MayUr FF - The Imperfect Mismatch # 2 Last Chapter , PG - 111. - Page 45

Created

Last reply

Replies

474

Views

59.3k

Users

40

Likes

841

Frequent Posters

gopi06 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
nice updt
cont soon
thanks for the pm
-Paulomi- thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago

CHAPTER - 38

CHAPTER - 39

Next day,in the evening,Nupur was discharged from the hospital and was brought home.Gayatri took all eveil eyes from her and her baby and asked her to come inside.Nupur was sitting with her son in her lap in the hall when Gayatri took her baby and said to Nupur,"Main jaanti hu ke maine tere saath itne dino se bohot ajeeb bartaav kiya hai par main kya karti,main tere future ko lekar bohot dar gayi thi ke pata nehi tera kya hoga,tere bachche ka kya hoga.Ma hu na duniyadaari ki fikar karni parti hai.Par tu ab bilkul fikar mat kar,tu yaha rehna,zarur rehna ab main kabhi tujhe kuch nehi kahungi.Apni beti ki maine shaadi karwa di iska matlab ye to nehi ke ye ghar ab uska ghar nehi raha aur humne koi tujhe bojh ke tarah sar se utaara bhi nehi hai.Ab agar tu apne sasural jaana chahti hai to tabhi jaana jab teri marzi ho.Vaise Mayank aur uske parivaar waale aane waale hai thori der baad.Actually mujhe bura is baat ka lagta hai ke vo har baar yaha is ummeed se aate hai ke tu unke saath ghar jaayegi.Khair ab tu is baare mein bilkul mat sochna.Main bhi to pata nehi kaisi ma hu jisne tujhe zabardasti is rishtey mein dhakel diya,mujhe maaf kar de."Nupur was very happy thinking that finally Gayatri was able to understand her pain and she hugged her mother.By that time,the SF arrived in Nupur's home.Maadhvi and Payal performed the necessary rituals for the baby and then gave it to Nupur.After some talkings,Maadhvi said to the SF,"Vo abhi to Nupur ki delivery bhi ho gayi hai to main ye soch rahi thi ke...Nupur aur bachche dono ki tabiyat abhi thik hai to...hum usey apne saath le jaana chahte hai."Nupur and her parents became conscious on hearing about that.Ashok said,"Dekhiye samdhanji main aapke feelings ki bohot kadar karta hu par jo kuch bhi hua vo aap sab jaante hai aur hum sab bhi ye jaante hai ke kis tarah se dono bachcho ki shaadi hui hai.Ab jab contract kahiye ya kuch bhi khatam ho chuka hai aur Nupur bhi uske saath rehna nehi chahti hai to mujhe nehi lagta hai ke is rishtey ko bekaar ko khichne ki koi zarurat hai.Main yeh soch raha tha ke ab Nupur aur Mayank dono ko alag ho jaana chahiye aur vo bhi kanoonan."Shekhar gave an awkward smiled and replied,"Ye aap kaisi baate kar rahe hai samdhiji,maine maana ke dono ne aisa kiya hai par hum to bare hai na hum kaise aise hi ek rishta tod sakte hai jab ke ab in dono ki zindagi inki khudki nehi hai,ek aur zindagi bhi inke saath jud chuki hai."Maadhvi said,"Ha Nupur meri bahu hai,mere ghar ki lakshmi hai,uske paas hamaara pota hai,hamaare ghar ka chiraag.Dono hi hamaare liye hamaare jaan se bhi zyaada azeez hai.Har rishtey ko ek aakhri mauka to milna hi chahiye na."Gayatri said,"Dekhiye main aap logo ki bhaavnaao ki kadar karti hu main bhi pehle chahti thi ke Nupur apne sasural waapas chali jaaye par is baat se usey itna tanaav hua hai ke samay se pehle hi usey labour pain ho gaya aur sab jaante hai ke kitna complicated operation tha vo isliye main ab apni beti ki zindagi mein koi tanaav nehi chahti hu."Both the families started arguing on that matter and Tara tried to stop them but no one was trying to listen to them.At last,Payal got up and yelled a bit.She said,"Bas kijiye aap log!!!"She yelled so loudly that everyone were bound to stop and Payal said,"Kya ho gaya hai aap sabko?Aap log aise bachcho ke tarah kyu lar rahe hai?Nupur aur Mayank koi bachche nehi hai jo unki zindagi ka faisla ab aap log karenge ab vo dono bhi ma baap ban chuke hai.Unhe agar apni zindagi ka faisla nehi lena aata to unhe seekhna hoga.Ek galti karke bhi kya aap logo ko hosh nehi aaya jo aap waapas se vahi galti dohraana chahte hai.Aapke bachche aapki jaagir nehi hai jo unki zindagi ka faisla aap sab le.Ek baar aap sabne in dono ki taqdeer likhni chahi thi to dekh liya hai na nateeja ab aap log please inhe inki zindagi khud sawaarne dijiye,inhe apni zindagi ka faisla khud se lene dijiye.Inhe ek dusre ke saath rehna hai ya nehi inhe ye tey karne dijiye please."She turned to both Nupur and Mayank and said,"Main jaanti hu Mayank ab Nupur aur apne bachche ke saath rehna chahta hai par main Nupur ko force nehi karungi.Main usey bas itna request karungi ke vo soche ke usey aagey kya karna hai.Agar vo hamaare saath rehna chahti hai to bohot achchi baat hai aur agar nehi rehna chahti hai to bhi vo ye faisla apni marzi se le aur usse uske bachche ko koi nehi cheenega."Maadhvi asked,"Ye tu kya keh rahi hai Payal?"Payal replied,"Main bas itna chahti hu ke ab unpar koi dabaav na daala jaay agar vo ek dusre ke saath rehna chahte hai to apni marzi se rahe."Everyone were silent and Payal thought that they were thinking on this matter.Ashok and Shekhar found it to be the best option and both decided that Nupur and Mayank themselves will now decide what to do with their future.Mayank said,"Par is baare mein mujhe kuch kehna hai."Shekhar asked,"Kya?"He replied,"Nupur ko main ghar aane ke liye force nehi karunga par ha mujhe apne bete ke saath rehna hai,main usse dur nehi reh sakta,isiliye jabtak Nupur finally kuch decide nehi kar leti main yahi uske saath rahunga.Please aap log mujhe mere bete se alag mat kijiye."Gayatri agreed and said,"Haanji main bhi uske saath is baat par sehmat hu ke Mayank ko kamsekam yaha rehne dijiye.Bachcha uska bhi hai aur hume koi haq nehi banta hai ke hum ek baap se uske bachche ko dur rakkhe please ye aap sab maan lijiye."Ashok asked Nupur,"Kya tujhe is baat se koi problem hai beta?"Nupur nodded her head and replied,"Ji koi problem nehi hai...Main adjust kar sakti hu."Mayank was happy hearing that and so Ashok said,"Thik hai to jabtak dono ye faisla nehi kar lete hai ke inhe kya karna hai tabtak Mayank Nupur ke saath hamaare ghar mein reh sakta hai."After that decision was made,the SF decided to leave and before leaving Mayank took his son from Nupur and said,"Kittu apne dadda ke welcome ke liye ready rehna aur dekhna ke dadda kal aapke liye kya kya lekar aate hai.Ok.Goodnight!!"He kissed on his son's forehead and then gave him to Nupur and left from there with his family.

