OS : Part 2 Ab Nidhi rj rat ko dr Ashutosh se bate karti aur unhe dinbhar ka haal sunati,aur Ashutosh ko bhi uske call ka intejaar rehta.Ab ashutosh ko aisa lagne laga tha ki agar Nidhi ka phone nahi aaya toh raat hi nahi hogi. Nidhi apne room me baithe baithe soch rahi thi ki main unko phone karneke liye kyon betaab ho jati hoo?aur unhise sari bate kyon share karti hoo?usne yeh ulzan Anji ko batai aur Anji boli,"Nidhi,ek baar aaineme dekhkar soch,jawab tuze mil jayega. Nidhi aaine ke samne khadi ho gai,aur usne apne aap ko aaineme dekha,aur use apne aap se sharm aa gai,use mun me laga ki haan main dr Ashutosh se pyar karti hoo,par main unke bareme jyada kuchh janti bhi nahi.koi baat nahi sahi samay aayega to bat kar loongi. Us raat Nidhi ne Dr Ashutosh ko phone kiya. Nidhi : Hello,Dr Ashutosh ? Ashutosh : Haye would be doc? kahiye kaisa raha aapka din Mohtarama? Nidhi : Muze aapse kuchh baat karni hai,aap kaha hai? Ashutosh : Main aapke samne hoo.Darwaja kholiye. Nidhi : Dekhiye,aap muze April ful mat banaiye,sach kahiye. Ashutosh : Are madam aap darwaja to kholiye. Nidhi ne darwaja khola toh Ashutosh apne hatome guldasta liye khade the,"Happy Birthday Nidhi." Aaj peheli baat Nidhi apna janmdin bhool gai thi aur Anji ne socha tha ki woh uske liye surprise dinner plan karegi isiliye woh bahar gai thi. Ashutosh : Nidhi,aap muze bataiye,aapko kya chahiye gift me ? Nidhi : mere mun me ek ulzan hai,aapke saath kahi bahar jana chahti hoo,kuchh pal bitana chahti hoo,aap chalenge? Ashutosh : Nidhi,main aapki aankhe padh sakta hoo,kya ulzan hai muze kuchh kuchh samaz me aa rahi hai lekin main aapke muh se sunana chahta hoo,please chalo mere saath,hume khule mun se baat karne ki jaroorat hai. Nidhi aur Ashutosh ek jagah aakar ruk gaye.Ashutosh ne Nidhi se puchha,"boliye kya bat hai ? mera dil jor jor se dhadak raha hai,please jaldi bataiye. Nidhi : main aapse pyar karne lagi hoo,lekin muze aapke bareme kuchh pata nahi hai,ki aap mere bareme kya sochte hai?aapke dil me mere liye koi feelings hai ya nahi?aur agar aap mana karenge to main bura nahi maanoongi promise. Ashutosh : Nidhi,aapme to bahoot himmat hai,main bhi yehi soch raha tha ki aap kuchh aisa hi kahenge,lekin mere dil me ek baat hai.Main aapse bada hoo,kafi bada,aur doosri baat main anaath hoo,papa ke naam bhi muze mere baba ne diya hai.Unhone muze anaath se apna beta banaya,aur aaj main jo kuchh bhi hoo woh unhiki wajah se hoo.Unhone muze padhaya,London bheja aage padhneke liye aur aaj main ek successful Neurosurgen hoo.Ab main tumse janana chahta hoo ki tum kya sochti ho is risteke bareme?tum bhi agar na kahogi to main bura nahi manoonga. Nidhi : Dr Ashutosh,peheli baat yeh hai ki pyar me umar nahi dekhi jati.Aur raha sawal aapke anaath honeka toh main samazti hoo ki aap to anaath the hi nahi.Jinke pas aapke baba jaise pita ho,woh kabhi bhi anaath nahi hota.Aap khud sochiye,duniya me kitne bache anaath hote hai,lekin har ek ke sur par baba jaiso ka haat nahi hota.Is bareme sochiye jaroor.Aur raha sawal mere mana karneka,toh in chijose muze koi farak nahi padta,na hi aaj aur na hi kal.Main bahoot ziddi hoo,jo chahti hoo use pakar reheti hoo. Aur Nidhi aur Ashutosh ne ek dusreko I Love You keh diya.Ashutosh ne wada kiya ki woh nidhi se milne Dehradun aata rahega,aur Nidhi Lucknow me Dr Ashutosh ke andar me internship khatam karegi aur uske baad dono shadi karenge.Tab tak Nidhi apni padhai puri karegi aur Dr Ashutosh use padhai me puri madad karenge. Next update will be my last update and i will complete my os with that chap.Comments welcome.