Hi, everyone.
Actually hum hamare ghar me picchale 31 saal se janmashtami celebrate kar rahe hai jisme mere papa, main aur unke do friends hum sab milkar Krishna bhagvaan ne apne jivan me jo ghatana ghati hai usse drawing karte hai phir us scene ko movement dete hai aur aise ek scene create karte hai aur phir Janmashtami ke din pehle krishna ki moorti ki pooja karke sham ko 7 baje mandap me rakhkar us mandap ko band kar dete hai aur phir hamare relatives, neighbours aur friends raat 9 baje ke baad hamare ghar aate hai, hum pehle bhajan gaate hai aur phir dhoon karte hai aur baad me raat ke 12 baje jab Dvarika me Krishna janm hota hai tab hamare ghar me jo mandap hota hai usse kholkar sab Nand ghera nand bhayo gaakar utsav manate hai, jisme hum gulal-Kumkum sab udate hai, thali aur bailan se aur dholak bajate hai phir bhagvaan ki aarti karte hai aur sab darshan karke ekdoosre par rang lagate hai, baad me garba gaate hai aur raat ke 3-4 baje tak ye jashna chalta hai, doosre din sham ko hamare ghar ke bahar matki lagayi jaati hai, aur usse hamare ghar ka ek sadsya phodta hai uske bad ye decoration utha lete hai aur jashn khatm hota hai, isbaar hamare ghar me jo scene tha usme Bhagvaan Krishna Vidur yani Duryodhana ke chacha ke ghar jab khane ke liye jaate hai tab unki patni bhagvaan ke aane me apni sudhbudh bhoolkar khane me banana yni ke kele ki bajaye uske chhilke ko bhagvaan ko deti hai aur bhagvaan kha lete hai ye banaya tha usme humne ek real banana ko chilke ko utarkar rakkha tha, hum jab kele ka chhilka utarkar 1 ghanta bhi aise chhod de to woh kala pad jaayega magar yahan jo kela humne rakkha jiska chhilka Janmashtani ke din sham 7 baje utar diya tha woh doosre din sham ke 7 baje tak humne rakkha phir bhi uska rang nahi bigda woh vaisa hi tha main Science ki student hoon in sab bato ko main janti hoon magar ye kela 24 ghante raha magar usme koi fark nahi aaya ye sabit karta hai ki bhagvaan hai aur woh wahan maujood the jisse uska rang nahi gaya aur ye or kuch nahi ek chamatkar hai, magic hai, bhagvaan ka, kyon? Aap kya kehte ho? Aap ki comments dijiye aur aap kya sochte hai woh bhi likhiye bhagvaan se baare me apni ray bataiye.