Part 24
Madhu yawned as she woke up. The door bell was constantly ringing. Frowning she got up and went to the main door. "Itni raat ko kaun ho sakta hai? " Since the door had no peepholes, she slowly opened the door and peeked out, only to find a heavily drunk RK leaning on it and thus making the door open fully wide.
Since RK was leaning on the door and the door moved due to his weight, he ultimately stumbled and was about to fall down if Madhu had not caught him on time. He looked up at her and smiled sweetly adn innocently which made Madhu's heart melt. He spoke in a drunkn voice, "Home sweet home..."
M- RK, yeh kya halat bana ke rakhi hai tumne apni?? Aur for your kind information yeh tumhara nahi mera ghar hai...aur tumhe yahaan ka address mila bhi kaise??
RK- Madhu, tumhara address nikalna mere liye koi bari baat to hai nahi...aur ghar tumhara hai to kya hua?? Mere liye to jahaan tum ho wahi mera ghar hai...mujhe andar bithaogi nahi? Mere pair mein thodi si chot lagi hai...
He made a puppy face and showed his wound to Madhu which was bleeding badly. At once Madhu made him sit on the sofa, "Yeh chot kaise lagi???Kya karte rehte ho tum haan?? Aur tumne ab tak mujhe nahi bataya ki tum itni raat ko yaha kyun aaye ho...aur tum aaye bhi kaise? Don't tell me ki tumne iss halat mein drive kiya?"
He flashed a big smile and shook his head. Madhu glared at him and started to clean up his wound, "Yeh chot kasi lagi?"
RK- Ek bottle toot gayi aur kach chubh gaya...
M- Tumhara kuch nahi ho sakta...yehi karte ho apni poori zindagi, sharaab piyo, nashe mein raho..aj pair mein chot lagi hai, kal chat se kud jaoge...yehi karte ho bas..
RK- Ab gussa mat karo (holds her hand) mujhe tumse kuch kehna hai...
M- (tries to free her hand) ab kya kehna hai? Jab se yaha aaye ho kuch na kuch to keh hi rahe ho...kyun aaye ho yaha??
RK- chilla kyun rahi ho mujhpe??? Itna daanton mat mujhe...
M- Nahi nahi bilkul nahi...mujhe to tumhari pooja karni chahiye...
RK- CHUP!! Boho tbolti ho...ab meri baat dhyan se suno...I am sorry...
M- (surprised at his words) Kya??
RK- Madhu meri baat ab dhyan se suno..Main nahi jaanta ki main tumse kis muh se maafi maangoon, aur kitne baaton ke liye sorry kahoon, itna galat kiya hai ki sorry kehna unke liye kaafi ho hi nahi sakta...shayad main mar jaoon to meri galtiyon ki maafi mujhe mile...Madhu maine tumse bohot saare jhooth bole hai.. pehla jhooth yeh bola ki maine tumse kabhi pyaar kiya hi nahi...huh..kiya...bohot kiya..itna kiya ki ek actor hone ke bawajood woh tumhe meri aankhon mein dikha...itna kiya ki darr gaya kahi tum bhi mujhe baki sab ki tarah dhokha na de jao, har uss insaan ki tarah jisse maine pyar kiya kahi tum bhi mera dil na tod do iss khayal ne mujhe...nahi RK ko itna pagal bana diya ki usne Rishabh's ke pyaar ko hi maar dala aur tumhe dard pohonchakar apne dard ko mitana chaha...
Madhu listened to him aptly, shocked with his confessions. He continued, "Meri baatein sunkar aaisa lag raha hai na ki sharaab peeke bakwaas kar raha hoon?? Lekin aaisa nahi hai, aaj main jo kuch keh raha hoon woh sab mere dil ki baatein hai, woh dil jiske baare mein main khud hi nahi jaanta tha par tumne mujhe uske hone ka ehsaas dilaya...Madhu main RK bante bante Rishabh ko kaha kho dala tha yeh mujhe khud nahi pata...lekin yeh zaroor pata hai ki usko maine wapas kaise paya hai..tumne mujhe usse dilaya.. aur ab jab mujhe Rishabh mil gaya main usse firse khona nahi chahta...Madhu aaj Rishabh tumse maafi maangna chahta hai..apne har galti ki, har gunaah ki...tumhe dard pohonchaane ke liye, tumhara dil todne ke liye, tumhe bar bar jakhm dene ke liye...mujhe maaf kar do Madhu..."
Madhu was looking down. She slowly spoke in a broken voice, "Mana tumhare saath bhi galat hua hai, par meri kya galti thi? Mujhe kyun itna sehna pada?" RK held her hand, "Tumhari koi galti nahi thi Madhu, tum to sahi kar rahi thi...mere dard ko kam karne mein tumne khud dard le liya...mujhe laga tumhe dard dekar khush rahoonga, par pata hai tumhare har dard ne mujhe dugna dard diya, aur iss baat ne mujhe aur pagal banaya ki kyun, kyun mujhe tumhare dard se dard hota hai...tum mere paas nahi hoti na to lagta jaise main adhoora hoon, kahi kuch kami hai mujhmein...tumhe ek raaz ki baat bataoon? Jab maa ne mujhse kaha tha ki main tumse film karvaoon, tab main bohot khush tha, kyunki uss waqt mere dimaag ek hi baat aayi ki tum mere saath film karogi tumhare saath main bohot waqt aur bita paunga...and tumhe zabardasti iss industry mein dhakela bhi maine issiliye, taaki tum kabhi mujhse dur na jao, iss industry mein rehke hi sahi tum mer paas raho..."