Next day,Mayank came with his bag and baggages to live with Nupur and her family in her house.With Mayank,came 2-3 servants from his home with lots of bags in their hands.On seeing them,Gayatri asked,"Arey beta ye saare saamaan...ye sab kisliye?"Mayank replied,"Arey vo auntyji ye main sab apne bete ke liye laaya tha.Itne dino tak koi shopping nehi ki hai ye soch kar ke pata nehi larka hoga ya larki par ab to beta ho gaya to ab bete ke liye khilone aur jo saare cheezein chahiye na sab lekar aaya.Vaise mujhe sab cheezo ka idea nehi tha par bhabhi ne meri help ki."The servants alongwith Mayank went to Nupur's bedroom and Nupur,on seeing these things screamed,"Ye kya hai?"Mayank replied,"Zyaada khush hone ki zarurat nehi hai maine ye sab tumhaare liye nehi kiya apne kittu ke liye kiya so hamaare maamlo se dur raho."He went to his son and the baby seemed to be very excited on seeing his father and Mayank said,"Hi mera baby,mera Kittu,see dada aapke liye kya kya lekar aaye hai.Aapke toys,aapke kapre,aapke liye baby items."Nupur said,"Itna sab kuch mere kamre mein nehi rahega.Kitna conjested lag raha hai already."He replied,"To thik hai tum kamre ke bahaar rehna main aur mera beta shaan se in saare cheezo ke saath is kamre mein rahenge.Par ye saara saamaan yaha se bahaar nehi jaayega."Nupur was furious to hear that and asked,"Tum mujhe mere hi kamre se nikaal rahe ho?How dare you?"He replied,"Main kaha nikaal raha hu,tum hi to keh rahi ho ke ye sab yaha nehi rahega.Ab dekho ye sab kuch mere bete ka hai,vo jaha rahega ye vohi rahega.Main yaha apne bete ke saath rehne aaya hu to logically tum mujhe is kamre se nikaal nehi sakti,tum khud bhi yaha se jaana nehi chahti ho to ek last option hai ke main apne bete ke saath guest room mein chala jaata hu.Kya tum ye chahti ho?"Nupur asked,"Mera beta kyu soyega guest room mein?"He replied,"Thik hai jaisi tumhaari marzi."Though Nupur didn't like it but she agreed that Mayank would stay in her room.

