Ek Raja tha. Wo apne kile main bandh rehta tha. Bachpan main yeh kahani humne khoob suni thi. Phir Ek din uske khidki pe ek titli ne dera jamaya.
Raja bola: Mujhe tumse kuchh bhi na chahiye, mujhe mere haal pe chhod do...
Titli boli: dil-vil pyar vyar main kya janoo re...janu to janu bas itna ki main tujhe apna manoo re...
aur hansna sikhaya...jeena sikhaya etc etc etc.Raja ko titli se pyaar hogaya aur hamara serial shuru.
Pyaar hua chupke se? Wo bhi kaise? Bina haath lagaye. Mobile phones ke through. Ab mobile phones ka isse badhiya use kahin aur nahi dekha. Faayada hua to best unka. Phir audience ne bola, thoda kareeb jayiye apni GF ke to Raja bola: No idea! BD use kiye to hum bole, No Ullu Banaooing! GF ko koi Chhut ki bimari thi kya? Itni ki engagement ke ek din pehle bhi nahi gayi...Khair shaadi to hogayi.
Waise yeh hain bade handsome. Itne ki meri 80 yrs Daadi bhi apne dantheen muh se laar tapkaati rahi. Ek din boli, Ladka achha hain. Iski shaadi hogayi hain kya?
Inke ek smile pe sabki dil ki dhadkane tez, ulti-pulti ki kya kahe. Cardiac arrhythmia with ventricular gallop, with the associated hyperventilation and mydriasis. Matlab prem rog ke sabhi lakshan. Ek gazal yun thi: Dil ki dhadkan ke isharaat kisse pesh karoun? Hamar jawaab hoga: kissi ECG machine ko! Yeh sahab ka logic ajeeb hain. Jab jaan na pehchaan, tab wallet khali kar diya. AUr shaadi ke baad ek lakh ka kharcha kiya to gussa hogaye.
Inko ek ajeeb bimari hai: yeh apni sirf ek eyebrow upar kar sakte hain. Aadhe facial muscles ki paralysis jo hain. Saans lete hain to aahe bharte hain, jaise nasal congestion ho. Accident prone to aur kya kahe: zara sa gire nahi ki fracture. Ya phir aur kuchh. Abhi tak amnesia nahi hua, unless induced by Mallika. Aur hamara ek sawal hain, jiska uttar nahi mila: Ashutosh romance karte waqt chashma kyoun pehente hain? Hume to lagta hain, kahin galti se kissi aur ko to nahi hand-le kiya na? nahi to aur ek fracture. Shayad isiliye yeh sahab thoda cautious rehte hain. Apni patni ko bhi haath lagane se pehle yeh permission lelete hain. Insurance coverage bhi limited hota haina.
Inka bachpan inhe yaad nahi. Lo kar lo baat. Hume bhi yaad nahi. Waise Daadi ne bahut nostaliga-desh ki trips lagayi thi. Pata hain, jab tumne meri godi pehli baar geeli ki thi...Wo to main kehya ji, saare bachhe karte hain. Ek to bachha batao jo khud uthkar toilet gaya ho? Chalo koi nahi. Yeh to apna bachpan ab jee rahe hain. Mallika mata ki god main apne sir rakhkar rote hain. Ha, yeh baat alag hain ki bachho jaisi aur koi harkatein nahi karte. Thank God!
Baki ek dum tubelight. Nidhi kehti hain, inko naino ki bhasha samajh nahi aati. Chashma nahi pehna hoga.Ya phir inko padhna hi nahi aata hoga. Inke dressing main koi change nahi aaya shaadi ke bad. Before and after marriage same dimensions. Ab Nidhi ke haath ka khana khaker koi mota ho sakta hain kya? Usko bhagare baingain pakane aate hi nahi! hare chane aur methi muthiya to pakka health food hai...usse koi mota nahi honewala. Mota hone ko maggi, coke, icecream chahiye. Wo to yeh khyenge nahi.Chhodo. Yeh sahab poore ke poore kapde pehenkar sote hain. Itni garmi main bhi, tabhi shayad yeh hot kehlate hain. Lucknow main sardi-garmi ka pata hi nahi chalta.
Beech main inhone daadhi rakhi thi. Jaan boozhke ya shave karne ko waqt nahi mila, pata nahi. Magar it was a close shave in Gomti. Wahan gire the to clean shaven they. do din main daadhi badh gayi. Nadi ki machhaliyon ne socha hoga, pata nahi yeh kaunsa jaanwar hai...bhago! aur isko waapis zameen pe pahuncha do bhai...
Music lover hain yeh. Achha ga lete hain aur kabhi kabhar violin bhi baja lete hain. Inki memory badi sharp hai ji. Aaj se bees saal pehle jo dhun inhone MBBS ke passing function main bajayi thi, wo aaj bhi baja lete hain. Wow. Ya phir shayad ek hi dhun aati ho? Hume to do din pehle suna filmy sangeet yaad nahi rehta. Adrak ki chai ke shaukeen, chahe barish ka mausam ho ya garmi. Inke garden main adrak ki kheti hoti hain shayad. Dance inhe aata nahi, ya phir yeh darte hain ki gir pade to kahin ek aur fracture na hojaye. Hogaya to floor ki repair kaun karega?
Chalo kaam ki baat karein: waise hospital ke yeh Dean hain, Dr Hardstone kehlate hain. Gussa yeh kya karenge? Ab haal aisa hain ki eyebrow oonchi karein to ladkiyan giggle karti huyi behosh ho jayengi. Aur wo bhi inki bahon main. Are baap re! Yeh ek aur musibat hogayi...Nidhi ne dekh liya to aur ek fracture.
Rishton ki baat karein to shuruaat main ek believe hi nahi karte they relationships main. Isiliye inhone kabhi apne bank ke relationship manager se baat nahi ki. Pehle rishta bana apne baba ke saath, phir HK ke saath, phir Armaan, aur ant main Nidhi. AB yeh alag baat hain ki Nidhi apne saath anek rishton ka add-on package layi hain: ek saali, sasurjee, aur ek badi sasuma. Waise Sasuma ke saath inka petrol aur teeli ka rishta hain: bus bhadakane ki deri hai! Abe Manhooos...aur booom!