auditions mei kamyabi
ka sabab mera bhulpan
tha nat khat aur chulbuli
adakara soumya seth se
gup shup.
Ye shok misaj aur khud ku batuni karar dene wali larki zindagi ka
har lamha bhar pur tareke se enjoy karna chate hate hai.yehi wajha
hai wu moqa ba moqa koi hangama barpa karte rehti hai.likin har insaan
ki tarha is mei bhi khamiyan tu hain.ye maqsideat se dori aur be shumar
mamlat mei susti aur kahli ku apni shakseet ka tareeq pehlu batate
hai magar ye nat khut aur shareer likin be zarar larki ke tur par bhi
pehchane jate hai.ye zikar huraha hai television ki maqbul adkara
''soumya Seth'' ka jis ki perfomance ku nazreen ne star plus ke darme
navyamei be had pasand kia hai is ke marqazi qirdar ke nam par darme ka title
bhi karar pay.
Soumya seth pechle dinun gup shup hui ju app ki dil chaspi ke liye paush hai.
Khabun ki nagre yani Mumbai ki rehne wali larki ne 17 oct 1989 ku
ek middle class family mei ankh khule is ki family member mei maan
baap ke elwa ek bhai aur behn shamil hain.
''NAVYA'' ke qirdar ki babt is ne mujhe batay ;;swastik pictures''
phunchi wahan kuch dear intazaar karna para aur jab production house ke
karta dhatra ke samne phunchi tu ajeeb baat hui unhun ne mujhe dekhte
hi apne assitant se ok kaha dia main hiran parishaan hugae hugae ke ye
kaise mumkin hai ke perfomance tu dur ki bat hai unhun ne mujh se
koi sawal tak nahi kia aur mujhe ffinal kardia likin ye huchuka tah''
soumya ne drame mei apna qirdar ka zikar karte hue bataya navya ek nahyat masoom
aur sada tabiat ki malik larki hai jis ka taluk ek rawayat pasand
gharane se ahi ye mujauda dur ki ladkiun ki tarah azad aur modern nai
is ka tarze zindagi in rawayat se juda hua hai jin mei sharam
aur jijhak ku ahmiat de jate hai aur khususan ghair mardun se fasla rakah jata
hai albata wu apni friends ke sath khub enjoy karte hai.
show mei navya ki zindagi ku jhunam bana dene ke liye bua dadi aur babji ki
koshishin shuru hugae hain likin rama ka support is massom ladki
ku hasil hai.adakara ke baqul ''navya'' ka kirdar iski zindagi mei kaye
changes ka bais bana is ka khayal hai ke ajj ismei be panah etemad hai
ab wu har topic par baat karsakte hai aur iske qirdar ki budulat
ese society ku samjhane ka moqa mila hai wu kahte hai ''main apne ass pass par
nazar rakh sakte hun aur pehle ki tarah kisi baat se ghafil nai
rahte.halat u waqiyat par tabasara karte hun aur apne khiyalat ka
khul ke izahar karte hun''.ek sawal ke jawab mei isne bataya ajj main
apne family ki wajah se show buisness mei nam kama rae hun
mujhe inki mukmal support hasil hai mere kam pe tanqeed bhi ki jate hai aur mujhe
support bhi dia jata hai yehi wajah hai ke mere andar age barhane ka
mazeed shok paida hua hai.
shot ke moqe par nut khat aur shok misaj soumya samne ate hai
wu sab ke sath hansi mazak aur khub hala gula karte hai
sathi fankaar ke sath cher chaar ka silsla ghar lotne tak jare
rehta hai.
Sounya ke bare mei mushuur hai ke wu nend ki kachi hai,shooting ke duaran
jab bhi muqa mile wu kahin bhi sujate hai
soumya kahte hai ke tamam artist mera khayal rakhte hain kisi
bache ki tarahan maine inhein best dost paya khass tur par senior
fankaar ne mere kahne peene ka bht khayal kahyal rakah.
Soumya arrange marriges par yakeen rakhte hai is ne bataya ke wu apne
pasand aur na pasand ke mamle mei agar che mukmal tur par azad ha
liikn wu ghar walun ki marzi se shadi karege filhal isne apna dil kisi
ku nai dia aur aisa koi taluq banane ka socha bhi nai.
Mustakbil ke iradun ke bare mei pocha tu isne batay ke ''mei punjabe ladki ka
ka koi kirdar karna chate hun fil kabhi khushi kabhi ghum mei
kajul ne ju role kia wu mere tamana hai agar aisa koi character offer hu tu maza ajaye''
tv par acting ka silsla jare rakhne ke sat wu business mei apne
father ka hath bhi batan chate hai.ise karubare mamalat mei uljahana pasand hai.yeh
kahana ghalat na huga ke wu musruf rehna chate hai khwa ye musrufiat
sanjeeda hu ya phir dostun ke sath gup shup lagana aur hala gula
karna hu wu khud ku mutharik means busy rakhte hai.
i updated it and translated for all of u
it was a interview on soumya taken by a Pakistani journalist.