While Mayank was playing with the boy,the baby wet his dress and on seeing this,Mayank said,"Geela kar diya dadda ko??Ha??Par koi baat nehi dadda apne saath dher saare kapre laaye hai,tum dadda ko ganda karte jaana aur dadda change karte jaayenge.Pehle tumhaara nappy badal du."He changed the baby's nappy.After a few hours,Nupur asked the servant to bring a tub of a bit warm water for the baby to bath.Nupur took the baby from Mayank and then opened the clothes from his body.He made him lie on on her legs and applied oil all over his body.Nupur said,"Mera raja beta tel lagaayega to uske bones strong banenge phir vo idhar udhar daurega aur mamma ko bhi peeche peeche dauraayega.Hai na baby?"Mayank said,"Phir baby aur dadda dono milkar football khelnge aur phir saare kapro mein mitti lagaakar aayenge aur mamma phir jab bhi chillaayegi na tab hum mamma ke muh mein tape laga denge."Nupur stopped massaging oil on the baby and then said,"Tum mere muh mein tape lagaaoge??Ek baat yaad rakhna Mayank mera beta football nehi cricket khelega.Vo cricketer banega varna vo tumhaari tarah ban jaayega."He said,"Ha to mera beta mere jaisa hi banega na.Har beta apne baap ke tarah hi banta hai,isme koi buraai nehi hai.Vo to achcha hai ke mera beta hua hai kyuki agar beti hoti na to tumhaari tarah nakchari hoti isiliye hi maine bhagwaan se kaha tha ke mujhe beta dena,after all do do paagalo ko main kaise jhelunga.Hai na beta?"Nupur scolded him and said,"Main nakchari hu na?Kamsekam tumhaare jaisi to nehi hu na aur main apne beet ko tumhaare jaisa banne bhi nehi dungi."They were quarrelling and hearing their raised voices,the baby cried out and then both the parents tried to make him quiet.

Pal.. do pal ki kyun hai zindagi.
Iss pyaar ko hai sadiyan kaafi nahi.
Toh khuda se maang loon.
Mohallat main ek nai.
Rehanaa hai bas yahaan.
Ab door tujhse jana nahi...

The baby slowly stopped crying due to the joint efforts of his parents and then they both had an eye lock.

Jo tu mera humdard hai.
Jo tu mera humdard hai.
Suhaana har dard hai.
Jo tu mera humdard hai.

Nupur and Mayank both jointly made their son bath and then Nupur applied powder and black mark on his forehead and Mayank put on the clothes of the baby.After that Nupur took the baby to feed him and then put on the bed with Mayank and went to have her breakfast.When she was about to leave,Mayank asked her to send his breakfast in his room and he would have his breakfast with his son.After the breakfast,when Nupur returned to her room,she found Mayank was talking with his son and playing with him by taking him in his arms and walking.

