Originally posted by: Sargesh
Bohot mehnat lagi h pls read nd comment..
I have countered every word from ishwari's Vomiting speech😡
Ish- Me kuch kehna chahti hoon
Sona- Me kuch kehna chahti hoon agar aap log sunna chahe to
Ish- Bacche aksar apne man ki baat karte rehte h par maa apne man ki baat khulkar kisise keh nhi pati
Sona- Sab log yaha par apne man ki baat mujhe keh dete h ya suna b dete h par me kuch kehna bhi chahu to unsuna kar dete h
Ish- Dukhi hoti h to bhagwan ke samne ro leti h or sukhi hoti h to bhi bhagwan ke samne roti h
Sona- Mera dukh aaj tak kisi ne samjha nhi or na meri khushi me koi khush ho paya. Me khushi baatna bhi chahu to koi naraz ho jata h
Ish- Ek ladki ki duniya maa banne se pehle kitni badi hoti h na mayke se lekar sasural tak feli hui lambi chodi duniya par maa banneke baad uski duniya itni choti ho jati h ki simatkar ek palne me sama jati h. Santan ma ki duniya ban jati h.Jese dev meri duniya h. Dev meri pehli santan.Iske muh se pehli baar mene maa ye shabd suna.
Sona- Ek ladki ki duniya shadi se pehle apne ghar tak rehti h par shadi ke baad wo felne lagti h pati saas sasur nanad. Itni badi ho jati h ki use apne liye waqt hi nhi mil pata. Ek ladki ka maa banna to uske janam se hi shuru ho jata h, Ek maa ke pyar me to swarth hota h kyuni wo apne bacche apne khoon ke liye hi sab kar rhi h or usse expect karti h ki wo budhape me uska sahara bane. par ek patni ka pyar bina kisi chah ka hota h. Uska jeevan sathi uske sath jeevan bhar rahega b ya nhi iski koi guarantee nhi h par fir b wo uske parivaar ko uske rishto ko apnati h. Par dukh ki baat ye h ki use kabhi b apna nahi samjha jata. Jabki wo apne saare sapne saare amaan apne us naye parivaar ke liye kurbaan kar deti h. Apne parivaar ki ek bahu grahlakshmi hoti h annapoorna hoti h.(Thoda zyada ho gya😆)
Ish- Ek aurat beti, Bahan, Patni, Bahu par ek aurat ke liye sabse bada sukh or samman to ek maa hona hi h.
Sona- Ek aurat ke liye sabse bada samman maa hona hi h par agar wahi maa kiski patni na ho to samaj use nahi apnata h. Ek patni banna bohot badi zimmedari hoti h. Naye rishto ko apnana koi asan baat nhi h. Ek maa ka apne bacche se judav to natural hota h. Par ek naye parivaar me sabse apna judaav banana mehnat ka kaam hota h
Ish- Har beta ram nhi hota par har maa kaushalya hoti h. Ramayan me bete ko vanvaas mila tha par jeevan me maa ko vanvaas milta h wo bhi apne hi ghar me
Sona- Har pati ram nhi hota or me to ye bhi nhi kehti ki har patni seeta hoti h. Par shayad har aurat ki kismat me seeta ki tarah agnipareeksha dena likha hota h. Kabhi ek patni ke roop me to kabhi ek bahoo ke rup me.Seeta ki tarah ek patni hamesha apne pati ke sath vanvaas jhelti h par uska khudka vanvaas khud hi jhelna padta h usme uska pati b uska sath nhi deta. Ram ki tarah ek pati ko to hamesha apne parivaar ke lye apni patni ko chodna padta h. Ek admi ke liye uska parivaar hamesha patni se badkar rha h par ek patni ke lye to uska pati hi sabkuch hota h.
Ish- Nanha sa baccha jab maa ki ungli thamta h to maa ki dinbhar ki thakan turant mit jati h. Baccha rota h to maa roti h. Baccha hasta h to maa has padti h.
