Munni bani Doctorani!!!
There's been a lot of speculation about the coming track in KTKP, a lot of brouhaha among fans that Munni should be brought back to KGH and an
so we at BT, send our snoop hungry and sniff worthy reporter DL to the sets of KTKP to get a sneak peek at the latest happenings in the show..
Hullabuloo on the sets.. Director shouting instructions at crew members... Handsomeji sitting in his Doc's chair..patient in front of him and Munni next to him in another chair.
DL finds chief CV Akalgayab Bhejagulji in the corner clutching his bald head in agony...
DL: what's happening sir? What's the latest track?
AB: Hayyala, tu phirse aa gayi kya? Dekh aaj mera na bheja mat kha.. Bahut garam ho gayela hai.. Ye track ke liye bahut maathaphodi karna pada mereko...
DL: What is going on? I can see Dr Handsomeji checking some patients..
AB: Arre, tum sab pankheloko khush karne ke liye kya kya karna padta hai idhar... Pehle bola same frame mein lao, abhi laya toh bolta hai, BD ko hatao, hataya toh bole...doctor hai toh doctori kidhar hai? Munni ko aspatal mein lao..chaila! Ye loko satisfaction eech nahi milta!
Kitna dimaag lagana pada maloom asli patient loko laneke liye!
... Abhi ja...dekh..dekh..aur jaake bol woh pankheloko.. ke bheja nahi khaneka.. Chaila... Main kidhar phas gaya re, mamu!
Arre,ae ae glass ki dukaan! Abbey.. hat na.. dikhta nahi hai!!!!!..
Cut to scene...
Dr Handsome And Munni in OPD checking patients ..
Patient#1..(lady in her 40s): Doctor, mera dil na dhak dhak karke zor se dhadakta hai... Main raaton ko so nahi paati, din mein sapne dekhte rehti hoon, mujhe bhook nahi lagti, apne pati aur bacchon ka khayal nahi aata... bas abhi bhi aapke saamne baithkar, mujhe ye takleef ho rahi hai...
DrH: ...mmm... Lagta hai aapko bhi "phangirl syndrome" ka attack hua hai.. Ye aajkal bahut hi common hai aur Iska koi ilaaj nahi hai.. Bas aap forun FB aur IF par apna account kholein aur din mein 3 baar drool, swoon, faint, ya jo bhi karna chahein karen.. Isse aapki bimaari toh door nahi hogi par aapko ye jaankar tassalli zaroor ho jayegi ke aapki tarah hazaron auraton ko yehi problem hai...
Next please.. To Munni..
Patient#2 (young man in 20s): Doctor, Mujhe pata nahi kya hua hai.. Main apne GF ko toh bahut pyar karta hoon, par uske paas nahi jaana chahta... Abhi tak maine uska haath bhi nahi pakda aur use I love you bhi nahi bola... Woh bolti hai ke mujhe persecution complex hai.. paranoia hai aur pata nahi kya kya? Kya main paagal hoon?
Munni: Arre, nahi nahi ...ye bilkul normal hai! Mera BF bhi mujhe kabhi I love you nahi bolta aur mujhse humesha 2 foot ke distance par hi rehta hai..
Aajkal pyar aise hi hota hai..tumhe pata nahi???..ye bilkul naya, anokha tareeka hai pyar karne ka... Ise kehte hain No contact love affair.(NCLA) ..ye concept ka toh rage hai...tumhare GF ne suna nahi iske baare mein?
Patient: par doctor..bina contact ke humare beech sambandh kaise badhenge? Aur shaadi ke baad, ghar mein nanhe-munne kaise aayenge?
Munni: Arre fikar not.. humara show dekhte rahiye KTKP...hum naye concepts ke liye jaane jaate hain... NCLA ke baad is problem ka bhi hal bahut jald nikalne wala hai...π
Next please..
Patient#3 (lady in 30s): Doctor, main bahut depressed hoon.. 15 saal se main ek ladke ko chahti hoon, par woh meri taraf dekhte bhi nahi hai! Maine sab kuch try kiya... Use guilty feel karvaaya, suicide attempt kiya, uske biwi bacchon par jaan leva humla kiya... Phir bhi woh mujhe pyar nahi karta.. Main uske liye kuch bhi kar sakti hoon, aur woh mujhe aise treat karta hai???
Munni: mmm... Mujhe aapko expert referral ke liye bhejna padega... Humare resident specialist Dr Mallu ke paas.. Unhe shayad aapka case thoda mushkil lagega kyon ki unka specialisation 12 saal complex mein hai aur aapka 15 saal complex hai.. Phir bhi..
Aur unse milne ke baad aap counselling ke liye jayengi Dr Sue ke pass.. Unke paas hai mard related phenomena par har jawaab.. Unki kitaab "mard aise hi hote hain" toh aapne padha hoga? Bas... Aisa koi mard nahi hai.. jiska ilaaj unke paas nahi hai..
Next please
Patient 4 (father with young son): Doctor.. Ye mere beta hai.. Isko IIT mein 12th rank mila aur phir IIM mein MBA kiya... Par ab saara din ghar mein pade rehta hai..noodles khata hai, chane khata hai aur phone par apne saare friends ko love advice deta hai! Ise depression hai kya?
Dr H: Aap ye bataiyye ke ye TV dekhta hai?
Patient: Haan STONY channel humesha..
Dr H: mmm, toh pehle aap uska TV dekhna band kijiye especially KTKP... Use hua hai CID.. Yaane Compulsive Imitation Disorder... Is serial ke highly qualified characters jo din bhar kuch nahi karte, bas noodles khaate hain aur love advice dete hain...bas inko imitate kar raha hai. Ab isse shock treatment ke liye admit karna padega aur iske brain se is show ka har memory mita dena padega... Tab jaakar iske future ka kuch ho sakta hai!