Teri muskuraahate hain taakat meri.
Mujhko inhi se ummid mili.
Chaahe kare koi sitam ye jahaan.
Inmein hi sadaa hifaajat meri.
Zindagaani badi khoobsurat hui.
Jannat ab aur kya hogi kahin.

While Mayank was playing and talking,suddenly he realized that the baby fall asleep.Nupur took the baby from him and then made him lie down on the bed.Mayank put cushions on both sides of the baby and then suddenly noticed that the mouth of the baby was opened.Mayank closed his mouth but it again opened and this time Nupur closed it.They found it to be an amusing game.When they baby was sleeping,Nupur went to take bath and after coming out,she foubd Mayank too slept on the bed hugging the baby.She came near to them and then rubbed Mayank's hair lovingly.After a couple of hours or two both the baby and his father woke up.Actually baby woke up because he was wet and Mayank wet due to its stinky smell.He covered his nose and called for Nupur and when she arrived there,she saw him covered his face with his handkerchief and removing the baby's nappy and throwing it on the ground.Nupur started laughing on seeing his condition and at last she came to his rescue.

Jo tu mera hamdard hai.
Jo tu mera hamdard hai.
Suhaana har dard hai.
Jo tu mera hamdard hai.

At night,the baby suddenly started crying in the middle of the night.The baby was neither hungry or anything but still he was crying.Nupur sang a lullaby and Mayank too started walking with the baby in his arms.At last,he started jumping like a monkey to make him quiet.

Teri dhadkanon se hai zindagi meri.
Khwaahisein teri ab duaayein meri.
Kitna anokha bandhan hai ye.
Teri meri jaan jo ek hui.

Nupur was putting the baby to sleep and Mayank was massaging her shoulder as they were paining.Nupur turned and looked at Mayank and he smiled at her.

Lautunga yahaan tere paas mein haan.
Vaada hai mera, mar bhi jaaun kahin.

At the end both of them were too tired to remain awaken for more time and both lied down on the bed on both sides of the baby.

Jo tu mera hamdard hai.
Jo tu mera hamdard hai.
Suhaana har dard hai.
Jo tu mera hamdard hai.

While patting him,both fall asleep.

CHAPTER - 40

Edited by -Paulomi- - 10 years ago
Faria. thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
lovely update. very cute. baby is very lucky having parents like mayur. jhagarte bhi hai, caring hai, pyaar bhi karte hai. loved them so much. awesome part. keep updating
Angle. thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
superb update. mayank is residing with nupur at her home. nd he loves baby a lot. lovely cute moment of mayur with baby. so nice
Edited by Angle. - 10 years ago
Humayra thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 10 years ago
Beta hi in dono ko karib layega..
Irum. thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
very sweet part.
Hmmm kaffi papad belny padh rahe hein Mayank ko Nupur ko mananey k liye.
thnx 4 PM.
gopi06 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
lovely updt
cont soon
thanks for the pm
-Paulomi- thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago

