(special thanks to tanu, harsha...)
Ashutosh: Pyaar to me is...

Ek mulaayam ehsaas ki taraah uski yaad mujhe chaaron taraf se ghere rehti hai..jaise december ki thand mein shawl ne mujhe chaaron taraf se ghere rakhaa ho..Dhoop ki taraah uski yaad mujh par utarti hai..hawaa ki taraah meri saanson mein behtii hai..paani ki taraah mujhe boond boong bhegoti hai..uski aankhon ko dekhta hoon toh lagta hai ki ghanaa jungle hai jaha jaane mein darr bhi lagtaa hai aur jaaye bina reh bhi nahii pata...
Nidhi: Love is a game.

Mere andar pyaar bhara hua hai. Pyaar meri andar se baahar chalaang maar ne ki koshish kar rahi hai. Nahi.. Nahi.. pyaar mere chaaron taraf hai...Main pyaar ke andar hoon...
Pyaar Ashutoshji ke juthe lautaane mein hai. Dr.Ashutosh se daant khaane mein hai. Unkeliye AKC & MM banaane mein hai. Unse shaadi karne mein hai.
Anji: Pyaar!! Nonsense..

Pyaar is only in the books of Nidhi.. Love is an adjustment... Dr.Ranganath and I have clearly thought about it. We go out together but it is not a date. We celebrate valentine's day..but just to agree how much we miss each other...
Rohan: Pyaaar...Pyaar..

Love is RajKapoorji ke film hai. Love is a denial. Love is in eating noodles together. Love is in following someone throughout the day mentally and physically... Love is wearing your heart on your sleeve and hiding it inside too...
Ranganath: Love...Love..Love..

Love is spread all over. I love my patients.. I love my florist. I love my roommate. I love the security guard.. I love the waitress...
But, naamon ka ek huzum sahi mere aas paas... dil sun ke ek naam dhadkta zaroor hai..kaun hai wah naam???

CS: Pyaar..

Pyaar meri phool jaisi phoolan hai... uski mulayam driving hai... uska pyaar bhara raavan ki acting mein hai...
Mallika: What could I say!!...

Pyaar barah saal ka intezaar hai. Pyaar is in giving someone something always. Love to me is a deeper feeling.. I prefer death over getting denial by Ashutosh...



DB: PYAARRR...GRRR...
PYAAR SHOULD HAVE AGE RESTRICTIONS... PYAAR SHOULD BE BETWEEN HUM-UMR...BETWEEN ROHAN AND NIDHI... NOT BETWEEN BUDDHA AND BACHCHI...

Pyaar ek khub soorat ehsaas hai. ladkon ka neend ladki ke dupatte mein baandh rakhti hai. Akele duniya se ladne ka taaqat deti hai...
Armaan: Mere nazar mein pyaar... Ashutosh and Nidhi hai.

Door rehna hai...par nazdeek bhi jaana hai... bheed mein hai par unke saath tanha bhi hai...chahnewali ladki ko 'I Love you' kehna hai..