Previously : Sumit and Kumkum fight regarding Nidhi's injury, finally Sumit realises his mistake.
SCENE 15
Sumit is about to go to the medical aid room, when somebody keeps a hand on his shoulder and holds him back. He turns around and finds Jatin there.
Sumit : Bhaiiyyaa aap yahan??? aapka lecture nahi hai kya??
Jatin : tum bhi toh yahan ho......tumhara lecture nahi hai kya??
Sumit : nahi bhaiyya.....voh main....
Jatin : Kumkum se ladh kar aaye ho??
Sumit is surprised on hearing this from Jatin.
Jatin : bolo...ussi se ladh ke aaye ho naa??
Sumit : bhaiyyaa.......aapko kaise pataa??
Jatin : mujhe kaise pataa ye important nahi hai Sumit.......important hai ye ki tum ne ladhaai kyun kii??
Sumit : bhaiyyaa.....voh main....
Jatin : dekho Sumit, vajah tum bhi achhi tarah se jaante ho aur main bhi...... maine toh tumhe pehle hi kaha tha .......manaa kiya tha naa maine ye sab karne ke liye??
Sumit is silent.
Jatin : aisa nahi hai ki main uss ladhki ki tarafdaari kar raha hoon......tum mere chhote bhai ho Sumit......tumhe sahi galat ka fark samjhaana mera farz hai....uss ladki se tumhari jis bhi baat par ladhaai hui ho.....lekin iss tarah do doston ko alag karna kya theek hai??......aur voh bhi itne pakke doston ko???......tum khud socho....agar tumhe koi tumhare best friends se alag kar de toh......kaisa lagega tumhe???
Sumit : bahut taqleef hogi bhaiyyaa......aur mujhe iss taqleef ka ehsaas bhi ho gaya hai.....issliye toh main un dono se maafi maang ne jaa raha hoon....
Jatin : mujhe khushi hai ki tumhe jaldi hi apni galti ki pehchaan ho gayi.......tum jaa kar Kumkum aur Nidhi se baat karo.....aur main ghar jaa kar Ash aur Rach ko bataata hoon ki unke plan ki vajah se kya hua....
Sumit nods and moves towards the college building, while jatin moves towards the gate. He reaches the medical aid room, gathers courage to go in and finally opens the door. There he sees Nidhi standing in the room and Kumkum examining her hand, both crying continuously.
Kumkum : bahut dard ho raha hai....
Nidhi : nahi zyada nahi hai....
Kumkum : kya zyada nahi hai.......mujhe nazar aa raha hai....
Nidhi : kya nazar aa raha hai......kahaa naa zyada dard nahi hai.....aur agar hai bhi toh meri apni galti ki vajah se hai....
Kumkum : iss mein teri kya galti hai.....saara kasoor toh mera hai....
Nidhi : paaglon jaisi baatein matt kar.....meri galti hai.....
Kumkum : bakwaas band kar......meri galti hai.....
Nidhi : kaha naa.....meri galti hai....
Kumkum : maine bhi kaha naa..........meri galti hai.....
Sumit : aap dono mein se kisi ki galti nahi hai...........saari galti meri hai....
Both Kumkum and Nidhi look towards the gate and find Sumit standing there.
Kumkum : tum???.............tum kyun aaye ho yahan??........abhi aur kuch baaki hai kya???
Sumit : main tum dono se maafi maangne aaya hoon....
Nidhi : maafi???
Sumit : haan maafi......tum dono se......jo kuch bhi maine tumhare saath kiya uske liye.....
Kumkum : bandh karo apna ye natak........tum kya ho, ye hum dono ab achhi tarah se jaan gaye hain......tumhe ye dhong karne ki koi zaroorat nahi hai.......
Sumit : main koi natak......koi dhong nahi kar raha hoon........main sach mein tum dono se maafi maangne aaya hoon.....
Kumkum : tumne kya hume bevkoof samajh rakha hai.........jo hum tumhare in magarmachh ke aansuon par yakeen kar lenge....
Sumit : aisi koi baat nahi hai........tum mujhe galat samajh raih ho....
Kumkum : jee nahi...............main tumhe bilkul sahi samajh rahi hoon......tumhara asli roop ab meri aankhon ke saamne aa gaya hai.......ab tum humein aur jhooth mein nahi fasaa sakte...
Sumit : lekin main koi jhooth nahi bol raha.......
Kumkum : main tumhe....
Nidhi interrupts her.
Nidhi : ek minute Kumkum.............ab tak jo bhi isne kiya........voh mujhe pehle se hi pata chal chuka tha.......main agar chup thi toh sirf issliye kyunki main jaan na chahti thi ki Sumit aakhir karna kya chahta hai....
Kumkum : agar tu sab kuch jaanti thi toh ab kyun iss ki baatein sun rahi hai.....tujhe pata hai na isne hamare saath kya kiya hai....
Nidhi : haam mujhe pata hai....lekin abhi mujhe iski aankhon mein sachaaii nazar aa rahi hai.......
Kumkum : kyaaaaaaa???????
Nidhi : haan Kumkum, mujhe lag raha hai Sumit jo kuch bhi bol raha hai.......bilkul sach bol raha hai......(to Sumit) kya kehna chahte ho tum Sumit??
Sumit : thanks Nidhi....mujhe samajhne ke liye.....main toh yahan sirf tum dono se maafi maangne aaya hoon.....man jaanta hoon ki meri vajah se tum dono ke beech mein ladhaai hui.....tumhe ek doosre se alag rehna padha......i am really really sorry....
Nidhi : mujhe ye dekh kar bahut achha lag raha hai ki tumhe apni galti ka ehsaas ho gaya hai......lekin ek baat tum bhi yaad rakhna Sumit......ki Kumkum aur Nidhi ki dosti itni kachhi nahi hai jo yun hi toot jaaye......bachpan ke saathi hain hum....humein alag karna mushkil hi nahi, naamumkin hai.....
Sumit : ye toh main achhi tarah se samajh gaya hoon..........toh kya kehna hai....friends???
Sumit brings his hands forward. Nidhi thinks for a while and then shakes his hand, giving a big smile.
Nidhi : ermmm........friends!!!!
Kumkum : kyaaaaa????????? tera dimaag kharaab ho gaya hai.......frndship.......is chhachhundar se.....kabhi nahi.....
Sumit looks towards Nidhi, she motions him to go away right now.
Nidhi (to Sumit) : abhi tum yahan se jaao.....Kumkum gusse mein hai......main usse samjhaa doongi baad mein....lekin suno....iss baar plzz aisa kuch mat karna...
Sumit : I promise......iss baar aisa kuch bhi nahi hoga.....
Both Nidhi and Sumit smile at each other and then he leaves.
Nidhi (to herself) : ab sabse mushkil kaam..........Kumkum ko manaane ka...usseye yakeen dilaane ka ki Sumit utna bura bhi nahi hai....
Edited by nature - 18 years ago