Madhu looked at him with tears in her eyes. RK raised his hand and wiped them, "Please mat rona, maine pehle hi tumhe bohot rulaya, ab aur nahi...Madhu.. aj jab tumne mujhe sirf apna pehla co star aur producer kaha, aur apna pati nahi, tab mere andar kuch toot gaya.. kuch khatam ho gaya... firse darr gaya main ki kahi main tumhe humesha ke liye na kho doon, tabhi to aaj tumhe yeh saari baatein batana mere liye zaroori tha... "
M- Tumne mujhse aur kya kya jhooth bole??
RK- Yeh jhoth kaha ki main tumse nafrat karta hoon...Rishabh ko tumse pyaar karne se fursat mile tab na tumhe nafrat karne ki soche woh...yeh jhooth bola ki main tumhare bagair khush hoon...tum to meri aadat, meri zaroorat ban gayi ho...
M- Yeh baatein tumhe sharaab peekar hi batani thi kya? Couldn't you be sober??
RK- Sorry, par kya karoon, itna akela ho gaya hoon ki sharaab ke alava aur koi mera saath hi nahi deta...agar sober rehta to shayad kabhi tumse apne dil ki baat kehne ki himmat nahi hoti...RK hai na, who kabhi Rishabh ko bolne ka mauka hi deta...
M- Aur kya??
RK- Madhu, main tumse maafi maangna chahta hoon apni har galti ke liye, har uss dard aur dukh ke liye jo tumhe diya hai...maafi bohot hi chota shabh hai...par main sach mein apni galtiyon ko sudharna chahta hoon...aur inhe sudharne mein sirf tum meri madad kar sakti ho...kya please mujhe maafi milegi???
Madhu looked at RK's face, there was genuine remorse for his deeds. She had never seen RK so vulnerable, today he really spoke his heart out, unlike RK, he threw away his ego and accepted his mistakes, seems like he truly reformed himself into Rishabh. She searched in her heart, did she really hated him for his deeds?? A weak smile formed on her lips and she spoke, "Maine to tumhe bohot pehle hi maaf ka diya tha..." RK looked at her in shock, "Kyun??"
A faint smile formed on Madhu's lips, "Pata nahi RK, shayad isliye kyunki main aaj bhi tumse pyaar karti hoon...ya fir shayad isliye ki mujhe andar hi andar pata tha kit um mujhse pyaar karte ho...ya fir shayad isliye ki mujhe yeh pata tha kit um bhi mujhse alag hone ke dard se guzar rahe ho jaise main tumse dur hone par tadap rahi thi..." A tear escaped RK's eye which surprised Madhu, "RK..."
"Ssshhh... Kuch mat kaho..jaanta hoon kya puchogi, jawab yehi hai ki main bhi thak gaya hoon RK bante bante...jeena hi bhool gaya hoon main...RK ne mujhe poori tarah barbaad kar diya...itna barbaad kar diya ki maine apni sabse keemti cheez ko bhi kho dala, tumhe kho dala maine...aur ab tum mujhse nafrat karti ho.."
Madhu cupped his face, "RK, tumne aaj mujhe apne dil ki saari baatein batai na...main bhi tumse apne dil kil bataoon? Maine kabhi bhi tumse nafrat nahi kiya tha..main tumse naraaz thi, bohot bohot naraaz...kyunki mujhe bohot bura laga tha jo kuch bhi humare beech hua uske wajah se...par sach keh rahi hoon main kehti to rahi tumse ki nafrat karti hoon par sach mein nafrat kiya nahi..."
RK looked up with a glow, "Sach?? To kya tumne mujhe sach mein meri har galti ke liye maaf kar diya Madhu??" Madhu smiled, "Haan...kar diya..ab chalo main Bittujee ko phone lagati hoon, woh tumhe ghar le jayenge..."
RK- Nahi...unhe phone mat karo..tumhe maine kaha tha na ki mujhe tumhare bina neend nahi aati...itne dino se main thik se so nahi paya...aaj mujhe chain se sone do na Mahdu.."
Madhu hesitated for a while then took him to the bathroom. Slowly she washed his face and then took him to her bedroom. Making him lie ont he bed she patted his head, "Tum yaha so jao main paas wale kamre mein hi hoon, kisi cheez ki zaroorat ho t..."
RK- Nahi nahi...tum yehi mere paas so jao...please mujhe akele mat choro ...
M- Par Rk...
RK- Please Madhu...yeh lo main yeh pillow wall bana deta hoon (he puts the pillows in between them) yeh lo ab please yehi so jao madhu...Please...
Madhu couldn't resist the puppy face he made. Giving in she lied on the other side and switched off the lights except one. RK gently took one hand of hers and held it while slowly getting into deep sleep. But Madhu couldn't sleep at all. The whole night she replayed RK's confession with tears in her eyes that finally he admitted his love for her. She was afraid that once again he would forget whatever happened between them last night once he becomes sober but for her this was more than enough that he truly confessed that he loved her. A sudden thought occured in Madhu's mind, what if he remembers everything that happened? Would he accept his love completely or deny it? Would he want her back in his life or not? If he wants her back, would she be able to go back to him? Would she be able to trust him again?
Precap : RK gets up and doesn't find Madhu..
1