Cousins! This is the whole list of moral classes/Lectures we all had by (our ever beloved š) Viraj Singh Rathore. This list will be updated as soon as he returns and resumes his classes š till then lets revise his older "teachings".
There is also a surprise for Shekhar's fans !!! š
Please do comment and mention which ones of these are your favorites and why!
1. Zero koi end nahin, zero toh shuruvaat hai. Ek nayi umeed ka naam hai zero, zero ke neeche kuch nahin hota aur jab neeche kuch nahin hota tab insaan sirf jagah dekh sakta hai, upar!
2. Nothing's tough!
3. Champions woh nahin hote jo jeetate hai, champions woh hote hain, jo haar kar bhi jeetne ka sapna dekhte hain.
4. Kutte bhaukte rehte hain, haanthi apni chaal nahin badalta.
5. Tum kisise kam nahin ho, agar kami hai toh sirf soch mein, aur agar iss desh ki soch badalni hai, toh pehla kadam tumhe utaha padega. Jo tum karna chahati ho, agar woh sahi hai, toh desh-duniya ki koi taakat tunhe nahin rok sakti.
6. Agar darr lag raha hai toh pehle apne aapse jhoot bolna bandh karo.
7. Attack is the best form of defense
8. Jab tak tum apne darr se bhaagti rahogi, tab tak tumhara darr tumhara peecha karta rahega, tumhe darata rahega, aage badho aur darr ka saamna karo.
9. Agar life mein kuch karna hai, toh pehli ladai apne dimaag se ladni padegi.
10. Life hamesh do choices deti hai:
* Doosro ki galti par hass kar apna time waste kar sakte ho (ya)
* Apna keemti waqt apni galti sudhaarne mein laga sakte ho.
The choice is yours.
11. Har kisiko doosra chance nahin milta. Jise milta hai woh lucky hota hai.
12. Ek accha worker woh nahin hota jo doosro se jyada kaam kare, woh hota hai jo smartly kaam kare.
13. Tension kam nahin hota hai, toh apni aankh bandh karke 3 baar lambi saans lekar khud ko boliyega ki "I can do it, Nothing's tough"
14. Agar galti karni hi hai, toh khul kar kijiye, darr ke nahin.
15. SURPRISE FOR Shekhar's fans!!! š š š³
SHEKHAR'S FORMULAE FOR PROPER FOCUS:
* Har situation mein strong rehna
* Aim par focus, Hamesha
* Aandhi ho ya toofan, har situation mein shaanth rehna.
16. Jo log apne emotions ko khud par havi hone dete hain, woh kamzor hote hain aur woh log wahi pahunchte hain jahan haalat unhe pahunchate hain, wahan nahin jahan woh pahunch sakte hain.
17. Itihaas ladai shuru karne waalo ko nahin, khatam karne walo ko yaad rakhti hai.
18. Apne dard ko chupana bahaduri nahin hoti.
19. Kuch chotey aisi hoti hai, jahan insaan khud nahin pahunch paata, usse kisiki zaroorat hoti hai.
20. Hum sabka ek badal hota hai, jo hameshahamare saath hota hai, jisme hamari yaadein, beeti hui zindagi ke acche-bure pal rehte hain. Bin mausam baarish ki tarah woh bhi kabhi barasna chahate hain.
21. Pehle pyar ka ehsaas bachkana nahin hota, uske milne ki khushi aur khone ke ghm mein jo log karte hai, woh harkatein bachkani hoti hai,
22. Pyaar ka rishta sahi waqt aur sahi haalat par hi ban sakta hai.
23. Ek sapne ke tootne ki sazaa un laakhon sapno ko nahin deni chahiye jinhe piroh kar acchi zindagi banayi ja sakti hai.
24. Nothing's tough. Ek lakshya ke bina, acchi se acchi team bhi loser lag sakti hain, lekin agar lakshya saath ho toh insaan aasmaan bhi choo sakta hai.
25. Insaan kitni bhi ucchayi tak kyun na pahunch jaye,nazron se girne ke liye kuch seconds hi kaafi hote hain.
26. Immandari aur Mehnat, yeh do shabd bade kammal ke hote hai.