CHAPTER - 39

CHAPTER - 40

Time passed by and Nupur was as reluctant and ignorant towards Mayank just like before.In her heart,she knew that she still loved Mayank and he too loved her but her broken heart and her ego was not allowing her to forgive him.In the naming ceremony of the boy,both the families were there and the boy was given the name RAHUL MAYANK SHARMA.Almost everyday,Maadhvi used to call Mayank to ask if Nupur had a change of heart but always she had to be sad on getting the same answer.Almost twice in a week Maadhvi and Shekhar used to come to their home to meet their grandson and in actual with a hope that Nupur would agree to return home.Mayank,too was getting impatient thinking for how long he had to wait as his family too was waiting for Nupur's reply and seeing the disheartened and sad faces of his parents was making him very angry each and every passing day and so he decided that he would talk with her one final time and then immediately he would decide his next step.One day,Mayank's parents again arrived to meet their grandson.After meeting and playing with their grandson when Nupur was taking him back to her room,Mayank stopped her and said,"Rahul ko Tara bhabhi ko dedo Nupur aur yaha raho mujhe tumse kuch zaruri baat karni hai yaha sabke saamne."Nupur looked confused and she gave her son to Tara and she took her to Nupur's room.While all arrived in the hall,Mayank asked Nupur,"To tumhaara faisla kya hai Nupur?Kya tum gharwaapas chal rahi ho hamaare saath?"Nupur was speechless and she did not reply and so he said,"Dekho main abhi bilkul bhi kisi drame ke mood mein nehi hu.Mere mom dad yaha hafte mein do baar aate hai Rahul se milne par main jaanta hu vo log yaha is ummeed par aate hai ke kabhi to tum ghar waapas chalne ke liye maan jaaogi.Tumhaari family ke tarah hamaari family ki bhi ek reputation hai is society mein.Sharma Builders ke chairman roz apni bahu ke ghar mein bikhariyo ke tarah aate hai usey le jaane ke liye.Ab logo ke liye bhale hi ye DB ke maalik hai par mere liye ye dono mere mom dad hai aur mujhe inko is haalat mein dekhna bilkul bhi achcha nehi lagta hai.So I want a clear cut answer,ha ya na."Maadhvi asked Mayank,"Ye sab tu kya baat kar raha hai Mayank?"He stopped her and said,"No mom please aaj aap bilkul bhi iski side mat lijiyega.Mujhe janna hai iska jawaab.Aakhir mera bhi ghar hai,mujhe bhi aap logo ke paas waapas jaana hai aap log bhi to kab se intezaar kar rahe hai na iske jawaab ka."Nupur,in a stern tone said,"Maine tumhe yaha rehne ko nehi kaha hai Mayank."He said,"Main yaha apne bete ke saath rehne aaya tha aur tumhe manaane aaya tha par tum to mujhe taken for granted samajhne lagi ho.Aakhir kasoor kya hai mera??Kya kiya hai maine tumhaare saath?"Nupur could not believe that Mayank was saying all those things.She asked,"Kya kiya???Tum ye puch rahe ho ke tumne mere saath kya kiya??"He too was in a mood of taking final decision that day.He replied,"Ha kya kiya hai maine??Tumhaare saath contract marriage kiya tha na,to maine akele kiya vo?Tumne bhi to kiya aur aisa to nehi hai ke shaadi ke baad maine tumhe contract marriage ke baare mein bataya,shaadi se pehle se tum ye baat jaanti thi maine bataya bhi tha and you agreed too ke family ke blackmail se bachne ka ek hi raasta hai.Kya tab maine tumhe blackmail kiya tha?Tumhe agar is baat se aitraaz tha to tumhe mujhse shaadi kiya kyu?Maine koi tumhaare per to nehi pare the,tum tabhi mana kar sakti thi shaadi se,to phir main akela kaise gunehgaar hua?Phir bhi tumhaare jaane ke baad tumhaare hisse ki gaaliya bhi mujhe hi pari hai,phir bhi maine sab suna par din raat yehi maanga ke tum waapas aa jaao.Ye galti thi meri?"Ashok was stunned to hear that Nupur knew about the contract marriage even before her marriage and she married Mayank even after knowing that and all the time he thought,Nupur was cheated after marriage.He asked Nupur,"Nupur beta kya ye sach hai?"She replied,"Ji papa."On hearing that,Ashok just dashed on the sofa quietly.Nupur then said to Mayank,"Tum ye bol rahe ho ke tumne kya kiya hai?Hoeymoon ke time jo hua aur phir anniversary ke raat jo hua vo bhul gaye.I was in love with you damn it!!Aur tumne kya kiya??Just a sorry!!Sorry bol diya!!Kya sirf sorry bolne se hi sab solve ho jaata hai?Agar tumhaare saath maine aisa kiya hota to kya tum mere saath rehte?"He replied,"Par tumne to kaha tha ke tum ghar chor kar apne ghar isliye nehi gayi kyuki tum nehi chahti thi ke tumhaare parivaar ki badnaami ho.Hai na?To tum is baat ka ilzaam mujhpar kyu daal rahi ho?Kis baat ki itni ego,kis baat ka itna akar hai tumhe Nupur?Yehi ke jab tumhe mujhse