Sona- Apne pati ki khushi me hi patni ko khush hona padta h or pati ke dukh ko b ek patni ko hi baatna hota h fir cahe ek pati patni ka dard samjhe ya na samjhe.
Ish- Bachpan me to har sukh dukh me bacche ko maa yaad aa jati h par bade hone par sirf dukh me. Bacche ki duniya jo badalne lagti h nayi grahasthi, Naye log , Nayi duniya. Ek esi duniya jisme kaam kaaj hasi khushi, Pareshani, Patni, Dost sab hote h bas maa nahi hoti. Maa ko to dekho wo fir b us duniya ka hissa bane rehna chahti h.
Sona- Pati ke saare sukh dukh ek patni ke hi hote h. Par shayad pati or uska sasuraal hamesha ek daayra banaye rakhte h jisme bas wo h ek patni ya bahoo chahkar bhi usme nhi aa sakti.Use hamesha bataya jata h ki wo unki zindagi me baad me aai use hamesha ek parayepan se guzarna padta h
Ish- fele hue karobaar ko na sahi par fele hue kapdo ko sametti h taki use lage ki wo b apne bete ke kaam aa rhi ho.Maa jab apne bete ka saman uske kapde sahej kar rakhti h na to asal me wo apni mamta ko sahej rhi hoti h.
Sona- Apne pati ke ek patni kuch karna bhi chahe to use ek alag nazar se dekha jata h. Use kuch salah de uske karobaar se related to use dakhal dena samjha jata. Kyo aakhir ek patni ka itna b haq nhi h. Shadi hone k baad jab ek ladki poori ki poori dusre parivaar ki ho jati h to us parivaar par unke feslo par ek ladki ka haq kyo nhi h.
Ish- Par ye baat to sirf wahi samajh sakti h jo khud ek maa ho. warna to har koi kehta h ki beta abhi b maa ke pallu se bandha hua h warna wo kya kehte h mamma's boy
Sona- PAr ye baat to wahi samjh sakti h jo khud ek patni ho warna apni patni ki baat manne par to har koi use kya kehte h JORU KA GULAM. keh dete h
Ish-Par agar beta maa ka sahara leta ho to kya bura h. Wo dono ek dusre ka sahara hote h. Jese medev ka sahara hu.Dev mera sahara h.
Sona- Ek beta maa ko sahara de sakta h par ek pati apni patni ka sath de to usme sabko bura kyo lag jata h. Ek patni hamesha apne pati ka sahara banti h par us sahara kon deta h
Ish- Mera ye brta meri zid mere gusse mera pyar har cheez ko bina kahe samajh jata h. Muje sambhalta h.
Sona- Meri koi bhi feeling kisi ne nahi samjhi balki mere samjhane par bhi nhi
Ish- Me khush hu ki me ek maa hu. Or muje garv h ki me dev ki maa hu. Mera ye ram apni ma ki mamta ko kabhi vanvaas nhi jane dega.
Sona- Muje koi khushi nhi h ki me Dev ki patni hu jo ek accha beta to ban gaya par shayad uski maa ne use accha pati banna nhi sikhaya. Apka beta fail ho gya maa. Vanvaas to me tabi se kaat rhi hu jabse meri shadi hui h.
One Shlok also to add fire😆😆
Karyeshu Dasi, Karaneshu Manthri; Bhojeshu Mata, Shayaneshu Rambha, Roopeshu lakshmi, Kshamayeshu Dharitri, Shat dharmayukta, Kuladharma Pathni'.
) Karyeshu Dasi: works like a servant
2) Karaneshu Mantri : advises like a minister
3) Bhojeshu Mata: feeds like a mother
4) Shayaneshu Ramba : Pleases in bed like the heavenly beauty Rambha
5) Roopeshu Lakshmi : Beautiful like Goddess Lakshmi
6) Kshmayeshu Dharitri : Having patience like Earth
7) Shat dharma yuktah: woman who has this six virtues
8) Kula dharma Patni : good housewife (a married woman who is not employed outside the home)