Alekh (for Naina):-
Ye dosti chirag hai ise jalaye rakhna,
Ye dosti gul hai ise khilaye rakhna,
Hum rahe na rahen is jahan mein
Bas hamari yaad dil mein basaye rakhna.
Phool khushboo ke liye,
Pyar zindagi ke liye,
Hum kya jaan bhi meri,
Mere hisse ke khushiyan sari,
Dost sirf tumhare liye.
Naina(for Alekh):-
Khushnaseeb hain hum ki mile aap mujhe,
Tanha zindagi ki safar mein mila saathi anmol mujhe,
Gham ke baadalon ne kabhi gher rakha tha mujhe,
Ab badalon ko cheer ke bhi suraj deti hai roshni mujhe,
Ae dost kismat mein mere iss se pehle itni khushi kabhi na thi,
Aap ne saath humara deke dard ko bhulana sikha diya mujhe.
Thoda socha hai humne ... thoda jaana hai humne... Mushkil se magar pehchana hai humne... Koi aap jaisa na tha na hoga... isliye dost aapko mana hai humne.
Huda(for Naina):-
Tum banke dost aise aye zindagi me,
Ke hum ye zamana hi bhool gaye,
Tumhe yaad aye na aye hamari kabhi,
Par hum to tumhe bhulana hi bhool gaye.
Class ki har ladki ek phool hai,
Usse chahna ek bhool hai.
Jo inki soch mein gul hai,
Samjho uski Compartmental ke chances full hai..