dheeme paon se
jaane kis tarah, kis ghadi
aage badh gaye
humse rahon mein
par tum to abhi thhe yehin
kucch bhi na suna
kab ka thha gila
kaise keh diya alvida
jinke darmiyan
guzri thhi abhi
kal tak yeh meri zindagi
lo un bahon ko
thandi chhaon ko
hum bhi kar chale alvida
alvida, alvida
meri rahein alvida
meri saansein kehti hain
alvida
alvida, alvida
ab kehna aur kya
jab tuune keh diya
alvida
sunle bekhabar
kyun aankhen pher kar
aaj tu chali jaa
dhundegi nazar hum ko hi magar
har jagah
aisi raaton mein
le ke karwatein
yaad humein karna
aur phir haarkar kehna kyon magar
keh diya
alvida, alvida
koi pooche to zara
kya socha aur kaha
alvida
alvida, alvida
ab kehna aur kya
jab tuune keh diya
alvida
hum thhe dil jale
phir bhi dil kahe
kash mere sang aaj hote tum agar
hoti har dagar gulsita
tum se hai khafa
hum naraz hain
dil hai pareshan socha na suna
tune kyon bhala keh diya
alvida, alvida
koi pooche to zara
kya socha aur kaha
alvida
alvida, alvida
ab kehna aur kya
jab tuune keh diya
alvida
(oo HOO)
alvida, alvida
alvida
kyon socha aur kaha
alvida
lo un bahon ko
thandi chhaon ko
hum bhi kar chale
alvida