Originally posted by: Telly_Addict
aise hi kahawat nahi hai...
Duniya ka kaam hai kehna...
agar paise wale se pyaar karo - lalchi
paise bina wale se pyaar karo - pagal
ma baap se man ke bina pyaar karo - selfish
maa baap se hisab se shaadi karo - bechari apne man ki nahi kar sakti
apne umar se chhote ladke se shadi karo - haye kitna chhota ladka hai kya bemel jodi hai.
apne se badi umar wale se shaadi ho - ladki me kuch khot hoga itne bade aadmi se shadi ho rahi hai
to duniya walo ka kaam dusro ke phate me taang adane ka... wo is se dukhi nahi hai ke what they dont have but is se jyada dukhi hai ke what neighbors have more than them.
Public ko apne ghar mein focus karne se jyaada neighbor ke ghar mein kya gossip hai usmein interest hai
Judgemmental bhi ho jaaye hai and decision bhi de dete hai yeh bhi how to behave