sherry: naina plz RK ki baat ka bura mat lagana woh aisa hi hai
naina: of course not i know he was joking. tunm batao kaha ghum kar aa rahi ho
sherry: hum ice cream khane gaye the pata hai main aur RK hamesha long drive par jaate hai. RK k saath time ka pata hi nahin chalta hai.
naina:kal hamari drill hai ab so jao waranarahul kato pata nahin par bc tumhe zarur long drive par le jaayega.
sherry: naina ek baat kahu.
naina: bol na
sherry: rajveer ko kya huaa tha i mean tum sab lagata hai use bahot pasand karate the kya woh bilkul RK ki tarah dikhta tha
naina: rajveer sir ki wajah se hi main aaj kma main hoo balki hum sab sirf unki wajah se hi kma main hai .
sherry: i think woh tum sab ke teacher kam aur friend jayada the.
naina: aur kisi ka to pata nahin par meri woh zindagi the. i mean woh meri life main bahot mayane rakhte the.
next morning
saare mess main naina ka wait kar rahe hai aur apne apne idea discuss kar rahe hai
hooda: kya socha tum sab ne raat ko koi idea mila kya?
ali: hamari maane to hume rahil k saamane desh ki baati karani chahiye
aalekh: pagal ho gaya hai , tujhe pata nahin woh to pehale hi army par gussa ho raha tha.
hooda: abe hum aisa karate hai yaad hai raj sir joging karate the hum rahul ko joging karvayege.
yudi: achha to hum subah uske hotel jaayege aur use kahege rahul chalo daud kar aate hai , hooda tu ja yaar aise bakawas idea mat la.
aalekh: naina aa gayi chalo usse hi puchte hai.
naina: sorry main todi late ho gayi , to kya tumne kuch socha.
pooja: naina in sab k to mobile jam hai tu meri baat sun , rajveer sir ko filmi gaane ya to filmo k baare main kuch pata nahin tha.
naina: tu aise kyun bol rahi hai
pooja: mujhe pata hai unhone ek baar mujhe kha tha woh films nahin dekhte . to kyun na hum unke saath antaakshri khele.
hooda: wah baat to sahi hai yaad hai humne ek baar kma main antaakshri kheli thi tab unhe gaane bilkul nahin aate the
naina: par hum yeh kaise karege.
pooja: woh tum mujh par chod do bas hum sherry k saath hotel jayege to main waha sab set karlugi.
aalekh: naina tu jayada soch mat sab ho jayega.
yudi: hey sherry bhi aa gayi .
sherry: good morning , tum mera wait kar rahe the
hooda: nahin hum to priyanka chopra ka wait kar rahe hai.
sherry: very funny.
pooja: sherry aaj to kma main kuch bhi kaam nahin hai hum sab bahar jaaye par kaha yeh samajh nahin aa raha hai.
sherry: tum sab mere saath rahul k paas chalo ,rahul se mil bhi lege aur baate bhi ho jayegi
ali: hum sab chalege. sherry
saare apne plan ko lekar khush hote hai aur sherry k saath rahul k hotel main jaate hai
rahul room ka darawaza kholta hai aur sab ko sherry k saath dekhta hai
rahul: kya baat hai aaj sab ek saath kya phir meri remand hone wali hai
sherry: nahin aaj hum sab kma main bore ho rahe the to humne socha ki
rahul:to mujhe bore kare right come on in
hooda: aap na chahe to hum chale jaate hai
rahul: bilkul nahin waise bhi sherry aa gayi to sab accha hai
rahul naina ko dekhta hai
rahul: are aap bhi aayi hai miss jasoos
naina: jasoos
rahul: ha kal raat ko aap jo khidaki par thi maine aap ko dekha tha.
naina: aap to sherry ke saath the phir mujhe dekhne ki kya zarurat
rahul: aap ko baate karani bahot aati hai
naina: aur aapko chupani
sherry: oh no tum dono phir suru ho gaye
rahul: hum to sirf hi hello kar rahe hai
sherry: agar yeh hi hello hai to na jane baate kaisi hogi
saare rahul k kamare main hai par ab woh antaakshri kaise suru kare yeh soch rahe hai tabhi pooja kuch boltai hai
pooja: guys chalo kuch game khelate hai
sherry: par kounsi
rahul: antaakshri khele.
sherry: no way tum hamesha jeet jate ho mujhe nahin khelani.
naina aur saare yeh baat sunte hai
hooda: abe yeh to antaakshri ka champ hai
aalekh: khelane main kyaa jaata hai ek baar dekh lete hai
pooja: lagata hamara yeh plan fail hai
rahul: aap log aapas main kya baat kar rahe hai hume bhi to pata chale
yudi: hum game k baare main baat kar rahe hai hum koi normal antaakshri nahin khelege
sherry: matalab
hooda: main batata hoo yaha do team hogi aur ek team ka member ek gana gayega uske jawab main dusari team ka member gayega.par yaha ek twist hai
agar team A ka gana team B ne bhi galiya to woh out ho jayegi
aalekh: bole to
hooda: bole to main jo gana naina k liyegaya agar naina ne bhi mere saath wohi gana ga liya to naina out
rahul: main samajh gaya
sherry: RK ,hooda pooja aur yudi tum ek team main aur main naina ali aur aalekh dusari team main