein, apne beti ko akele jaane kaise diya.
Ramesh: Maine wahi kiya jo Nishu ke liye sahi tha. Aur Nishu ke liye is waqt kuch samay akele bitaana sahi hai.
Viren: Aur jo Bauji ne kaha, uska kuch bhi nahi? Yaar Chote..tujhe yeh sab toh achi tarah se yaad hai ki humne tumhe kab roka kab toka...lekin yeh kabhi nahi yaad rehta ki, itna rokne tokne ke baad bhi tumne kabhi ruka nahi.
Ramesh: Ruka nahi Bhaiya, Lekin Ud bhi toh nahi paya na. Aur zindagi bar is baat ka afsos rahega mujhe...aur aadhi zindagi bitadi parivaar ko samjaate samjaate ki main galat nahi hoon...Bas alag samne dekta hoon.
Viren: Toh tum Bauji ke baat nahi maanega?
Ramesh: Agar sawaal meri beti ki khushi ka hoga na, toh main Bauji ki bhi nahi sunoonga.
Viren: Aur ghar ka mahaul?
Ramesh: Bigadtha toh bigade bhaiya. Aaj bigaadega toh kal teek bhi ho jaayega. Lekin Nishu ke liye main wahi karoonga jo mera dil kehega sahi hai.
Viren: Bachon ko itni aazadi dena teek nahi hai, mere bhai!
Ramesh: Atta tel hai kya Bhaiya? Adha kilo azaadi, do so pachaas gram pyaar? Azaadi toh hai ya nahi hai. Aapne bhi toh apne bachon ko azaadi nahi di thi na...lekin nathija kya hua? Umesh ne wahi kiya jo woh karna chahtha tha.
Viren: Haan. Lekin uska tarika galat nahi tha.
Ramesh: Uska natija sahi hua, aur kuch nahi bhaiya. Agar Umesh ka joot ulta padata na, aap us bar bhi ungliya utarahe hote. Yeh toh Nishu bechaari ki batkismati hai ki usne jo kuch bhi kiya, ulta pada. Lekin iske matlab nahi hai ki woh galat hai. Main ek baar phir se keh raha hoon bhaiya, Nishu ke liye kuch waqt akele bitana zaroori tha. Uska baap hone ke naate maine use woh waqt diya hai. Bas.
3.Dadaji to Ramesh: Driver ko bolo ki gaadi nikaale hum log abhi chalte hain, Nisha ke agle bus stop par pakad kar abhi ghar lekar wapas aate hain. Tumne suna nahin, Ramesh.
4. Ramesh to Dadaji: Kya bacche sirf baap ki zammedari hote hain?
5. Dadi to Ramesh and Dadaji: Apne baccho ke bhagyavidhaata banane ki koshish mat karo.
6. Ramesh's TALKS to Dadaji FINALLY!!! 👏 👏 👏 *Respect multiplied 100*
D: Tum acchi tarah se jaante ho ki pichle kuch dino mein Nisha ki harkatein kya rahi hai, uski bachkani harkaton ne hamein kis tarah pareshaan kia hai. Uske saath rehkar bajaye usse samjhane ki jagah tumne usse akele jaane dia? Kys soch kar tumne zimmedaar baap ka farz nibhaya hai?
R: Kya yeh zaroori nahin hai ki har woh baap jo zimmedaar ho, apne baccho se pyaar na karen? Uski khushiyon ke baare mein na soche? Kya bacche sirf apne baap ki Zimmedaari hote hai? Haan main gairzimmedaar hoon, magar maine apne baccho ke prati ek farz aur nibhaaya hia, woh hain unhe pyaar karne ka farz. Maine wohi kia jo mujhe Nishu ke liye theek laga.
D: Pehle apni zindagi mein accha aur bura ke baare mein socho, baad mein apne baccho ki zindagi ke accha aur bura ke baare mein sochna.
Dadi: Arrey bhali thaari, ghar ka aangan devo ka sthaan hota hai, aur aap log yahan yeh kar rahe ho jo humare layak nahin hai
D: Saroj, Hamari baat abhi khatam nahin hui.
R: Haan, Ma, hamari baat toh abhi shuru hui hai.
Dadi: Bas karo tum dono, manne ek baat batao, ki aaj tak jo kuch bhi hua, uske baare mein tum logo ko pehle se hi pata tha? Aur kal jo hone wala hai, uski khabar ho gayi hai tum logo ko? batao mujhe. Zindagi ki agle chhor par kya likha hai, kaun jaanta hai? Apne aur baccho ke bhaagyavidhaata banane ki koshish mat karo. Main yeh maanta hoon, main yeh chahata hu, iss main, main, ke chakkar mein aur sunehare bhavishya ke chakkar mein apna aaj hi mat bhool jao.
D: Jo insaan ek hi glti baar baar dohrata ho, woh bewakuf hota hai.
R: Haan, main bewakuf hoon Bauji.Ki hai maine galti aur main Nishu ko bhi apni zindagi mein galtiyan karne ka mauka dena chahata hoon. taaki woh zindagi ki musibaton ka saamna kar sake, isiliye uska jaana zaroori tha.
D: Apni chahato ko apni zaroorat bana mann ko laalchi bana deta hai Ramesh. Yeh kaam na main karne doonga aur na mere parivaar mein kisi ko karne doonga. Samjhe Ramesh.
R: Bauji aapke oosool aapki zindagi se bane hai, lekin bacche apni zindagi jeena chahate hai , aapki nahin. Nishu ko apna sahi galat khud samajhne dijiye, main vinti karta hoon aapse.
D: Isi khooli choot ki wajah se Nishu yeh sab bhoogat rahi hai.
R: Bhoogat ke hi seekhegi Bauji, sab waise hi sikhtey hai. Aur agar usse yeh sab kartey hue khushi milti hai, toh mai kyun roku usse? Kam se kam use pitaji yeh samajhte hain, jo mere pitaji nahin samajh sake.
Dadi: Ramesh, yeh kaunsa tarika hai apne bapuji se baat karneka?
R: Chup rehna chahatha tha ma, lekin kab tak? Apna saara bachpan dehshat mein bitaya hai bauji. Ma radio bhi bandh kar deti thi, yeh keh kar ki aap dukaan se wapas aa rahe hain, apni pasand ke gaane nahin sun paate they hum, aapse apne dil ki baat kya karte? Shayad isiliye main aisa bewakuf reh gaya. Lekin main apne baccho ke saath aisa rishta nahin chahata hun bauji.Haan, Nishu ne galti ki hain, aur usse apni galti ki saza bhi mil gayi hain, aur usse kitni saza doon? main apne gusse main usko khud se door nahin karna chahata. Arrey. woh meri beti hain, apna hak mujhse nahin maangegi toh kisse maangegi? aur agar main use woh hak nahin dunga toh kaun dilayega bauji? Par aap yeh sab baatein kya samjhenge? Aap nahin samjhenge. Nishu meri beti hain bauji, meri. Main jaanta hoon uske liye kya accha hai aur kya nahin.
7. Dadi to Ramesh: Ramesh, Nishu ke dadaji ka uspar koi hak nahin hain?
8. Kabir's speech to Nisha - Was a bit too fast!!!
Credits: Shewta 😊