pyar hus,mujhe tumse pyar kyu nehi hua?Is that your issue?Aisa kahi likha hai ke jab tumhe kisi se pyar ho usko bhi tumse pyar hona chahiye?Jo kuch bhi hamaare beech hua tha honeymoon par,we were drunk Nupur aur rahi baat anniversary ki to I didn't rape you,koi zabardasti nehi kiya tha maine tumhaare saath aur agar aisa hota to tum mujhe rok sakti thi,but you didn't.Main kya karta just because we had a relation between us isiliye main tumhaare saath zindagi bhar ek compromise ka relation banata aur tab to mujhe ye pata bhi nehi tha that you love me.Ab bolo kya tum aise rishtey mein khush rehti jisme pyar hi na ho?"Nupur said,"Jab tumne mujhe anniversary ke raat ke baad sorry kaha tha do you even realize how did I feel?Aisa laga ke main koi..."Out of disgust she closed her eyes and could not say more.Mayank replied,"To tum bataao mujhe aur kya kehna chahiye tha yehi ke mujhse galti ho gayi chalo dono milkar ek saath rehkar saari umar is galti ko dhote rahe?I know ke mujhe tumse pyar hai is baat ka realization tumhaare jaane ke baad hua,thori der se hua par hua na.Ab isme meri kya galti hai agar mujhe der se realize hua to?Mera dil hai yaar,sab kuch to ek hi time par nehi hota hai."Nupur had tears in her eyes and Mayank said,"Achcha chalo thik hai,tumhaara gussa mere liye hai,to mere ma baap ko kis baat ki sazaa de rahi ho?Kya kabhi us ghar mein tumhaare saath aisa kuch hua hai jo nehi hona chahiye tha.Mere purey ghar ne mujhse zyaada har baat par tumhe support kiya hai,beti maante hai tumhe us ghar ki.Isiliye aate hai yaha apni bahu aur pote ko le jaane.Isliye main tumse finally ye janna chahta hu ke kya tum waapas chal rahi ho ya nehi."Nupur remained silent and was about to turn to go to her room when Mayank grabbed her hand and said,"Aaj main tumhe bina jawaab diye jaane nehi dunga Nupur,har cheez ki ek limit hoti hai.Agar nehi jaana hai to saaf saaf bol do kyuki mujhe apni family ka humiliation ab aur bardaasht nehi hota hai.Main ya mere family waale tumhaare aage peeche ghumne waale chamnche nehi hai."Shekhar said,"Bas karo Mayank bohot ho gaya."Mayank's anger had no bounds that day.He said,"Sach mein bohot ho gaya hai abhi!!Isliye aaj main sab kuch clear karna chahta hu.Aap log is aurat ki tarafdaari karti hai,jisey apne aur apne ego ke alava kuch aur dikhai hi nehi deta hai,isko lagta hai ke sirf yehi sahi hai aur baaki sab galat aur sabko iske per pakar ke maafi maangni chahiye.Arey bhaar mein jaao tum aur tumhaara ego!!I love you but tumhaare bina main mar nehi jaaunga.Main insaan hu isiliye galtiya karta hu par kamsekam tumhaare tarah mahaan banne ka dhong nehi karta.Tumhe nehi aana hai na mat aao and I promise you ke Rahul par main kabhi koi haq nehi jataaunga vo tumhaare paas hi rahega."Maadhvi was crying hearing Mayank's decision and everyone were stunned especially Nupur.Maadhvi said to Mayank,"Beta Rahul mera pota hai,vo hamaare khaandaan ka khoon hai."Mayank said,"Main manta hu ke Rahul mera khoon hai aur Nupur meri biwi hai par jab vo khud hi is rishtey ko nibhaana nehi chahti hai to main kya kar sakta hu.Main ek saal ke rishtey ke liye apne itne saalo ke rishtey,apne ma baap jinhone mujhe janam diya main unke saath naainsaafi nehi kar sakta hu."Nupur was crying and Mayank said,"Aap fikar mat kijiye mom..."He looked at Nupur wth hatred and said,"Aapko pota chahiye na...zarurat pare to main dusri shaadi karunga and you don't worry Nupur usse pehle main tumhe officially divorce zarur dunga.Main chalta hu aur mom dad main bahaar aapka intezaar kar raha hu."Saying he went to Nupur's room and packed his bag and before leaving he pampered his son and said,"Hi Kittu dadda is going home,ab na tumhe hi apna aur apni mamma ka khayaal rakhna."He then finally left from there with his bag and baggages.Before leaving Maadhvi walked upto Nupur and said,"Main jaanti hu Mayank se tumne selfless pyar kiya hai isi vajah se tumne apni zameen aur apne shares usey de diye par beta usne bhi vaisa hi kiya hai.Maine kaha tha na usey baate thori der se samajhme aati hai par jab aati hai,tab vo sab kuch puri imaandaari se karta hai aur is baar bhi usne wahi kiya.Tumhaare jaane ke baad,usne apne sapne ke baare mein nehi tumhaare sapne ko pura karna ke baare mein socha.Usne us zameen mein apni video game ki company nehi tumhaara hotel banw raha hai kyuki usey ye lagta hai ke tumhaara aur uska sapna alag nehi hai,tumhaara sapna uska bhi hai."That one news was like a thunder sound for Nupur and she looked at her with a jerk as she didn't know about it.Maadhvi blessed her and asked her to take care of herself and Rahul and left from there with her husband.

