Yesterday,s epi was good or ketan or shivangi ki acting ke bare me kya kahoon both were both were Brilliant dono ke Expressions voice modulation sab kuch perfect tha I wish makers inke talent ko sahi tarah se use karte but ab kya ho sakta hai
But Friday ke epi me mujhe amma ne jaise esha ke sath react kiya thoda dramatic laga bcs amma ko pata bhi nahi tha ke pallavi or raghav me kis baat ko lekar problem hui hai or wo ye bhi nahi jante the ke pallavi naraz hokar ghar se gayi hai I mean farhad ne sirf itna kaha tha ke raghav ne pallavi ko dhundne ke liye kaha hai but ye nahi kaha tha ke dono me fight hui hai to koi bhi reason ho sakta tha pallavi ke jane ka wo kisi kaam se bhi ja sakti thi but keerti ne jab esha ka naam liya to amma directly conclusion par pahunch gayi ke esha hi reason hai jab ke ek din pehle khud amma ne esha ko roka tha rr mansion me so dont understand her behavior
Or raghav ki statement sab ke samne continuously change hoti rehti hai pehle kaha pallavi ko imagine karke mistake hui phir keerti ko kaha emotional ho gaye the pallavi ko kaha differences dur ho gaye the isliye bhavnao me beh gaye or ab kaha control nahi raha isliye aage badh gaya sach me pta nahi writers pehle ke dialogues bhul jate hain ya koi or reason hai
Phir esha ne amma ko jo apni story batayi uske acc raghav ke father or bro ki death raghav or esha ke breakup ke baad hui thi jab ki raghav ne pallavi ko bataya tha ke he was 17 years old jab wo krishna rao wala incident hua or tab aaj wala raghav nahi tha jab amma uski pic dekh rahi thi but esha ki story raghav ki batayi past story se completely diff hai writers ne raghav ki past story ko bhi barbad kar diya
Then jis situation me pallavi ghar se gayi thi sach janne ke baad raghav ne use dhundne ke liye zyada efforts kiye hi nahi thode time baad ghar wapis a gaya aisa kaun karta hai ? Atleast d house to ja sakta tha ya police me complaint kar sakta tha but nothing
Show ka end ho raha hai atleast ab to cvs in baton ka dhyan rakh le but lagta hai end tak ye hi dekhne ko milega