Binti sunlo morey Brij Bihari,
Prithvi ho gayi hai ab Trahi Trahi |
Dharm toh sabhi chun rahe hai apna vibhinn,
Karm nahi koi samjhta saccha apna lekin |
Prithvi ke ek tukde ke liye har roz hota hai maha yuddha yahan par,
van-van, jan-jan jal rahe hai, prati din yahan par |
Cheer sambhaalaa tha Yagyaseni ka kisi din aapne,
Ab toh har naari ka cheer hai kisi drushta ke haath mein |
Jis samaaj ko samjhaaya aapne geeta saar,
Wohi samaaj ab maan raha hai usey mithya aur bekaar |
Raaj paath hai ab adharmiyo ke haath mein,
Dharti ro rahi apne har ek swaas mein |
Ab toh aa jaao phir se O Murli Manohar,
Pattharo mein khoj rahe hai bhakt aapko har pal ||
Bas nahi jiya jaata Pruthvi par ab,
Nahi kisiko parvaah yaha prani, pashu ya manushya gan ki,
Ab bas aa jaao, karlo naash aur vidhwans, bankar kalki , bankar kalki , bankar kalki ||
Thanks for reading 😊
*Please note that this is Copyright Protected :)*
Edited by lovesunshine - 11 years ago