After Mayank and his parents left from there,Nupur ran back to her room and dashed on bed.She covered her face and was crying like anything while remembering Mayank and Maadhvi's words.Tara,who never ever told her anything or scolded her,came to her room and said,"Dekho Nupur aajtak maine tumse kabhi kuch nehi kaha hai.Jab tum yaha aayi thi na mujhe bhi yehi laga tha ke tum Mayank se naraaz ho aur vo manaayega to maan jaaogi par ab tum apni hadh paar kar rahi ho Nupur.Kitne dino se Mayank yaha tha aur usne kya kuch nehi kiya hai tumhe manaane ke liye par tum to jaise manna hi nehi chahti.Papaji ko bhi aaj tak lagta tha ke tumhe contract marriage ki baat shaadi hone ke baad pata chali par aaj sach jaan kar unhe bhi bohot dhakka laga hai.Vo aajtak sirf tumhaare liye akele is ghar mein sabse larte rahe par tum ho ki...Aaj to tumne unhe bhi sharminda kar diya hai."Nupur was feeling very guilty and said,"Main jaanti hu bhabhi mujhse bohot bari galti ho gayi hai.Ab to main naahi Mayank se aur naahi papa se aakhe mila sakti hu."Tara said,"Ab papajiko bohot pachtaava ho raha hai ke unhone kitna bura bartaav kiya hai Mayank ke gharwaalo ke saath."She put her hand on Nupur's shoulder and said,"Kabhi rassi ko itna bhi mat kheecho ke vo rassi hi toot jaaye.Har rishtey mein daraare aati hai aur tumhaara rishta to abhi abhi shuru hua hai aur isme ye naya mor aaya hai.Tum to ek mauka de hi sakti ho na apni shaadi ko abhi to bohot dur tak jaana hai tum dono ko ek dusre ke saath.Abhi agar haar maan jaaogi to kaise chalega?Apne bete ke baare mein socho tum dono ki galti ki sazaa ye maasoom kyu bhugte isey bhi to apne ma baap ke saath rehne ka pura haq hai."She got up and said,"Tumhe samjhaana mera farz hai and I hope tum apni zindagi barbaad nehi karogi.Abhi tumhaara dinner bhijwaati hu,khaana kha kar so jaana."Saying Tara left from there.

