i know i am v. much late in doing this, but i had some probs earlier, so cudn't do it, although i had prepared it a few days before 😳
here's a poem, from me to Hussain , it's all about what i feel for him 😳 😳
Hussain ke husn ne kiya hai paagal ,,,, uski muskuraahat ne machaayi hai dil mein hulchul
uski ek jhalak paane ko rehta hai ye dil bekaraar ,,,, shaayad isi ko kehte hain pyaar
dekha hai use kai roop, kai rangon mein ,,,, chaahaa hai use chaahat ke kai dhangon mein
kabhi Dinesh, kabhi Dhruv, kabhi Chirah banke hai vo aaya** ,,,, par apne har roop mein usne andhkaar ko hai mitaayaa
fir aayee Sumit ki aisi lehar ,,,, ki waqt hi gaya thehar
ye waqt hai aaj bhi ruka hua ,,,, uske kadmon mein hai ye aasmaan bhi jhuka hua
ab dekhti hoon main use naachte, ghoomte ,,,, uski hi tarangon par mere kadam bhi hain jhoomte
uski har baat mein chaaya hai aisa jadoo ,,,, ki dil baar baar ho jaaye bekaabu
kaise samjhaaoon is dil ko jo maanne ko nahi hai taiyyaar ,,,, kehta hai ki nahi hai use bhoolne ke koi bhi aasaar
mushkil hai is dil ko samjhaana toh kya hua ,,,, naamumkin hai use paana toh kya hua
kam nahi hota isse mera pyaar ,,,, aaj bhi mera dil sirf usi ke liye hai bekaraar
uske hothon par aayi uske dil ki baat ,,,, mil gaya use apne humdum ka saath
is sath se duniya ki har khushi use mil gayi ,,,, aur uski khushi se meri zindagi khil gayi
saat janmon ke liye vo rahe kisi aur ka ye hai mujhe manzoor ,,,, par aathwe janam mein nahi rehna chaahti main usse door
par dekha kisne hai aane waala kal ,,,, zindagi jeene ke liye toh kaafi hai bas ek pal
inhi palon ne milkar banaaya uski jeevan ka ek saal ,,,, inhi palon mein chhipi hui hai uski sur aur taal
ab to upar waale se maangti hoon bas yahi dua ,,,, ki ab tak chaahe jo bhi hua
ab nahi karna uski khushiyon ko kam ,,,, uski zindagi mein jo bhi aayein, mujhe de dena vo sab gam
(**he played Dinesh in aashirwaad, Dhruv in kanyaadaan & chirag in kyunki, & all 3 words have similiar meanings in hindi, Dinesh means sun, sun spreads light evrywhere, Dhruv is the name of a star, stars again spread light & Chirag means an oil lamp, which is again meant for the removal of darkness 😃 😃 😃...................c even the names given to Hussain have special meanings 😃 😉 😛 )