For me, the episode was bang on and i am here with their convo... The fight was so damn realistic. Both of them were correct at some and both were at fault too. But its good that finally they are talking and expressing their view points.
Dev: Sonakshi... I am sorry.
Sona: Sorry kehne ki koi zarurat nahi hai Dev. Aapko jo karna tha aap kar chuke hai.
Dev: Sonakshi Please... Main... Main tumse...
Sona: Dev. Agar aapko kuch nahi karna tha toh aap mujhe bata sakte the. Mujhe aise dhoka dene ki koi zarurat nahi thi. Aapne mujhe cheat kiya. Aapne mujhse jhooth kaha Dev.
Dev: Are maine tumse kab jhooth kaha yaar. Tum khudse hi sab kuch imagine kar rahi ho. Khudse hi assume kar rahi ho to main kya kar sakta hun..😆
Sona: Dev maine aapse hamesha kaha. I am proud of you. Aapne mere liye bahot kuch kiya hai. Mere kehne par aap apni life me itna bada change larahe hai.
Dev: Sonakshi Main koshish kar raha hun na. Mere se ek rumaal to fold hota nahi hai. Ye kapde toh bahot door ki baat hai. Waise bhi.. Maine koshish ki... Kal iron karne ki koshish ki thi maine. Haath jal gaya mera... Koshish kar raha hun main. 😆
Sona goes and sits on their bed.😆
Dev: Achcha to matlab ab tum gussa ho to mujhe chot bhi lagi hai to tumhe meri koi chinta nahi hai. 😆🤣
Sona: Kaisi baat kar rahe hai aap. Ek toh main gussa hun aur aap chahte hai ke main aap pe hi dhyaan dun. Kitne selfish ho aap. 😆🤣
Dev: Main selfish hun? Main nahi tum selfish ho. Ek toh main keh raha hun main koshish kar raha hun fir bhi tum gussa hoke baithi ho. 😆🤣
Sona: Exactly Dev.. Aap abhi keh rahe hai. Jab aapki chori pakdi gayi. Tumi Kono din try...(Sorry mujhe Bengali nahi aati.. I don't know exactly what she said.)
Dev: Are phir tumi tumi... Mujhse waise baat kijiye jo mujhe samajhme aati hai. 😆
Sona: Dev ye chot.. Ye koshish aap mujhe pehle bhi bata sakte the na... Agar aapko madad ki zarurat thi toh main karti na aapki madad. Main thode hi na aapko punishment deke iss room se bahar nikaalti. Dev main gussa islie nahi hun kyuki aap nahi badkle. Main gussa islie hun kyuki aapne mujhse jhoot kaha ke aap badal chuke hai. 😭
Dev: Arre to nahi badla.. Nahi badla... What's the big deal.
Sona: Aapke liye big deal nahi hoga Dev.. Lekin mere liye Big deal hai.
Dev: Sonakshi chillao mat.😆
Sona: Toh kya karu Dev.. Aap samajhne ki koshish hi nahi kar rahe hai. Oonchi awaaz.. Neechi awaaz... Likhkar, bolkar... Har tareeke se maine aapko samjhane ki koshish ki. Lekin aap samajhne ki koshish hi nahi kar rahe. Dev.. Ye mere liye bahot bada deal hai. Dev main bas yahi chahti thi thi aapki aisi koi ek baat ho.. Jo sirf main jaanti.. Main samamjhti.. Jo sirf ha,ari hoti... Dev iss ghar me main aapko kitne logo ke saath share karti hun. Par khushi khushi se karti hun... Bas yahi chahti hun ki ek chhotasa hissa mera ho.. Sirf hamara.. 😭
Dev: Sonakshi tum kis baat ko kahan leke jarahi ho... Ye kapde fold karna... Safaai karna. Iska kya connection hai iss sab ke saath. Aur tum kyu achanak se chahti ho ki main apni aadate badal dun. Jo maine kiya hi nahi wo achanak se karne lagu.
Sona: Toh Dev.. Aap mujhe ye sab pehle kyu nahi bata sakte the... Aap maa ke paas kyu gaye.
Dev: Toh ab bata raha hun na.. Ladkiyo ka kaam hai yeh..
Sona: Ladkiyo ka kaam? Kapde hamara gender jaante hai kya... Ki ladki ne kiya to fold hogaya aur ladke ne kiya to nahi hua. Dev jo aap keh rahe hai uska koi meaning nahi hai. 😆
Dev: Nahi Sonakshi... Mera woh matlab nahi hai. Main koi anti feminist ya chauvinist nahi hun. Kuch cheeze main nahi kar paata hun. Are har ek ki koi na koi kami hoti hai. Meri ye kami hai. Just deal with it. Aur aajtak maa ne mujhe ye sab karne nahi kaha.. Ke apna kaam khud karo and all that.
Sona: Thik hai... Thik hai Dev.. Galti meri thi.. Mujhe laga ke aap badal jaenge lekin nahi... Aap wahi rahenge... Mamma's boy.😆🤣
On one hand, Sona is wrong in pushing Dev a bit too much. She has to give him some time, to slowly learn. On the other hand Dev is wrong in hiding it from Sona.. If they would have had a conversation about it earlier, obviously Sona would have helped Dev. But again, Dev didn't want to hurt her here.😊
Finally Sona expressed it, that she too want something that is of just both of them. Atleast something that is about them. About DevAkshi. And Dev... He was genuinely trying for Sona, but he just couldn't do the work. But its ok... They can find a solution to it together.😊
Both were right and both were wrong in this argument... But this is normal... Every couple have their share of fights and disagreements. DevAkshi too will have their share of fights.😊
For me some of the dialogues made me laugh too. Like Dev's: "Achcha to matlab ab tum gussa ho to mujhe chot bhi lagi hai to tumhe meri koi chinta nahi hai." Sona's: "Kaisi baat kar rahe hai aap. Ek toh main gussa hun aur aap chahte hai ke main aap pe hi dhyaan dun. Kitne selfish ho aap." (They were fighting like kids here.)😆🤣
And Dev's reply: Main Selfish hun? Main nahi tum selfish ho. The wehn Dev said "Are phir tumi tumi... Mujhse waise baat kijiye jo mujhe samajhme aati hai." "Sonakshi chillao mat." 😆🤣
And lastly, Sona's: "Aap wahi rahenge... Mamma's boy." 😆🤣
I thoroughly enjoyed this scene... Finally everything is clear between them. The speciality of this scene was even after watching the leads fight one cannot go in a stressful mood.👏😊