Next morning,when all were having breakfast,Nupur came down with her baby and her luggage.On seeing her,Gayatri asked,"Kaha ja rahi hai Nupur?"Nupur replied,"Main us ghar mein waapas ja rahi hu.Maine ye decide kiya hai kea b main vohi rahungi."Gayatri was the the happiest person on the earth on hearing this,but still she asked,"Ye faisla tune kisi dabaav mein to nehi liya hai na Nupur?"Nupur replied,"Nehi ma maine ye faisla apni marzi se liya hai.Maine saari raat bohot socha aur sochne ke baad maine yehi tey kiya hai ke Mayank ne apne hisse ka praayshchit kar liya hai,ab meri baari hai.Chahe hum dono ke beech mein kuch bhi ho par main uske gharwaalo ko us baat ki sazaa nehi de sakti hu mujhe koi haq nehi hai.Main hamaare relation ko ek aur mauka dena chahti hu."She walked towards Ashok and then said,"I know papa maine aapko hurt kiya hai and Iam really very sorry for that.Par ab main apni galti sudhaarna chahti hu.Sahi hi to hai jo kaam humne kiya hai,jo galti hamaari hai,uski saza vo akele kyu bhugte,isiliye main ghar waapas ja rahi hu."Ashok said,"Agar tumhe apni galti ka ehsaas ho gaya hai to main ab iske baare mein aur koi baat nehi karna chahta.Par main tujhe khud jaaunga tere ghar chorne ke liye,kyuki tere saath saath galtiya to mujhse bhi hui hai."He called the servants and asked them to put all the luggages in the car and then left with Nupur from there.

All the SF except Mayank were sitting together and having breakfast.Mayank was awake almost whole night and so no one tried to wake him up.When Nupur arrived,on seeing her,there was no limits of happiness for everyone.All ran to receive her.Maadhvi hugged her and said,"Tu aa gayi beta??Bohot achcha kiya tune.Hum to ummeed hi chor chuke the,khair ab kabhi bhi ye ghar chor kar mat jaana."Payal took Rahul from Nupur and said,"Mere bachcho ko khelne ke liye ek aur bhai mil gaya."Nupur joined her hands in front o everyone and said,"Main aap sab se maafi maangna chahti hu.Meri zidd ke vajah se aap sabko bohot beizzat hona para hai.Please mujhe maaf kar dijiye."Ashok said,"Gunehgaar to main bhi hu asal mein mujhe pata nehi tha ke Nupur ko shaadi se pehle se hi contract marriage ke baare mein pata tha.Pata nehi maine gusse mein aap logo ko kya kya keh diya."Shekhar said,"Arey nehi bhaisaab aap kaisi baate kar rahe hai.Aap beti ke baap hai,aapki jagah main bhi hota to main bhi yahi karta."Maadhvi replied,"Mitti paao ji in sab baato par.Raat gayi baat gayi!!Meri bahu aur mera pota ghar waapas aa gaya bas mujhe aur kuch nehi chahiye.Ab tum dono ko jitna jhagarna hai jhagro par is ghar ko chorkar kabhi mat jaana."Nupur nodded her head.Payal gave Rahul to Nupur and then said,"Ja jaakar Mayank ko utha.Tum dono ko dekh kar vo bohot khush ho jaayega."Nupur left with her son towards her room.

When Nupur reached her room,she found that Mayank was in a deep sleep.She went towards him and softly put the baby on the bed and then put Mayank's hand over him and waited for him to wake up.While sleeping,Mayank felt something moving under his hand and when he slowly opened his eyes,he found his son.It took a few seconds for him to understand that he was actually not dreaming.He jumped up on the bed and then took Rahul in his arms and then rained kisses on him and then with a jerk he looked forward and found Nupur standing there.He put the baby back on the bed and then went to her.He asked,"Ye sapna hai ya haqeeqat??Tum sach mein ghar waapas aa gayi?"Nupur replied,"Iam sorry Mayank,I know I have hurt you,uswaqt main bohot gusse mein thi isliye mujhe samajhme nehi aaya ke main kya kar rahi hu isiliye main..."He put his finger on her lips and then said,"Koi explanation dene ki zarurat nehi hai.Tum waapas aa gayi bas mere liye itna hi kaafi hai.Ab just promise karo ke tum mujhe chor kar nehi jaaogi aur agar gussa aaye to haath mein jo pareusey utha kar maar dena but kabhi chali mat jaana."Nupur hugged him and wept and said,"I love you Mayank!!"He too hugged her back and said,"I love you too."They bothe finally reconciled.

CHAPTER - 41

Edited by -Paulomi- - 10 years ago
Priya258 thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 4
Posted: 10 years ago
Awesome.chalo sab thik ho gaya 😉
Edited by Priya258 - 10 years ago
-Paulomi- thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago

Originally posted by: Priya258

Awesome.chalo sab thik ho gaya 😉


thanks

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".