Originally posted by: Deepal4u
Next:
zindagi jab bhi teri bazm mein laati hai hamen
ye zamin chand se behatar nazar aati hai hamen
surkh phulon se mahak uthati hain dil ki rahen
din dhale yun teri aawaz bulaati hai hamen
yaad teri kabhi dastak kabhi saragoshi se
raat ke pichhale prahar roz jagaati hai hamen
har mulaqat ka anjaam judai kyun hai
ab to har vaqt yahi baat satati hai hamen
Wah Wah!
Kya baat hai.....it sounds more like a Sheyar than a song