
MuJhe tum kabhi bhi bhula na sakoge
Na jaane muJhe kyoon yakiN ho chala hai
Mere pyaar ko tum mitaa na sakoge
Kabhi naam baatoN mein aaya jo mera
To bechain ho hoke dil thaam loge
Nigahon mein chaayega gham ka andhera
Kisi ne jo poocha sabab aansuoN ka
Bataana bhi chaaho bata na sakoge
Kabhi nagma banke kabhi banke aansoo
Tadapta muJhe har taraf paaoge tum
Shama jo jalaayi hai meri wafa ne
Bujhaana bhi chaaho bujha na sakoge
MuJhe tum nazar se gira to rahe ho
MuJhe tum kabhi bhi bhula na sakoge